PART 5 - A LONG WAY TO GO

1.8K 98 16
                                    

Hola Everyone

Thank you everyone for the votes & comments, Thank you for encouraging me, really means a lot. Though a few more votes would not hurt 🙂🙂🙂. Without further adieu here's the next part.

*******

In Dev's Room

Ishwari made her way towards Dev's room, she knew he was holding up a lot of emotions within himself after the happenings of the night. As she entered the room she was shocked, Dev was packing his clothes.  Recovering from the shock she asked hurriedly "Dev, ye kya kar raha hai tu. Kahan jaa raha hai?" she had a fear that he was leaving the house. Dev could understand what she was thinking "Fikr mat kar Maa, main bas kuch dino ke liye bahar jaa raha hoon office ke kaam se" he replied with a sad smile. "Lekin achanak kyun beta aur wo bhi tab jab itna sab kuch ho gaya" she replied.

"Nahi Maa, kaafi dino se ye postpone ho raha tha aur ye sahi waqt hai jaane ka aur shayad main bhi inn sab se kuch din door rehna chahta hoon, kuch din akele rehna chahta hoon" he said controlling his tears. As Dev said that Ishwari could understand that the office trip was just an excuse, she also knew that once Dev had taken a decision no one could change his mind.

"Lekin beta iss waqt Sonakshi ko teri sab se zyada zaroorat hogi" she said hoping that Dev would change his decision but Dev had made up his mind. He said "Ye sab main mere aur Sonakshi ke liye hi kar raha hoon Maa". Ishwari was confused "Matlab, kehna kya chahta hai tu Dev" she replied.

"Matlab ye Maa ki aaj jo kuch bhi hua uske baad mera shayad rishton par se vishwas uth gaya hai, main jaanta hoon ki iss waqt mujhe aur sonakshi ko ek doosre ka saath chahiye shayad pehle se kahin zyada, lekin main ye bhi jaanta hoon ki main shayad us sey nazrein na mila paaon. Maine uske pyar par sawal uthaya tha jabki usney itna sab kuch sahney ke baad bhi bina kuch sawal kiye meri zindagi main wapas aaney ka faisla liya. Mujhey pata hai ki wo aaj bhi mujhse utna hi pyar karti hai jitna main uss sey lekin shayad hum dono ke rishtey main wo vishwas nahi raha aur iske liye shayad main hi jimedar hoon" Dev bared his heart out, tears were continuously flowing from his eyes.

He continued "Aur iss liye main kuch waqt dena chahta hoon apne aap ko bhi aur Sonakshi ko bhi taaki hum dono apne rishtey ko lekar sahi faisla le sake, Hum dono ek doosrey par utna hi vishwas kar sake jitna hum uss waqt kartey they jab humney pehli bar ek doosrey se pyar ka izhar kiya tha. Kyunki iss baar Suhana bhi humsey judi hai aur iska sabsey zyada asar uss par hoga, main phir se koi aisi galti karna nahi chahta ki jissey main ya phir Sonakshi phir se toot kar bikhar zaye"

Ishwari just stared at Dev, even as her eyes were flowing. All the moments of past seven years were flashing before her. Right from the time when Dev had declared his love for Sonakshi, their first break up because of her insecurities, their marriage, Sonakshi's infertility, their second break up, Sonakshi's return and then the reunion but one question was continuously striking her mind.

Regaining her composure she asked "Dev, tera vishwas kya humarey rishtey par se bhi uth gaya hai?". She did have an idea of the answer yet wanted to listen it from Dev. Dev looked towards his mother impassively, he made her sit on the bed and himself sat down on the floor. Putting his head on her lap he said "Tu sach sun na chahti hai Maa, toh sach ye hai ki mera vishwas humarey rishtey par se kabhi nahi uthega kyunki tuney aaj tak jo bhi kiya wo meri bhalai soch ke hi kiya, lekin main iss baat se inkar nahi karoonga ki shayad humarey rishtey ke liye mere dil main Khataas aa gayi hai"

Ishwari winced, she knew her insecurities were responsible for the situation they were in today and she wanted to rectify all her mistakes. She stroked Dev's hair and asked "Kya tu mujhe uss pre-nup wali baat ya phir mainey jo bhi naa insafi tum dono ke saath kiya tha uske liye kabhi maaf kar payega Dev?" Dev looked up in surprise and said "Ye kya keh rahi tu, tu meri maa hai aur maa apne bete se kabhi maafi nahi maangti, lekin kya main tujhse ek sawal pooch sakta hoon?"

As Ishwari nodded in a Yes, he asked "Kya tujhe sach main lagta tha ki Sonakshi ke saath meri shaadi hone ke baad main Tujhe ya phir apni behno ko bhool jaoonga, kya itna hi vishwas karti thi tu apne bete par?" Ishwari was speechless, she did not know what to reply, gathering herself she replied "Nahi Dev, tu aisa kaisey soch sakta hai, iss duniya main tere upar hi to mera sabse zyada vishwas hai". Dev looked at her "Agar aisi baat hai Maa to kyun tu apne bete ke Pyar par vishwas nahi kar payi, jab tu mujhse kabhi door nahi rehne soch bhi nahi sakti to tujhe ye kaise laga ki main apne bachon se door reh sakta hoon wo bhi kuch paison ke liye" he asked with a questioning look.

Tears burst out of Ishwari's eyes, holding Dev's hand in hers she said "Mujhe maaf kar de Dev, uss waqt main darr gayi thi aur Bhaabhi ke baton ne mere darr ko aur badha diya tha, mujhe uss baat ka pachtava zindagi bhar rahega". Dev wiped her tears and said "Tujhe yaad hai maa Sonakshi ne kaise Neha ke shaadi ke waqt usey samjhaya tha, Ayan ka sach saamney laya tha, Nikki ki padhayi main madad ki thi, yahan tak ki teri ek acchi dost ban gayi thi wo aur mujhey bhi jeena sikhaya tha usney, kya tujhe kya kabhi lagta hai ki wo kabhi humey alag karti?" Ishwari nodded in a No. He continued "Rahi baat maafi ki baat to mainey tujhsey pehle hi kaha hai ki maa apne bachon se kabhi maafi nahi maangti, lekin shayad tujhey ek baar Sonakshi se iss baarey main baat karni chahiye kyunki mujhey pata hai ki bhale hi wo kabhi seedhe se na poochey lekin uskey mann main ye sawal zaroor honge." Ishwari understood Dev's words she knew what he said was true and it was time for each of them to start afresh. They sat there for some time with Dev's head on Ishwari's lap as she stroked his hair. After some time Dev lifted his head up and said "Chal Maa, ab so ja mujhe kal subah jaldi nikalna hai" Ishwari nodded and left for her room, even though she was still uncertain about Dev's decision to stay away for few days but in heart she knew it was for the best for everyone.

Sleep was far away from Dev, he had been trying for the past half an hour but couldn't catch a wink. Getting up he made his way to the kitchen and made a cup of Black coffee for himself and moved towards the gallery, as he stared into the sky his thoughts went back to the conversation with his mother, things were starting to improve but he knew there was still A LONG WAY TO GO before things would be perfect.

*******

Done, I hope I am able to do justice to the story. As always, awaiting your votes/thoughts/feedbacks & comments. Makes the writer happy 🙂🙂🙂. Please ignore the grammatical mistakes.

THE FRACTURED LOVE - A KRPKAB FF {{COMPLETED}}Where stories live. Discover now