Chapter 10
Abhimaan room (night)
Abhira novel padh rahi hoti hai aur Armaan apne baal set kar raha hota hai
Abhira ~ Armaan
Armaan~ kya hua?
Abhira ~ tumhe kya lagta hai rohit aur roohi ke beech sab thik hai?
Armaan~ Pata nahi par tumhe kya lgta hai?
Abhira ~ Mujhe aisa lagta hai ki kuch thik nni hai dono ke beech.
Armaan ~ no idea!
Tabhi waha Charu Aa jati hai.
Charu ~ Bhaiya Bhabhi sab apka niche intzaar kar rahe hai.
Abhimaan~ Aa rahe hai tum chalo
Charu chali jati hai.
Downstairs
Abhira Armaan aa jate hai niche
Abhira roohi sabko serve kar deti hai
Roohi ~ mujhe aap sabko kuch batana hai
Dadi sa ~ Bolo roohi
Roohi ~ mein aur rohit divorce le rahe hai
Dadi sa ~ yeh tum kya keh rhi ho sab thik to hai ?
Manisha ~ Achnak se yeh khyal kaise aaya?
Rohit~ Roohi thik keh rhi hai ki hum divorce le rahe hai.
Madhav ~ hum bhi yehi puch rahe hai yeh khyal aaya kaise mann mein?
Roohi ~ hum is rishte se khush nhi hai
Vidya~ ek baar soch lo
Ruhit ~ humne soch samjh kr hi yeh faisla liya hai Maa
Abhira ~ Rohit tum sure ho na ki roohi se alag hone ke baad khush rahoge ?
Rohit ~ Pata nahi Bhabi par itna zarur jaanta hu roohi mere saath khush nahi hai
Manoj~ Aisa roohi ne kaha hai tumse?
Rohit~ Nahi Chachu sa aisa kuch bhi nahi kaha hai par mein jaanta hu ki wo khush nahi hai
Dadi sa~ Aisa kuch bhi nahi hoga yeh divorce nhi ho sakta
Abhira~ kyun nahi ho sakta Dadi sa?
Do zindagiyaan barbaad karne se acha ki do log alag ho jaye.
Armaan ~ Abhira bilkul sahi keh rahi hai Dadi sa
Madhav ~ kya sahi keh rahi hai tum dono waise bhi alag ho jaoge ek saal baad to kya chahte ho ki tumhra chota bhai bhi
Apne bevi se alag ho jaye.
Abhimaan~ aisa hum nhi chahte aisa apka chota beta chahta hai.
Manisha~ haa Abhira Armaan kuch galat nahi keh rahe hai jab do log rishte se khush na ho to alag ho jana hi behtar hai
Fufa sa~ aap to inhi ki side legi ab chahe yeh galat ho ya sahi
Manisha ~ side lene ki baat nahi hai jo sahi hai usi ka saath de rahi hu
Rohit ~ yeh divorce papers hai roohi maine sign kar diye hai tum bhi sign kar do.
Roohi ka dil toot gya.
Roohi ~ lao mein sign kar deti hu
Wo papers sign kar deti hai
Roohi ~ mujhe aap sabko aur kuch bhi batana hai
Everyone~ kya?
Roohi~ yehi ki Armaan Aur mein pyar karte the phir Armaan mussorie chala gaya aur meri shadi Rohit se tay ho gayi
Aur mujhe Rohit se shadi karni padi jab Armaan lauta wapas to Abhira se shadi karke lauta.
Dadi sa ~ itna sab kuch chal raha tha aur humein kuch bataya bhi nahi
Roohi~ Abhira sirf tumhre wajah se meri zindagi barbaad ho gayi
Abhira~ meri wajah se? Kehna kya chahti ho tum?
Roohi ~ ek to tum mere aur Armaan ke beech aa gayi tumhre wajah se mujhe Rohit se shadi karni padi
Armaan ~ Rohit se shadi karne ka faisla tumhra khud ka tha
Roohi ~ Par payar to mein tumse karti thi shadi bhi tumse karna chahti thi par tum mere samne raho isi liye maine Rohit se shadi ki thi
Vidya~ kya yeh sach hai Armaan?
Armaan ~ haa Maa yeh sach hai ki roohi aur mein ek dusre ko jaante the par maine yeh kabhi bhi nahi kaha ki mein isse payar karta hu.
Darma chalta hai.
Next day .
Downstairs
Roohi niche aati hai apne saman ke saath
Roohi ~ mein ja rhi hu Birla mansion
Rohit~ jao roohi aur kabhi laut ke mat aana
Abhira ~ Armaan
Armaan~ kya hua?
Abhira ~ nashta kar lo
Armaan~ mann nahi hai
Abhira ~ mann kya hota hai aao karo na nashta
Armaan nashta karne baith jata hai
Aur sab nashta karte hai.
Roohi chali jati hai aur rohit apne kamre mein chala jata hai.
Vidya~ Rohit ne nashta nhi kiya hai maa sa
Dadi sa ~ Kyun?
Vidya~ keh rha tha ki uska mann nhi hai
Abhira~ Maa aap fikar mat kijiye mein Rohit ko nashta karwa dungi
Vidya ~ thank you beta
Waqt beet jata hai aur 5 baje abhimaan shopping pe chale jate hai.
Precap ~ Birlas ki entry!!
Vote ~ 10
________________
Ruhit
__________________________
YOU ARE READING
Hum Mile Bhi Toh Bichadne Ke Liye (Discontinued)
FanfictionDo log jab milte hai to anjaan hote hai Jo apne hi duniya mein rehte hai ek apne parivaar ke liye bhot kuch dav par laga sakta hai sirf unki khushiyon ke liye kya wo kabhi apne khushiyon ke liye sochega? Aur dusri taraf wo ladki jo bhot kuch hasil...