finally first meeting

906 52 1
                                    

Toh dono teams bilkul ready ha ground par aane ke lia..

Announcer- so ladies and gentlemen.. Plz welcome team of delhi on the ground...

People cheer for them like crazy especially for shubham gill.. Par usko kisi se kuch khas matlab nhi ha.. He did not even show a smile to anyone on the ground...

Delhi ki team ek taraf aake khadi ho gai ha straight line me

Announcer - now everbody lets welcome our another finalist.. Team of bihar..

As usual everbody cheer for them also... Audience are getting crazy over ishan cuteness bcoz vo sabhi ko bhot pyar se and innocently hello kehta hua ground par aa raha tha aapni team ke sath
.
.
Shubham ne ek nazar bhi saamne vali team ho aate nhi dekha.. Aab team aakar ground me khadi ho gai ha.

Aabhi tak hamare dono heros ne ek dusre ko nhi dekha ha.. Now the national anthem plays and everyone sing our national anthem with pride..

Now the toss happens and bihar wins the toss and choose fielding..

So after sometime the match starts but is match me hamare babyboy ishan nhi khel rahe bcoz phichle match me khelte hua unki arm pe lag gai thi jiski vaje se vo aagle kuch din hand movements jada nhi kar sakte islia vo changing room me rest kar rahe ha aaj..

To chaliye dekhte ha ki kab tak vo ek dusre ke saamne nhi aate ha.

(on the field) :

The openers are shubham gill and his  friend Ashish Verma.. They both are playing very good and match aese hi kafi der tak chalta raha..
Bich bich me shubham show his anger but Ashish keeps him grounded by saying ki aaj aaj shant rehle.. Aaj finals ha.. Aaj kuch mat kariyo aapne lia bhi or hamari team ke lia bhi..

Now in the end delhi scored 248 runs in 20 overs.. Which is according to everyone a good score 
but still shubham feels ki vo aur aacha kar sakta tha and isi lia vo or frustrate tha ..

Vahi dusri taraf changing room me sabhi team members vapis aate ha break time me.. And they are definitely not looking happy at all..un sabhi ko dekh kar ishan sabse puchta ha ki kya itna tough tha match kya.. You all are looking very angry..

Ishan ki baat sunkar one team mate said ki match ki koi dikkat nhi ha but dimak kharab to usne kar diya tha hamara

Ishan- kya hua.. Kisne kya dimak kharab kar diya.. Plz dhang se batao

Another player- arre vahi shubhman gill.. So called best player of delhi team.. Bada hi cold kisam ka insaan ha.. Sabar or sportsmanship to jese usme ha hi nhi.. Ek baar usko ball kya lagne vali thi.. Bilkul maarne vala ho gya tha humpe.. Vo to umpire ne bich bachav karvaya ha nhi to aaj kisi ke hath paer jarur tut te..

Ishan- chodo na aap sab usse.. Aesa to matches me chalta rehta ha.. Aap bas aapna best karo. Baki sab baad me dekh lenge

( ishan in his mind) - ye shubham gill aakhir ha kon jisko gussa karne  ke waqt ka hi nhi pata.. Bhala koi khelte waqt aesa karta ha.. Match toh match hota ha.. Hame ek dusre ki respect karni chaiye naki ek dusre se misbehave..but me kar hi kya sakta hu.. Arre ha me to ek or icecream kha sakta hu aaram se phone chalate chalate..
.
After sometime the match again started and aab bihar team ki batting ha.. Match aacha start hua but end hote hote vahi ho gya jiska sabko daar tha and vo ye ki shubham ki ladai ho hi gai ek player se

Sabhi players inko alag karne me lage hua the.. But shubham is shubham... Aagar ek baar gussa aa jae to vo kisi ki nhi suunta..

Itna sab shor sunke jab ishan bhar aaya to usne dekha ki sabhi players ground par ha or vo 2 ladte hua players ko alag kara rahe ha.. Ye sab dekh kar ishan se room me nhi ruka gya and vo bhag kar ground me chala gya..

Sabhi ko hata-te hua finally shubham ke saamne khada tha aapne team ke player ko bachane ke lia.. Ishan is directly looking in shubham eyes and calmly said ..please stop hurting him
.
Shubham pov-

Mujhe bhot gussa aa raha tha.. And  i was harshelly punching that player nonstop on ever body part..

Sabhi ne bhot koshish kari mujhe side hatane ki but they don't know ki jab ek baar mera beast mode on ho jae to vo itni aasani se saamne vale ko nhi chodta..
ek or jordaar punch me maarne hi vala tha ki tabhi koi bich me aaya or us player ke saamne aake khada ho gya and at that moment time just stopped for me.. Mera punch hawa me hi ruk gya.. My body just freeze there by just looking at this tiny creature in front of me.. Kuch samh nhi aaya ki kya hua ek dum and then i heard his voice.. Please stop hurting him.. And pata nhi kyu.. I listened to him and just backoff.. But i continuously looking in those mesmerizing eyes..

Itne me hi shubham ko leke dusre team vale aandar chale jaate ha and ishan ki team vale bhi aapne room me chale jate ha...

Ground se Jate waqt bhi dono ek dusre ko hi dekh rahe the.. Jesa ek dusre ki aankho ne unpe koi jaadu kar diya ho and they finally went to their rooms.
.
.
Waqt aese hi aage bhad gya or dono ek dusre ko bhul gai ya shayad nhi... Aab ye to waqt hi batega ki aage kya khas hoga inki zindagiyo me

ISHMAN Where stories live. Discover now