𝘊𝘩𝘢𝘱𝘵𝘦𝘳 1

2K 96 11
                                    

Chapter 1

Hum mile ya na mile jab hum saath the to sukoon tha!!!

Abhimaan room

Abhira apne study table par bethi thi aur kuch soch rhi thi tabhi armaan aata hai
wo dekhta hai ki abhira kahi khoi hui hai

Armaan ~ Abhira

Par abhira to abhira hai wo khoi hui thi abhi bhi

Armaan usko phir bulata hai

Armaan~ Abhira

Abhira~ haa

Armaan ~ mein kabse bula rha tha tumhe

Abhira~ acha tum jao fresh ho jao mein khana lati hu

Armaan confuse ho jata hai abhira ke behavior ko dekh kar par ignore kar deta hai phir wo fresh hone chale jata hai

Abhira khana le aati hai

Wo khana table par rakhti deti hai

Armaan aa jata hai

Abhira~ aao armaan khana kha lo

Wo khana khane beth jata hai

Abhira usko serve kar deti hai

Armaan~ tum nhi khaogi?

Abhira ~ nhi tum kha lo

Armaan~ kuch baat hai to batao mein hu
tumhre saath

Abhira~ mein jaanti hu ki tum ho

Armaan ek morsel usko khila deta hai

Abhira~ ek baat bolu

Armaan~ mein sun raha hu

Abhira ~ ek saal ke andar hum dono ko kisi ek se payar ho jaye to kya hoga kya uske bavjood hum alag ho jayenge?

Armaan~ abhi yeh baat kaha se aa gayi

Abhira~ humein iski bare mein baat karni hongi armaan ek saal baad mein chali jaungi tab tum kaise rahoge tum armaan?

Armaan~ tum humesha jane ke bare mein Kyu baat karti ho?

Abhira~ kyun na karu baat armaan? Payaar na sahi par attached ho jana bhi khatre hone se khali nhi hai

Armaan~ hum dono ko adat ho chuki hai ek dusre ki abhira

Abhira~ Armaan agar mein roti hu to tumhe takleef hoti hai tumhe neend nhi aati hai agar mein tumhre baalon pr haath na pheru yeh attachment ki nishani hoti hai armaan!!

Armaan chup rehta hai wo dishes kitchen mein rakhne chali jati hai

Wo sochne lagta hai uske saath bitaye hue pal uski hasi jiske liye wo khud bechain rehta hai

Abhira dishes rakh kar aati hai phir wo kuch nhi bolti hai

Armaan bed arrange kar deta hai

Dono apne Apne side par lait jate hai armaan light off kar deta hai

Armaan~ Abhira?

Abhira~ Haa?

Armaan~ mein chahta hu ki tum musoorie
chali jao hum occasions par mila karenge

Abhira shocked ho jati hai yeh sun kar ki aisa armaan keh raha hai

Abhira~ so jao armaan

Phir wo apna haath pherti hai uske baalon par aur armaan so jata hai

Abhira bhot hurt hoti hai phir bhi wo kuch nhi kar pati hai wo sochte sochte so jati hai

Next morning

Abhira armaan niche aate hai

Dadi sa~ aao armaan abhira

Arman Abhira ke liye chair nikalta hai

aur abhira baith jati hai aur aramaan bhi baith jata hai

Sab nashta kar hi rahe hote hai ki vidya bolti hai

Vidya ~ Armaan tum abhira ko uske college chod do aur haa lunch saath le kar jana

Abhimaan~ jii ma

Sanjay~ abhira khud bhi to jaa sakti hai armaan driver thodi hai

Armaan~ mein apni bivi ko chodne ja rha hu kisi aur ko nhi mein abhira ka pati hu driver nhi mein nhi chodunga to kaun chodega? Chalo abhira

Dono chale jate hai

Car

Dono chup rehte hai par armaan chuppi todta hai

Armaan~ abhira tum itni chup Kyu ho

Abhira~ mein kya bolu armaan

Armaan~ kuch bhi bolo par bolo

Abhira~ kuch nhi bolna hai

Dono pauch jate hai

Abhira~ Bye

Armaan~ bye

Armaan bhi nikal jata hai

Office

Armaan enter karta hai

Armaan~ Mr. Sharma pt tayar hua

Mr. Sharma ~ jii

Precap~ Puja

_________________________

Target ~ 40 votes

Hum Mile Bhi Toh Bichadne Ke Liye (Discontinued) Where stories live. Discover now