Meeting of hearts❤️

622 22 9
                                    

Let's continue......

It was already late evening and Preeti was eagerly waiting for Prem even though she was very busy. She was sitting with Sadhna who was eating her dinner when her phone beeped and she looked into her phone......

Prem❤️:- Busy ?

Bhabhi ke saath hun kaho....

Prem❤️:- tumhare cabin ke bahar hun jaldi aao tumhara wait kar raha hun

Mujhe 10 mint aur lagenge tum andar jaake baitho mai abhi aati hun

Prem❤️:- milne aaun kya bhabhi se?

Tumhari marzi hai aa jao par kahoge kya?
Ki iss waqt yaha kya kar rahe ho?

Prem❤️:- keh dunga tumse milne aaya tha kuch kahengi thore na..

Nhi please ye log phir sab milke mujhe bohat tease karenge....

Prem❤️:- koi kuch nhi kahega mai hun na

Waise aapki jaankari ke liye bta dey visiting hours khtam ho chuke hai Mr. Mehra

Prem❤️- apni doctor sahiba se milne ka visiting hours thore na hota hai mai aa raha hun wahi rukna....

She was blushing all the time and Sadhna looked at her smiling....

Sadhna:- kya baat hai Preeti bohat khush lag rahi ho kya baat hai hume bhi toh btao...

Preeti looked up suddenly and hesitated..

Preeti - na..nahi... nahi toh bhabhi kuch nhi bss aise hi

Sadhna - aise hi toh kuch nhi hai devrani jii hum bhi sab smjhte hai, jaiye Prem bhaiya intezaar kar rahe honge na aapka , jaiye aur mil lijiye unse...

Preeti- aisa kuch nhi hai bhabhi and she looked down blushing..... aapne kha liya mai nurse ko bula le aati hun aapko kuch chahiye...?

Sadhna nodded her head in denial.....

She was out of the room meanwhile Prem came there and was looking for her....

Sadhna- jise aapki nazre dhundh rahi hai wo abhi abhi bahar gayi hai bhaiya, aati hi hogi bss

Prem- aisa kuch nhi hai mai aapse milne aaya tha bhabhi kaisi hai ab aap aur Munna kaisa hai?

Sadhna- hum dono bilkul thik hai waise visiting hours patients ke liye toh khtam ho chuke hai bhaiya toh abhi aap yaha? ohh haa apni doctor sahiba ke liye thori na visiting hours hote hai hum smjh gaye....

Prem looked at her shocked and then blushed- kya bhabhi aap bhi na and smiled at her looking down

Preeti came looking at her files and said

Preeti - bhabhi aap apni medicines le lijiye aur aaram kijiye mai 2 ghnte baad aati hun aur.....

Prem looked at her and she stopped talking looking at him too both of them could not keep their eyes away from each other. Sadhana cleared her throat at said....

Sadhna- umm...hmm aur kya Preeti ji kahiye chup kyun ho gyi aap...

Preeti shyed away and looked down

Preeti - aur ..aur bhabhi wo... mai.. kuch nahi mai thore der baad aati hun and she left the room hurriedly....

Sadhna laughed at her flushing face and turned her head towards Prem....

Sadhna- ab aap kyun khade hai bhaiya jaiye wo aapka wait kar rahi hogi mil lijiye apni doctor Sahiba se...

Prem smiled at her and left the room to walk behind Preeti..... She came back in her cabin and hide her face with her hands while sitting on her chair and smile wholeheartedly....

Prem:- Can I come in Dr. Sahiba?

Preeti- Yess please come in Mr Mehra....

He came in and sat on the chair opposite to her.....

Preeti - maine kaha tha na ab dekhna bhabhi bata dengi sabko kitna sab mil ke mujhe tease karenge....

Prem- sirf tumhe nhi mujhe bhi nhi chorne wale ye.... hey bhagwan inke rehte toh hume chain se do waqt baith ke baat karne ka mauka nhi milta, kon kab kaha se aa jaye pta nahi....

Preeti - yaha koi nhi aayega meri shift khtam ho chuki hai koi distrubance nhi hogi jab tak emergency naa ho....

Prem- shift khtam ho gyi hai toh ruki kyun ho ghar chalti na

Preeti- bhabhi ke liye ruki hun aur by chance kuch emergency ho gyi toh bss isiliye....

Prem- chalo acha hai finally tumse thik se baat kar paunga....

Both of them became silent and silence took its place again. Both of them looked at each other but were not able to decide who would say first. They both had a lot to say, but couldn't find words for each other. It seemed as if there were no words left to describe their situation. Prem cleared his throat and looked down again and held her both hands in his hands and whispered very slowly.....

Prem- Preeti ....

She stood up and came closer to him and sat on the beside chair and held his hands together tightly as if she was supporting him without saying anything.

Prem- Preeti main.... main .... kya kahun main tumse kaise mai maafi maangu tumse kya kahun ki mai kitna sharminda hun apne faisle pe main kitna khudgarz ho gya tha ki apni takleefon mai maine tumhare baare mai kuch socha hi nhi kaise nazre main milaun tumse

Preeti- tumhe kuch kehne ki jarrurat nhi hai Prem main smjhti hun bhale hi faisla tumhara tha par haami maine bhi toh bhari hi thi na tum akele nhi the isme toh kaisi maafi Prem, please ye sab keh kar mujhe sharaminda mat Karo, uss faisle mai hum dono saath the waise bhi humare bich main main nhi aur tum tum nhi ho, hum hai Prem humara hi tha jo bhi tha, humara hai aur humara hi rahega humsha...

Prem- Preeti main.... koi itna khushnaseeb kaise ho skta hai..... itna pyaar itni mohabbat kaise koi kar skta hai...

Preeti - ye Ishq sirf akele main toh nhi karti tum toh utna hi bepanah mohabbat karte ho mujhse, jo pyaar main tumhari aankho mai dekh leti hun tumhari khamoshi mai padh leti hun kaise mera dil sambhalta hai ye main hi jaanti hun....

Prem- maine kabhi zaahir hi kaha Kiya hai Preeti kabhi kaha hi nhi tumse kuch

Preeti - har baat kehne ke liye nhi hoti Prem kuch baatein khamoshi ke darmayaan bhi hoti hai humare bich ki khamoshi hi toh humare pyaar ka wajood hai.... warna tumhi btao humne kabhi Ghar walo se toh nhi kaha ki hume ek dusre se pyaar hai, wo bina humare kuch kahe hi humari khamoshi ko padh kar sab smjh gaye... kaha toh maine bhi nhi tha kabhi kuch tumhe , par smjhte toh tum bhi ho na meri ankahi baaton ko toh main kaise na smjhun tumhare naa kahe hue alfaazon ko tumhare actions tumhara meri taraf ek nazar bhar dekhna bhi ye saabit kar deta hai ki tumhare dil mai mere liye kitni mohabbat hai....

Prem- sach hai ye jo sirf keh ke baayan ho wo kaisa pyaar jo actions bayaan kare ek dusre ke liye wo pyaar hai par phir bhi main tumse ye zaahir karna chahta hun ki main tumse behad pyaar karta hun Preeti I love you, I love you so much..... aur ye sirf lafzo mai hi nhi mere actions mai bhi tumhe nazar aayega

She blushed hard and said - Main jaanti hun I love you too Prem

Both stood up and hugged each other very tightly, they were finding immense solace in each other's arms and they both didn't want to leave each other even for a moment. Suddenly they hear sounds of throat clearing and look back and are shocked to see everyone together.

Hope you guys liked this part .....

Prem and Preeti:- Whispered Promises Of Their Love❤️Where stories live. Discover now