"Ye mera voice message hai jisme meri asli pehchan hai. Make sure you hear it before the wedding"
Did she just say that!?
She walked off and I drove off.
I was getting restless and impatient about the voice message.
So I parked the car at the nearest parking space and reached for my phone.
(Note: Lines in Bold are parts of Ishita's voice message)
Hi Raman!
Ishita here...
Aap soch rahe honge...
... aap jis Ishita ko jante ho wo khamosh, suljhi, samajhdaar aur wafadaar hai.
Lekin jis Ishita se mai aaj apko milane wali hun wo bilkul uske baraks hai: Batuni, Uljhi, Nasamajh aur BEWAFA
Nahi Ishita! Tum aisi nahi ho sakti...
Jaanna chahte ho aisi Ishita ko?
Apko jaanna hoga...Kyunki jis Ishita ke sath...
...Aaj se ek saal pehle agar aap meri zindagi me ate to shayad aaj mujhe ye voice message bhejne ki zarurat na padti.
Par aap se pehle koi aur meri zindagi me agaya Raman.
Isi bath ka to afsos hai
Ek aisa Ajnabi jisne kuch hi palon me mere dil me jagah bana liya
Aur char kadmon me zindagi bhar sath chalne ka sapna de gaya
Mai ek Ajnabi ko dil de baithi aur uske sath zindagi bitane ki sapne dekhne lag gayi.
Mere sath bhi to yahi hua!
...
Lekin tab aap meri zindagi me aye...
Shayad Ajnabi ke wapas lautne ki ummeed ka jo diya maine jalaye rakha tha wo dheere dheere bujhne lagi thi..
Isiliye jab aap meri zindagi me aye to maine use kismat ka faisla maanke qubool kar liya...
Mujhe bhi to yahi laga!
Kambaqt Dil!
Dimag ne to is haqeeqat ko qubool kar liya tha..
Par dil maanne ko tayyar hi na tha...
Aisa nahi ke maine kabhi koshish nahi ki..
Koshish ki thi par mere dil par sirf Ajnabi chaya hua tha...
Har waqt, har ghadi wo sirf Ajnabi keliye dhadakta tha...
Kash mujhe is bath ka ehsas pehle hi ho jatha!
Aapko lagta hoga ke aisa to hota rehta hai..
Kisi se pyar karna buri baat nahi hai..
Shayad apki zindagi me bhi pehle koi ladki ayi hogi...
Ya phir nahi bhi ayi hogi...
Pyar to kabhi bhi, kisi se bhi ho jatha hai...
Kisiko dil dena galat baat nahi hai...
Isi thasalli me mai bhi ab tak jeeta raha!
Par kisi ka dil todna to galat baat hai na Raman!
![](https://img.wattpad.com/cover/36585498-288-k259884.jpg)
YOU ARE READING
Char Kadam: IshRa FanFic #Completed
FanfictionIshita is a lovely and loving girl but hates 2 things in life: Waiting and Strangers. But as fate had planned, she has to deal with both when her train back home gets delayed. Read to find out what makes her change her life and preferences. Well I a...