Toote Rishtey Aur Khamosh Jungein

139 6 0
                                    

Kareem Furqaan ko unke kisi dusre hospital le gaya tha taake Furqaan pr koi police case na bane. Jab Furqaan aur Ayesha ko sab ambulance me le ja rahe the tab Kareem ne apne aadmi ko bhej kar gun chupane ko kaha toh wo aadmi sirf Furqaan ki hi gun chupa kar wahan se chala gaya aur yahi wajah thi ke ab saara khoon ka ilzaam Saif pr aagaya tha aur police usse giraftaar karke le gayi thi.

"Toh bataiyye Mr. Saif Sultaan aap ne goli kyun chalayi. Hua kya tha wahan?" Ek officer ne sawaal kiya.

"Nahi jaanta." Saif ne bahot der khamosh rehne ke baad kaha.

Saif ek wakeel tha isliye jaanta tha agar usne apne baap ke jurm ke baare me kuch bhi kaha toh uske baap ko umar qaid hogi aur wo ye hargiz nahi chahta tha isliye wo baar baar ek hi baat keh raha tha taake police wale thak kar usse hi mujrim qaraar kare.

"Tumhe uss ladki se itni nafrat hai ke tumne uss pr goli chala di?" Officer phir usse sawaal karne laga.

"Haan bahot nafrat hai. Mai uss ladki ko zinda nahi dekhna chahta tha isliye maine maar diya usse." Saif muskurata hua bola lekin uski aankhon me aansu jhalak rahe the.

"Aap police ko gumraah karne ki koshish mat kariye. Jo hua tha sach sach boliye." Ab officer thoda sakhti se puchne laga.

"Kaha na mai usse nafrat karta tha isliye usse maar diya. Umeed hai meri goli waste nahi hui aur wo marr gayi." Saif muskura kar puchne laga.

"Kyun nafrat karte hain aap uss ladki se?" Officer uski baat ko anjaan maar kar sawaal karne laga.

"Maine jurm qubool kar liya hai ab isse aage mujhe kuch nahi kehna." Saif sanjeeda ho kar bola.

Officer wahan se chala gaya. Wo jaanta tha ye ek wakeel hai aur ye kabhi bhi wo nahi kahega jo wo log usse janna chahte the.

Saif khamosh baitha tha jab dusra officer andar aaya.

"Tum daro mat. Mai tumhe jaanta hoon. Tumne mere bete ka case lada tha aur jeeta diya tha humein. Mai bahot ehsaanmand hoon tumhara. Tum mujhe apna dost hi samjho." Wo admi muskura kar bola.

Police ne Saif ki saari details nikaali thi aur unhe maloom chala tha uski yaadasht chali gayi hai aur issi ka fayda utha kar wo log usse apne baaton me phasa kar sab maloom karna chahte the lekin wo ye nahi jaante the ke Saif ki yaadasht wapis aagayi hai.

Saif bhi unke saath natak karne laga.

"Agar aap waqai mujhe shukriya kehna chahte hain toh mujhe janna hai uss ladki ka kya bana? Wo zinda hai ya marr gayi?" Saif ne mauqe ka fayda utha kar apna sawaal kiya.

"Uska abhi operation chal raha hai. Doctors ne usse electric shock diye aur agar koshish karenge toh shayad uske 30% bachne ke chances hain lekin bahot kam cases me aisa hota hai ke itna kam chances me koi bach jaaye. Doctors ka kehna hai agar unhe thoda aur jaldi laate toh shayad bachne ke chances 70% hote lekin waqt ke saath saath wo bahot kam ho rahe hain." Wo officer udaasi se bola.

Saif khamosh tha. Officer ne sawaal kiya, "tum kyun chahte ho ke wo marr jaye?"

"Kyunki mai usse nafrat karta hoon." Saif ne kaha.

"Kyun nafrat karte ho." Officer ne sawaal kiya.

"Aap log mujhse ye sawaal kitna bhi puch lein mai apko jawaab nahi dunga. Ye mera apna mamla hai." Saif ne sakhti se kaha aur chehra dusri taraf karke baith gaya.

"Sir ye kuch jawaab nahi de raha. Maine usse hamdardi bhi ki lekin wo apna munh nahi khol raha." Wo nakaam lauta toh bolne laga.

"Aisa karo ye saare saboot jo uske khilaaf hai court me jama kara do. Parsum iski pehli sunavayi hogi." Unke head officer ne kaha toh sab wahan se chale gaye.

Ishq Junoon (Roman Urdu/Hindi) {Completed}Where stories live. Discover now