Episode 1

3.3K 89 123
                                    

"kahani meri sunne ko mat kia kr zid tera zabt toot na jye mere zabt ki intiha dekh kr"
"

Nawabon k shehr ki Fiza main fajr ki pehli azaan gounjh rhi thi.....Asalaaatu khairum minan naooom....Asalaatu khairum minan Naoom.....Beshak Namaz Neend se behtr ha ....Wo apny Alishaan ghr k khoobsurat phoolon waly bagheechay main khri thi....Wo jhoola abhe tk harkat main tha jis pr wo kch lamhe pehly bethi Surat e naba Ki tilawat kr rhi thi...Ye wo surah thi jo usny unn dino hifz ki thi jb wo Dunia ko chor rhi thi....Ye surah usky lye bht khas thi..Tan pr Safaid rung ki kameez or neechy khuli gher wali safaid shalwar or sar se paon tk maroon Rung ki saada shawl main lipti wo chotay kad ki lrki .....Jiski ankhain choti gehri bhoori thein or palkain ghani, ankhon main aisa sukoon k agr koi bechain tarpta hua unn ankhon main jhank le tou wo bhe lamhe bhar ko jeene ki tamanna kre....ghani palkon wali ankhain num thein...Bahawalpur ki shafaf sard hawa main mouazin ub azaan k akhri kalmaat ka rass ghol rha tha . ....Maroon shawl main lipti lrki ki choti ankhon se aik nanha sa ansoo tapak kr ub bagheechy k aik khoobsurat safaid rung k phool pr ja gira ....jise jhuky phool ne bri narmi se apny andar jazb krlia...goya koi inayat hui thi unn ankhon se aaj iss phool pr..
December ka maheena tha..Hawa sard thi bht sard or yehi sard hawain jb usky wajood ko chu kr guzrtin tou usy 7 saal pehly ki wo sardi ki ratain yad ajatin jo usny Saudi Arabia main guzarin thein..Wo ek ek pal..Wo kbhe takleef ka sardi main or bhe ziada mehsoos hona wo kbhe sukoon ki ek choti c jhalak ko apny ghr ki khirki se dekh dekh kr khush hona phr wo saray pal k jb usy lgta tha wo dunia jeet chuki or phir apny aap ko unhe raton main kahein toot ta hua dekhna or khamosh rehna or phir kitny he raaz thy unn sard raton k paas usky....ye tou bs ya tou Allah janta tha ya Wo khud .....Aaj 7 saal baad bhe wo uss Marz ki takleeef ko mehsoos kr skti thi wo aisa marz tha jo dil se shru hota or ruh tk ko apni lapait main le leta aisa drd tha jiska ilaaj tou sbb janty hain mgr shifa yaab chnd log he hoty hain or shifa bhe unhe logon ko milti ha jo shifa yaab hona chahty hain .......Or phir wo bagheechy k mukhtalif khoobsurat phoolon k jhumghaty k beech main khri thi k jb choti ghani palkon wali ankhain asmaan ki trf uthin..Nazuk gulaab ki pankhri jese honton ne janbish ki Nazrain abhe tk Naye pur noor asmaan ko dekh rhi thein chamakti tamaniat se bharpur ankhain.Wo jese Khamoshi ko mehsoos kr rhi thi apny andar k shor ko kahein fajr k wqt ki khamoshi main chupa rhi thi ...Or phir jese koi purana raaz Aaj usny khol dia tha apni saheli qudrat k samny .."Mera Marz e Mustamar"Nirmal k honton se ye lafz nikly or chehre pr tabasum ki lali ne apny rung phela diye..or Mahool ka sunnata mazeeed brh gya jaise Qudrat ka zarra zarra ye Raz sunn kr hairan pareshan sa Nirmal ko dekh rha tha jo abhe tk khamosh khri muskura rhi thi...
☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆
Suraj ki pehli kiran ne Asmaan pr surkhi phelai tou parindy bhe ghonslon se nikal kr asmaan ki trf parwaaz krne lgy kainat ka zarra zarra saaf shafaf or thundi subha k daman main apny aapko sardi se bachany main masroof tha...Zinda dilan e lahore k ilaqy Iqbal town ki trf jao tou ye ilaqa abhe jaise neend k nashy se mukammal trah se bhr nhi aya tha...or yun he iqbal town ki aik gali main agr murain tou chotay baray khoobsurat gharon ki kataar main sbb se akhir main aik chota mgr sabzy se saja hua bangla bhe nzr ata jisky kalay gate k bhr sunheray haroof main likha "The Ahmeds house"apni puri shaan o shaukat se chamak rha tha...Gate se andr dakhil hon tou samny porch khali nzr ata or porch se aik trf bain hath pr aik bay had khoobsurat lawn tha jismy takreeban har sabzi ka pouda tha or anwa o aksaam k phool har trf khilay huy thy lakin iss bagheechy ki sbse khaas bat thi isky bilkul ek trf lgy Safaid gulaab ..white rose k pouday k phool yun khilay nikhry huy thy jese apni nazakat khoobsurti pr itraa rhy hon phool waqaie khaas lg rhy thy wo yaqeenan iss lawn k maalik k bhe pasandeeda hongy or wo iss bat ki gawahai khud de rhy thy...
Ghr ki rah daari aboor krny k baad agr andar dakhil hon tou samny opar ki trf seerihan jati thein ghr ki har chez main safaid rung ka touch dia gya tha ....opar lounge tha phir dain trf aik kataar main 3 kamry thy ....akhri kamry ki balcony main ek lrki ki pusht dikhai deti thi kalay reshami geelay baal kamar se neechy tk dhalak rhy thy or tan pr track suit tha kali gol gol chamkeli ankhain mobile ki screen pr jami thein ...kch lamhe guzre or koi sard hawa ka jhonka aakar uske wajood se takraya tou ruh k andar tk thund ka jhatka mehsoos hua or wo daftan peechy ki trf ghumi itny main kamry ka adkhula darwazaa ksi ne dhamaky se pura khola or aik adhair umar khatoon sar se paon tk off white chadar main lipti naheef hathon main chai ka cup liye andar dakhil huin..."Haye Mere Allah!!!!!...MISHKAT......kia haal bna rkha ha tu ne apna ..nee tujhe sardi nhi lgti??.. tu ne tou kch orha hua bhe nhi ha opar se naha k balcony main kia kr rhi ho?.....ye kia sara pagalpan meri he aulaad ko hona tha ub ye konsa naya style ha k itni thund k mosam main ye patli patloonay pehn kr or naha kr balcony main kharay hojao ub agr tu bimar hui tou mat ana mere pas satia naas ho ksi ko meri bat smjh he nhi ati ....."..uff Mama mishkat harbharai...."jarhi hun na mujhe meri colleague se bat krni thi or internet k signals yahan nhi arhy thy isilye balcony chli gai
.."Bhaar ma jye teri mui colleague tera net or tera ye mobile Saima begum mazeed bharak gaen"..oho Meri mama meri piyaaari mama" mishkat ne masoomana andaaz apnaya " kch nhi hota na amma dekhain main pehn rhi hun ..Mishkat ub bed ki trf muri jispy grey rung ka sweater or kalay rung ki shawl paray thy...jhatt se uthaye or pehnne lgi..Amma ka ghussa ub kafi had tk tham chuka tha sweater pehn ne k baad usne geelay baalon ka halka sa jura bnaya or shawl orh li uska chand sa chehra or khoobsurat safaid chamakta rung ub or bhe ziada chamakny lga tha or wo ub ye sb pehn kr jataany waly andaaz main Saima begum ka itmeenan hasil kr rhi thi..Amma apni raaj dulari ko dekh kr ub muskura rhi thein(sada ki blackmailer ha meri aulaad)....."Acha ye chai ka cup tou de den ub...ya ispy bhe dant paregi mishkat ne apny paon pr khud kulhari maari..."Han han lo pakro 25 saal ki hogai ho tum or ub tk burhi maaa tumhe chai pilaye wah Madam"....amma kehty kehty kamry se bhr chli gaen or mishkat adatan sharart bhri muskurhat dabaye apni masoom c maa ko jaty dekhti rhi ...darwaza bnd hua tou mishkat ne jese gehra sans bahar kia..."Subha ki dose puri hui."....chai ka cup hath main thamay ub wo balcony ki trf wapis chli gai or phr wakfy wakfy se ghont bhrti or roshan subha ka nazara dekhti wo pur sukoon nzr ati thi ....kch lamhe kch saniye beete thy k achanak Mishkat ka phone bajny lga....Alaram.."Oh mere Khudaya aaj tou Sunday ha.......Mishkat aaandhi tufaan ki trah peechy ki trf muri balcony ka darwaza bnd kia phir apni almari se purse nikala side table pr se kch uthany gai tou chakra gai...Chabi???gari ki chabi kahan gai rat ko tou yahin thi...ufffff bhaiiii!!!!!!! kch gehry sans le kr kamray ka darwaza khola or bhr nikal gai ...Mishkat k kamry or khalid(mishkat ka chota bhai) k kamry k beech main aik kamra tha jiska darwaza adha khula tha mishkat dhamaky k sath andar dakhil hui kamra na ziada bara tha na ziada chota mgr bht nafasat se sajaya gya tha furniture k naam pr bed almari or dressing table thy or sb k sb safaid ..
siyah chadar bed k kono se hati hui thi or bistar pr silwatain pri hui thein yun jaise koi abhe he uss bistar pr se sou k utha ho...Bhaiiiiiii!!!!!!Mishkat bukhlaai hui thi Sans phula hua tha mgr pura gala phaar kr wo chilai thi...phir wo Bathroom ki trf gai tou bathroom ka darwaza bhe khula hua tha wo kamry main nhi tha....tou phir kahan tha???.....Mishkat hawaas bakhta c kamry se bhr nikli or terrace ki trf gai jaise he neechy nzr pri tou porch khali tha......"SATIA NAAAAS!...Bhai gari le gya ....ufffffff."....Sar pakary khri mishkat ghusse or dukh se lal peeli hrhi thi ....Uff Allah...Mishkat itni subha subha kia shor macha rkha ha ...Nadia bhabi bhe darwazon k musalsal bajny k shor se jaag chuki thein..Mishkat nadia ki awaz pr chonki.."bhabi apka shohar kahan ha??....Mishkat ka ye andaaz nadia k lye naya nhi tha.."Wo sou rhy hain"Nadia ne aik hath mun pr rkhy jamaai rokaty huy jawaab dia...."Tou phir gari kahan ha??,...mishkat ne phir sawal kia...Nadia ne achanby se pehly mishkat ko dekha phr zra agay ko jhuk kr neechy porch ki trf dekha tou porch waqaie khali tha...Phir jaise kch yad krne lgi..."oh tumhara bara bhai gya ha ksi kam se gari le k tahajud k wqt jaty dekha tha maine unhe" Nadia ub mishkat ki trf dekh rhi thi jo ksi khayal or ghusse se laal surkh hrhi thi ..."Tumhe kia ha?kahan jana tha aaj tou waise bhe sunday ha or wo bhe itni subha abhe tou bazaar bhe nhi khule hongy.....?"Nadia k sawal pr mishkat phatt pri..."Bhabi apko pta haina aglay hafty sobia ki shadi ha or maine kal rat bhai se deal ki thi k aaj mujhe shopping pr le k jyngy or wo maan tk gye thy or ub ghyb ye kion aisa krty hai mere sath ..mere sath kia sbky sath agr koi apna kaam tha tou bta dete main kch or intizam krleti iss trah kion chly gye beghair btaye zaroor khud doston k sath gye hongy ghoomny..."Mishkat ub rou rhi thi gol gol ankhon se ansoo tap tap laal galon pr beh rhy thy ...
.."Yar kch nhi hota na tum pareshan mat ho ajyengy le jyngy tumhe abhe tou pura aik hafta para ha" Nadia ko apny sawal pr jese pachtawa hua tha....
Mishkat Nadia ki bat suni ansuni krty huy terrace se chli gai...Nadia bechargi se mishkat ko Jaty dekhti rhi....
**********************************
"Darr tha jis sanihay ka wo hogya ha
Teri yaadon ka asar dil pe hogya ha"

Mera Marz e MustamirWhere stories live. Discover now