Badle Ki Baazgusht

169 9 0
                                    

*Rumaisa kuch aadmiyon ko le kar Faiza ke Mami ke ghar jao aur unhe kidnap karke hamare main secret hideout me le aao.* Fardan Rumaise se baat kar raha tha.

*Ji Sir jaisa aap kahein.* Rumaisa apne saath kuch aadmi le kar Faiza ke mami ke ghar ki taraf gayi.

Shaadi ka ghar hone ki wajah se sab thak kar so rahe the. Raat ke 4 baj rahe the. Sabki aankh abhi kuch der pehle lagi thi aur issi wajah se Rumaisa apne aadmi le kar asaani se Zeba ke kamre me chali gayi.

Rumaisa ne soti hui Zeba pr Chloroform ka spray maara jisse wo behoshi ki neend me chali gayi aur usse kuch apne saathiyon ki madad se utha kar Rumaisa Fardan ke pass le aayi.

**************************************
Fardan ne goli hawa me chalayi thi lekin darr se mami behosh hogayi.

"Rumaisa tum chale jao. Yahan se hum dekh lenge." Sofiya Rumaisa ke pass aati hui boli.

"Nahi mujhe bhi hisaab barabar karna hai Faiza ki mami se." Rumaisa bolte hue thanda pani Zeba ke chehre pr dheere se daalne lagi.

"Kaisa hisaab?" Sofiya ne sawaal kiya.

"Bas jo unho ne mere best friend ke saath kiya hai isse uska badla dena padega na." Rumaisa muskurati hui boli.

Mami achanak se hosh me aayi aur darr se kaanpte hue Rumaisa ke aage haath jodne lagi.

"Tch... Tch... Tchhhh...Apko nahi karna chahiya tha Zeba aunty ye sab. Aap kyun Faiza ko itna takleef deti thi." Rumaisa unki thuddi pakad kar boli.

"Rumaisa mujhe maaf kardo. Mai aaj se kabhi Faiza ko takleef nahi dungi." Mami Rumaisa ke aage haath jodti hui rone lagi.

"Rumaisa tumne bataya nahi inhe hum yahan kyun laaye hain aur ye kya jagah hai? " Fardan muskurate hue puchne laga.

"Nahi Sir mujhe laga ye khud aa kar dekh lengi isliye maine kuch nahi bataya." Rumaisa Zeba se durr ho kar boli.

"Tumse jo kaha toh wo kiya tumne?" Fardan puchne laga.

"Ky.. Kya jagah hai ye?" Zeba kaanpti hui puchne lagi.

"Ladkiyon Arun ka haal jo kiya tha wo inhein la kar dikhao." Rumaisa boli toh sab bahar chale gaye.

Kuch ladkiyaan ladkon ki madad se ek bada sa thaila le aayi jisme se bahot gandi smell aa rahi thi. Sab apne naak pr haath rakh kar kone me hogaye. Adil se ye sab dekha nahi gaya toh wo bahar chala gaya.

"Jaanti ho iss aadmi ne Fardan sir ke saath dhoka kiya tha aur iska haal ye hai." Rumaisa thaila khol kar Arun ke jism ke tukde dikhane lagi jisse dekh kar Zeba cheenkh uthi.

"Jao iss Arun ke tukdon ko kutton ke aage daal do." Fardan muskurata hua bola toh ladke wo thaila wapas se bhar kar le gaye.

Zeba cheenkh cheenkh kar roti hui behosh hogayi thi. Fardan ab Rumaisa ko sab sambhaalne ka keh kar ghar wapis jaane ko nikal gaya tha. Rumaisa Zeba pr thanda paani phir se daalne lagi.

Subah fajr ka waqt hua tha Adil aur Fardan masjid ke liye chale gaye. Zeba ko hosh aaya toh Rumaisa usse dara kar ghar wapis chodh gayi thi.

"Agar Faiza ya kisi bhi dusre shaqs ko tumne aaj raat ke baare me kuch bhi kaha toh tumhe hum zinda nahi chodhenge." Rumaisa ghoorti hui usse boli.

"Mai kisi se kuch nahi kahungi. Mujhe baksh do khuda ke waaste. Mai kabhi Faiza ko takleef nahi dungi." Zeba haath jod kar gidgadaane lagi.

"Jao aur dobara Fardan Sir ko gussa mat dilana. Faiza unke liye sab kuch hai. Faiza ko kuch hua toh Sir tumhe kabhi zinda nahi chodhenge." Rumaisa thoda sakhti se boli toh Zeba jaldi se ghar me bhaag gayi.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now