"Faiza kya baat hai subah toh bade ache mood me thi tum. Ab kyun gumsum hogayi ho?" Rumaisa Faiza ko khamoshi se khate hue dekha toh puchne lagi.
"Nahi bas kuch soch rahi thi." Faiza ne bezaari se jawaab diya.
"Kya soch rahi thi?" Rumaisa ne tajassus ho kar kaha.
"Wo unhone mujhse aaj 2 cheezein maangi thi lekin mai ne unki ek bhi baat nahi maani upr se mai ne unse kaha mai unse darti hoon. Unhone toh mujhe kabhi daraya bhi nahi." Faiza pareshaani se boli. Usse bahot bura lag raha tha ke Fardan ke baar baar izhaar'e mohabbat karne pr bhi wo usse anjaan maarti aayi thi.
"Koi baat nahi aaj jaa kar sir ki saari khwahishaat poori kardo." Rumaisa ne be'dhyaani me sir lafz istemaal kiya tha jo Faiza ne note kar liya tha.
"Sir?" Faiza puchne lagi.
"Wo hamare chairman bhi hai na isliye bol rahi hoon." Rumaisa ne fauran baat badal di.
"Haan sahi hai." Faiza ne kaha aur phir apne khayalon me kho gayi.
**************************************
*Mai apka intezaar apke college ke pass wale park me kar raha hoon.* Uss anjaan shaqs ka message aaya tha.
*Toh saari umar karte raho.* Ayesha ne gusse se jawab diya aur ab wo uss shaqs ka 11va number block kar rahi thi.
"Madam apke liye phir ek guldasta aaya hai." Peon ne kaha.
"Acha yahan rakh do aur abse koi guldasta laaye toh ussi ke munh pr phek do." Ayesha peon ko ghurti boli.
"Wo kisi chote bacche ke haathon bhejte hain." Peon ne kaha.
"Theek hai rehne do jao tum ab yahan se." Ayesha ne kaha toh wo wahan se chala gaya.
*Please ek baar mujhse mil lijiye. Bahot mohabbat karta hoon mai apse.
Apka Aashiq. *
Ayesha ne wo chitti padhi aur phir wahan se uth kar bahar chali gayi.
*************************************"Good Afternoon Sir! How can I help you?" Fardan ke hotel me jaate hi wahan ke manager ne usse sawaal kiya.
"Mujhe ek kamra chahiye apke hotel me." Ahmed jo Fardan ke saath tha usne jawab diya.
"Theek hai please yahan aiyye." Wo manager Ahmed ko receptionist ke pass le jaata bola.
Kuch der baad sab kagzi kaam hogaye aur saari formalities poori karke Fardan aur Ahmed kamre me chale gaye.
"Sir mai yahan kaam karne wale kisi aadmi ko paise khila kar uss aadmi ka pata lagata hu." Ahmed ne kaha toh Fardan ne usse aisa karne ki ijazat dedi.
Ahmed wahan se apna kaam sar anjaam dene ke liye chala gaya.
"Hayeee meriii jaan phir kis khayalon me khoyi hui ho?" Fardan laptop screen pr Faiza ko khane ke time khayalon me gum dekha toh khudse baatein karne laga.
"Pata nahi tumhe kya chahiye.. Mai tumse durr rehta hoon toh bhi pareshaan hoti ho aur pass rehta hoon tab bhi. Ab toh yahan sab kuch hai na tumhare pass phir kis baat ka darr... Itna kyun sochti rehti ho har waqt." Fardan thandi aahein bharta hua Faiza ko dekhe jaa raha tha.
**************************************
"Kaun ho tum?" Ayesha uss aadmi ke picche thairi hui bolne lagi. Wo aadmi muskura kar Ayesha ko dekhne laga.
YOU ARE READING
Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}
General FictionKehte hain pehla pyaar kabhi bhulaye nahi bhulta par wo toh uska pehla aur aakhiri pyaar thi ya shyd uska junoon ban chuki thi toh wo usse kaise kahi jaane de sakta tha. Fardan Shehriyaar jo Shehriyaar Industries ka maalik tha jisse sab mafia ki dun...