Chapter 20
3 days later
Cafe
Aryaman aur riya baat kar rahe hote hai.
Aryaman~ Riya di humein mil ke Abhira bhabhi aur Armaan ko milana hoga
Riya~ Aryaman par tu Abhira ko kaise jaanta hai ?
Aryaman~ di wo maine Armaan ke phone mein Abhira bhabhi ki photo dekhi thi
Riya~ ek idea hai
Aryaman~ to batao na di
Riya Aryaman ko idea bata deti hai.
Aryaman~ haa yeh thik rahega is wajah se unki mulaqaat bhi ho jayegi mein phone karta hu Armaan ko
Riya~ mein Abhira ko phone karti hu
Dono phone kar dete hai
Aryaman~ hello Armaan
Armaan~ haa hello
Aryaman~ Armaan tu jaldi se coffee day cafe mein aa ja
Armaan~ par kyun?
Aryaman~ tu bas aa ja!
Armaan~ acha mein aata hu
_____
Riya Abhira ko phone karti hai
Riya~ Abhira tu jaldi coffee day cafe aa ja!!
Abhira~ par kyun!!!
Riya~ zada saval mat kar aa ja jaldi
Riya phone decline kar deti hai
Abhira in mind~ yeh ladki bhi na
_________
Abhimaan cafe pauch jate hai
Abhira ~ kya hai riya kyun bulaya hai ?
Riya~ isse milane ke liye
Riya Armaan ke taraf point kar ke kehti hai aur abhira us taraf dekhti hai
Abhira shocked ho jati hai
Abhira~ Armaan tum?
Armaan ~ .....
Abhira~ tum yeha kya kar rahe ho? Tumhe to chhattisgarh mein hona chahiye tha tum yeha kaise?
Riya~ bolne to de usko tu hi boli ja rhi hai
Armaan tum boloArmaan ke Aakhon se Aasu girne lagte hai
Abhira~ Armaan kuch to bolo
Armaan~ mere pass lafz hi nhi hai
Abhira ke Aakhon se bhi Aasu aane lagte hai
Aryaman~ tum dono rote hi rahoge ya kuch bologe bhi
Armaan~ bolne ke liye kuch hai hi nhi
Riya ~ are yaar tum log baat kro na kya aise statue bane khade ho
Armaan~ Abhira mein yeha Aryaman ke saath rehne aaya tha kuch time ke liye rahi baat chhattisgarh mein rehne ki mein waha nhi rehta
Abhira shocked ho jati uske mann mein bhot se saval hote hai
Armaan~ mein jaanta hu ki tumhare mann mein bhot se saval hai mein tumhare har saval ka javab dunga
Abhira chup rehti hai
_________
Poddar Mansion
Dadi sa krishna ji ki puja kar rahi hoti hai
Aur puja puri ho jati hai aur dadi sa sab ko parshad de deti hai
Vidya~ maa sa mujhe mera rohit chahiye yeha mere pass mera baccha chahiye
Vidya rote hue bolti hai
Madhav ~ tum kaise ek hi bacche ke bare mein soch sakti ho tum shayad bhul rahi ho ki humare do bete hai
Vidya~ mujhe ache se pata hai ki humare do bete hai par Armaan ne apni marzi se ghar choda tha kisi ne kaha nhi tha
Aur rahi baat rohit ki wo London isliye gaya hai kyunki use ek positive environment ki zarurat hai
Madhav ~ tumne aaj tak sirf apne bete rohit ke bare mein hi socha hai armaan ke bare mein nhi
Vidya ~ jab aap nhi sochenge to uski maa ko to sochna padega na
Madhav~ Vidya tum....
Dadi sa~ bas karo tum dono kyun lad rahe ho
Madhav~ mein nhi lad raha hu apki adrash bahu lad rahi hai
Vidya ka moye moye ho gaya
______________
Cafe side
Abhira~ tumhe meri yaad nhi Aayi?
Armaan~ Aayi na bhot aayi
Abhira~ mujhe phir dhundha kyun nhi?
Armaan~ dhunda bhot dhunda par tum nhi mili mein raat raat sota nhi tha
Abhira ~ kyu nhi sote the?
Armaan~ mujhe neend hi nhi aati thi raat ho ya din office ke kaamo mein hi guzar jata tha
Abhira~ to ab kyun aaye ho yeha?
Armaan~ pata nhi par mein hopeless ho gaya tha mujhe laga ki mein tumse nhi mil paunga !!
Abhira~ par mil liya
Armaan~ baat baat mein bhul hi gaya puchna ki tum kaisi ho?
Abhira~ thik hu tum kaise ho?
Armaan~ mein thik hu par tum kiske saath rehti ho?
Abhira~ tumhe mere ghar aa kar pata chal jayega.
Armaan~ tum chahti ho ki mein tumhare saath chalu tumhare ghar ?
Abhira~ haa
Armaan khush ho jata hai aur dono ghar ke liye chala jate hai.
Precap ~ koi laut ke aa raha hai bhot khaas!!!
___________
Vote ~ 20
Comment~ 3
______________
YOU ARE READING
Hum Mile Bhi Toh Bichadne Ke Liye (Discontinued)
FanfictionDo log jab milte hai to anjaan hote hai Jo apne hi duniya mein rehte hai ek apne parivaar ke liye bhot kuch dav par laga sakta hai sirf unki khushiyon ke liye kya wo kabhi apne khushiyon ke liye sochega? Aur dusri taraf wo ladki jo bhot kuch hasil...