epi 5

907 49 62
                                    

hafiza baad ki sard hawain or andheri raat aaj usy bilkul bhe achi nhi lg rhi thein roz wo iss tim jb sab ghr waly sou jaty tou apny sabse azeez shakhs se batain krti thi...or azeez shakhs se shyd rat ki tareeki main ghr walon se chup kr mbil pr bat krna he aaj kal ki mohabat kehlati ha....mgr yehi mohabat jab din ki roshni main apny rung dikhati haina tou...tou din main taray nzr ajaty hain....
"kitni aram se aap ne han krdi uss churail se shadi k lye...meri tou fiker he nhi hui apko .."usny rotay huy mbil pr msg type kia...or bhej dia...or phirse ronay beth gai kuch he sec main jawab mousul hua sabz batti jalnay lgi.."ye sab tumhare lye he tou kar rha hun...tumhe nhi pta humare sabb masle hamesha k lye khtm honay waly hain ye clinic mere naam lag chuka ha...or tumhe kisny kaha k main ye shadi krunga..main srf tumhara hun erum...Arham srf Tumhara ha ....."jawab prh kr uski ankhain goya khushi se chamak uthin or phir se screen k opar tez tez unglian chalany lgi thak thak..."han tou bas maine bhe jitna bhe zewar tha amma ka sab bech dia ha ...or jitni rakam aap ne kahi thi uska bandobast hogya ha....bas arham..mujhe apnay nikah main le len...main ub nhi reh skti itna bara qadam utha chuki hun ub tou meri mohabat ka aetebar krlen..."usny ansoo pochtay huy phirse msg type kia...
"Pagal lrki..tumse bht mohabat krta hun..tumhare lye he ye sab kr rha hun...or bht jald hum nikah krlengay...main sab thik krdunga...or ub tm bhe sukoon kro ..rat bht hogai ha..Allah hafiz...:).".jawab prh kar usnay sukh ka sans bahar kia or muskuraty huy ansoo poch kr sar takiye pr rkh dia .....
kesi bayhiss dunia ha ...aik dusre ki khushian cheen kr khush hoti ha kese log hain aik dujhy ka jeena haraam kr k sukoon hasil krty hain....kahein tou har su mohabat k rung bikhre huy thy tou kahein rah main har trf kantaay bichay huy thy ... nirmal jye tou kahan jye kia har koi isi trah usky jazbaat uski khuwaishat or usky khuwabon k sath khail kr agay nikal jyega..ya phir uski zindagi main bhe mohabat ki basti abaad hogi?...mgr kab....!!!!?
***********************************
"Tumhare papa ne kaha ha k tumhe sath shopping pr le jaon..tum khud pasand krlena jo acha lgy...or aima asma ko bhe le lengy"..parveen muskuraty huy nirmal se keh rhi thein..jo khamoshi se kitab main kch likh rhi thi...
"Nhi mama aap chli jyn ...ye nikah ka jora aap khud he le ayn...agay main apky sath chli jaongi .."nirmal ne bay tasur lehje main kaha tou parveen jo shelf main kitabain set kr k rkh rhi thein ruk gaen or mur kr nirmal ko dekhny lgin jo phirse likhny main masroof hogai thi..
"kia matlb?...agay?...nirmal tum humari ekloti aulad ho hum chahty hain k tumhari shadi dhoom dhaam se kren or tum ho k..."..parveen ne afsoos se kaha ....
"mama...dhoom dhaam?...kesi dhoom dham?..jab nikah sadgi se hoskta ha tou dhoom dham ki kia zarorat ha?.
kia humary deen main ye farz kia gya ha k nikah pr lakhon kharch kiye jyn tb he nikah hoga warna nhi?...."nirmal ka lehja naram tha mgr parveen uski bat sun kr hairat se usay dekhti gaen..."ye tum keh rhi ho nirmal?...yad ha tum jb choti thi tou kia kehti thi k tumhe baray baray fanoos lgy huy khoobsurat shandaar shadi halls pasand hain or yad kro jb tumhari momina khala ki shadi hui thi or music nhi chalaya gya tha kion k tumhare chacha ne mna kia tha tb tum kese ghusa hogai thien ..or ub jb tumhari apni khushi ha tou tum iss trah keh rhi ho?..."...usko kisny badla tha...logon ne ya halaat ne..ye bat tou parveen bhe nhi smjh pati thein...
"Janti hun mama jan.."nirmal afsurdgi  se muskurai .."janti hun sb yad ha.. k main kesi thi...mgr uss wqt main bchi thi mujhe ye dunia ki roshnian baray baray fanoos shehnaion ki awaz se gunjty shadi halls or rangenian pasand thein mujhe lgta tha k main inn roshanion main rahungi tou kbhe andhera mere takub nhi krega ...mgr ub jaan gai hun k haqeeqat kch or ha...andhera agr naseeb main likha ho tou koi isse bach nhi skta....mama jani ...aap jb jyn shopping k lye mujhe bta dijye ga..."wo afsurdgi se muskuraty huy parveen k mathy ka bosa le kar kmry se chli gai ..mgr parveen ko pechy bht se khayalat ne gher lia...unki beti khush nhi ha...wo janti thein..mgr jo bat usny aaj kahi wo unhe dil pr lgi thi....
***********************************
Allah kis trah se bnd darwazy kholta ha andheri rat k baad kis trah roshan sawera krta ha insan iss se bilkul baykhabar ha mgr darwazy khulty hain der se sahi behtreen wqt par behtreen tareeky se ....
"Allah ki rehmat se mayoos na hojao"(surah yusuf 87)....
Agli he duphair minar or mohid tamam documents k sath Saith ibraheem k pas phnch gye thy...Or minar k lye wo din shyd usk zindagi ka pursukoon din tha..usay job mil gai thi...aik umeed..roshni ki kiran...or khuwabon ka thikana..saith ibraheem ne usay company ki trf se aik appartement main shift krdia tha mohid aik din minar k sath raha or phir wo wapis lahore agya..wapsi par mohid ko bht sary khayalon ne uljhaya hua tha ....wo bahar se jitna laparwah or khush dikhai deta tha andar se utna he hassas or fiker krne wala shakhs tha...ub bhe usay apnay dost ki fiker thi wo kese wahan rahega or kb tk akela rahega...
wo chai peenay k lye aik hotel pr ruka ...jun he wo gari se bhr nikla uska phone bjny laga or screen par minar ka number chamak rha tha...
usny jhat se call recieve ki.. .
"kia hua saith ne mana tou nhi krdia...? gari morun?."na salam na dua hamesha ki trah usny seedha minar k zakhmon par namak charka agay se jawab bhe barabar ka aya tha...
"walikum Asalam...nhi maf krna tumhari ye akhri khuwaish puri nhi hosaky gi ..suno baykar admi mishkat ko aaj office se pick krlo asim ksi kam se sargoda gya ha or gari phirse kharab ha...'minar aik he sans main hukam nama suna gya...
"Excuse me?..main lahore gari par jarha hun jahaz par nhi jo tumhari mohtram behn ko office se bhe pick krlun hunnn.hunnn .."mohid ko kch or khof tha isilye wo taalna chah rha tha lahore tou wo kb ka phnch chuka tha..
" jis trah se tum gari chalaty ho jahaaz se kum raftaar nhi hoti uski or wese bhe Main maths main kafi acha hun..wo alag bat ha k ye maine kbhe apny teachers ko nhi sabit kr k dikhaya nzr lg jati tou...?.awal tou tm mere hisab k mutabiq lahore k hadood main ho or agr nhi ho tou adhay ghanty baad hojaogy or phir mishkat ka office tumhare ghr k kareeb prta ha isilye koi bhe bahana kiye begher meri behn ko puray 3 bje office se pick krlena..Allah hafiz..."minar ne jldi jldi bat khtm kr k call thakk se bnd krdi kion k wo janta tha mohid jawabi hamla zaroor krega ...wo mohid he kia jo aglay par jawabi bomb bari na kre...
"kia main puri dunia ka ghulam hun?...sabko main baykar lgta hun ...hun hun meri koi zindagi nhi ha na meri koi tnsns nhi hain main tou insan he nhi hun main tou jin hun..jin....wo bolty bolty ruka "hain nhi...jin nhi hun ..ye main kia bol raha hun khud ko..."usny apnay aap ko he safai pesh ki ..itny main chota larka chai ka cup le kar agya ..wo shalwar kamees main malbos koi 10 11 sal ka bcha tha melay kpry tail se chipray bal shadeed thund main bhe patli c purani sweater pehny wo muskuraty huy sabko chai pesh kar rha tha..mohid ko afsos hua....or phr usay uski maa ki kahi hui aik bat yad ai..."beta jab lgy na k zindagi main mushkilat hain or na shukri par utar ao tou bas apny se kamtar ko dekh lena tm khud shukar or sabr krna seekh jaogy..."ye bat usy bchpan main kbhe smjh na ai thi mgr aaj uss bchy ki pur itmenan muskurahat ko dekh kr mohid ka dil bhar aya tha...kahein dur se dhur ki azan ki awaaz arhi thi....usny chai ka ghont bhar kar azaan ko mehsoos kia ...sukoon ka alam tha ..phir usny dekha wohi bcha saray kam chor kr gharay k pani se wudhu kr rha tha phir usny chatai uthai or kachi zameen par bicha di...wo namaz prh rha tha..mohid bas sakt nighon se usay dekhy gya...wo jb sajda krta hoga tou kia sakht pathreeli zameen usky ghutno ko chubhti nhi hogi..?...wo jb thatarti sardi main pewand lagy purany se sweater main khara thunday pani se wudhu krta hoga tou uski ruh nhi kanpati hogi?...wo jb salam pher kr dua k lye hath uthata hoga tou kia usay apni zindagi bnanay walay se shikwa nhi hota hoga ..wo mayoos nhi hota hoga...?....wo bhe tou insan ha ...or main bhe ..mgr ...hum main ktna fark ha ..wo shukar guzar ha...shukr guxari insan ko mayos nhi honay deti usky lye ye pathreeli zameen he naram kaleen ha...or ye thunda pani jisse wo wudhu krta ha ye uski ruh ko saf krta ha paak krta ha ...wo melay kuchelay libas wala larka kitna pakeeza ha ..or aik main hun mujhe sabb muasir ha ..garam pani jisse main aram se wudhu kr skta hun naram kaleen k jispy khoobsurat janemaz bicha kar main baasani namaz ada kr skta hun or behtreen libas jisko orh kr main sardi se mehfooz reh skta hun mgr main phir bhe namaz nhi prhta ..kion k ...kion k main shukar guzar nhi hun....."mohid ki ankhain num thein larka salam pher chuka tha ub wo hath uthaye dua mang rha tha ..mohid ki sochon ne usky andar k insan ne aaj usay aik or sabaq sikha dia tha...sari uljhanain minto main ghyb hogaen ...usny aaj aik faisla krlia tha...11 sal k larky ne 29 sal k mohid ko Zindagi ka maqsad smjha dia tha......mohid sar jhatak kr uth gya....
************************************
"Ye kaise mumkin hua nirmal k tmhe aaj tk ksi se mohabat nhi hui..?matlb tum bht ajeeb ho yar tumhe kitny larkon ne uni main approach bhe kia pr phir bhe tumhe kbhe ksi se mohabat nhi hui...?.or ub arrange marriage kr rhi ho wo bhe apny cousin se....?"..asma tajasus se table par hath rkhy samny bethi masroof c nirmal se puch rhi thi...wo log islamia university llb departement main lectures dene jati thein lectures k baad aksar wo cafeteria main beth kar batain krtin ya phir library chli jatin....or ub bhe wo log library main he thein...
"Asma zindagi main or bhe bht maqasid hoty hain sirf mohabat krna mohabat pana he nhi ..."nirmal ne kitab bnd krty huy kaha or asma ki trah taik chor kr sedhi ho kr beth gai...
"yar but strange..k hum sabko mohabat hogai pr tumhe nhi hui kia tm insan nhi tumhare pas bhe tou feelings hongi na...."..masoom c asma ko abhe or bhe sawal krne thy....
Nirmal ko apni dost k iss andaz pr bht piyar aya wo kch der muskuraty huy asma ko dekhti rhi or phir goya hui...
"Asma tumne agr fsc ki hogi tou tumhe biology ka wo pathogens and immunity wala chapter yad hoga ...usmy aik topic tha active immunity ka...K jb insan ko koi marz la haq hota ha tou insan ka immune system uss marz k khilaf aik fouj tayar krta ha jisko antibodies kehty hain or ye antibodies ya fouji marz se lrty hain or usy khtm krdety hain..marz k khtm hony k baad kch izafi antibodies insan k immune system main store hojaty hain...ta k agr mustaqbil main phirse insan uss purany marz main mubtila hony lgy tou ye antibodies usy pehchan len or jaan lewa hony se pehly he khtm krden....Bss smjhlo mera bhe kch aisa he hisaab ha......wo aik lamba sa lecture de kr thunda sans bhar k phirse kitab kholny lgi..""..."ya mere Allah...tum kia bolti ho nirmal maine kia pucha or tumne kia jawab dia mere tou sar k opar se ye sari theory guzr gai bio agr mere pallay prti tou aaj main lawyer nhi doctor Asma hoti..."Asma mun bna kr uth gai ... or peechy nirmal khamoshi se bethi safhay palt ti reh gai...
"Sari dunia ka yehi masla ha...gehri batain krne walon ko pagal smjhty hain.deewana or majnoo keh kr pukaarty hain unki baton ki gehrai ko smjhny se kasir ye log phir gila bhe krty hain k aise log apny raaz apni kahanian apni uljhanain inn se bayan kion nhi krte..jb k wo log krte hain...sab kch btaty hain ...sach sach btaty hain ..mgr yehi log ghor nhi krte ...dhutkaar kr chly jaty hain..aik bar bhe matlb janne ki koshish nhi krte... agr asma aik bar bhe mujhse puchti k iss bat ka usky sawal se kia taluq ha tou main usay sab kch bta deti .ye log bas puchty he tou nhin...sab kch khud he tasawur krlete hain ..."...asma bht dur chli gai thi pr nirmal k zehn ko sochon k jaal ne phirse apny andar phasa lia tha...
***********************************
kuch sochty huy tez gari chalaty  wo jb ruka tou mishkat k office k samny...sara rasta kin khayalon main guzra uss aik manzr ne usay kia kch sikha dia tha wo ek pal main jese deen se kareeb hogya tha or aese he tou hota ha hidayat kb kahan kese mil jati ha insan iss bat se baykhabar rehta ha or jisko Allah apni rah pr lana chahta ha tou phir bahany bn he jaty hain.....
Usny ghri pr nzr dali tou puray 3 bj rhy thy...phr aik thundi sans le kar wo gari se bahar nikal gya..usny mobile nikala or aik tafteeshi nigha office se bhr ati har lrki pr dali mgr wo kahein nhi dikhi..phir kch he min baad .wo dikh gai ...wo sab main siyah shawl wali lrki ko pehchan skta tha ...dur se sar se paon tk siyah shawl k andar lipti hui....roshan chehra gulabi hont or gol gol chamakti ankhain..wo thund se hath masalti hui hawaon main dekhti office se bhr nikal rhi thi or road ki trf he arahi thi...or pehli bar...mohid ne usy bht ghor se bht der tk dekha tha..
.."Bhootni kahein ki"..wo barbaraya...or phir aik dilkash muskan usky labon par bikher gai...wo bhootni ko dekh kar kion muskura rha tha iss bat ka andaza usy bhe nhi tha..call ki awaaz pr uski muskan ghyb hui or usny phone recieve kr k kan se lga lia...sath he sath wo mishkat ko bhe dekh rha tha wo abhe tk main road tk nhi phnchi thi ...agla marhala mohid k lye kafi dushwar tha .
"kahan ha meri behn?..phone ki dusri trf minar apny bed par aram se lete huy phone kan se lgye honton pr mehzooz kun muskurhat saja k mohid se puch rha tha..."arahi ha. .kia tumne usay btaya k main pick krne araha hun?.."mohid ko iss bat ki tasali thi k minar ne mishkat ko agha krdia hoga or wo razi bhe hogii isilye minar ne mohid se usay pick krne ka kaha... wo hairan bhe hua tha k mishkat usky sath jany k lye razi bhe kese hogai mgr phir majboori k wqt ghaday ko bhe bap bnana prta ha waly muhawary ne mohid k sawalon k jawab bht achy tareeky se de diye thy..isse pehly k minar jawab deta mishkat road paar kr chuki thi .mohid ne thak se phone bnd kia..uska dil pta nhi kion bht dara hua tha wo apni trf ati mishkat ko nhi dekh skta tha isilye usny yun sabit krna chaha k wo dunia jahan se baykhbr mbil main masroof ha..
("Khud he ajyegi..main nokar nhi hun jo g madam aiye aiye krta phirun"...hun )....mishkat pehly tou hawaon main dekhti koi dhun zer e lab gungunatin hui arahi thi mgr phir usay aik shkhs nzr aya....samny khara wo 6 feet ka noujawan siyah tshirt pr grey sweater orhy huy or sar pr hood charhaye aik hath sweater ki jaib main tha or dusre se wo mbil screen pr kch click kr rha tha...wo ksi kashmakash main uljha dikhai deta tha ...."ye grey sweater yahan kia kr rha ha?"..wo wahin ruk gai...phir hairat se usay sar se paon tk ghoorti rhi..."
"Wohi grey sweater ha sath wohi khatara bhe khri ha..shakal pr azli khabasat bhe chhaai ha...iblees ki trah hood bhe sar pr charhai hui ha....aye haye....Ye wohi ha...iblees ka chela....Mohid baloch..."wo uski janib qadam uthay huy usay sar se paon tk ghoorti hui musalsal koss rhi thi...wo uss tk phnch gai magr mohid ne nzr mbl screen se na uthai ....
"Tum yahan kia kr rhy ho?.."mishkat ne usay masroof paya tou bhawen suker kr pucha ..
"..Mera aik dost ha Minar ahmed uski aik behn ha..... mohid ki nzrain abhe tk screen pr he jmi thein..."bht he sariyal kism ki bhootni typ ha...thori si hili wi bhe ha yahan se usny mathy pr ungli se ishara kia.. mgr aag bagola hoti mishkat ko wo abhe bhe nzr andaaz kr rha tha.. "..usko pick krne aya hun ..aap janti hon tou plz usay bulwa den ....."usny masroof lehje main bat khtm ki...
"Ghatttia admi...kion aye ho tm...jao yahan se main khud chli jaongi mazorr nhi hun .."wo bina sochy smjhy ghusse main chila rhi thi.... mohid ne mbil jaib main dalty huy usay ahista bolny ka ishara kia mgr wo nhi sun rhi thi..."tumm..tu...tm....jao yahan se tmhe mujhe zaleel krny k elawa kch or ata ha kia??...kion aye ho tm ...tmne kia socha tha k main tmhare sath tmhari iss khatara main sawar hokar jaongi .usny mohid ki gari pr zor se mukka dhara .hun....hun ...nhi mr mohid baloch.main Mishkat Ahmed hun "wo apni trf ungli kr k jata rhi thi...mohid ko smjh nhi araha tha k wo mishkat ko kese smbhalay ..wo ghusse main roti thi....wo hasaas thi ...mohid ki nzr peechy se ati gari pr pari tou usny mishkat ko apni trf khenchna chaha ..mgr wo ghusse main cheekhti hui peechy ki trf jarhi thi....gari ki trf mishkat ki pusht thi gari bhttt kareeb achuki thi driver ne zor se horn dia aas pas k sab log ruk ruk kr pareshan haal mohid or ghusse se cheekhti mishkat ko dekh rhy thy gari k horn pr sab ne aik sath mishkat ko bchany k lye dour lgai ....mishkat bokhla gai......"mishkkkkkaaaaaaat ......peechy mat murnaaaaa ...mohid ko sakht sardi main paseena araha tha....usky dil ki dharkan zor xor se dharak rhi thi...mishkat sakt c khri thi usay smjh ni araha tha mohid kio cheekh rha ha ird gird kesa shor ha....uska sakta tb toota jb ksi ne usay zor se thama or phir wo usay apny sath lgye bhagta hua sarak ki konay pr ly gya ....mohid phulay tanafus se mishkat ko dekh rha tha... .hood sar se gir gai thi or bal mathy pr bikher gye thy thund main bhe paseeny se sharabor ....kia ye wohi shakhs tha jo kch lmhe pehly isi lrki ko bura bhala keh rha tha or ub apni jaan pr khel kr usny usi lrki ko itny baray hadsy se bcha lia tha...mishkat ki khofzada ankhon main ub ansoo thy...jo usky galon pr se beh kr mohid k sweater pr gir rhy thy ..daftan mohid ne usay chora...usay ehsas hua wo kafi der se usy dekh rhi thi...mohid ne khamoshi se apni hood thik ki ...chehre pr koi tasur nhi tha na ghussa na parshani na kch or...wo gari ki trf brh gaya ..mishkat usay jata dekhti rhi or phir khud bhe gari ki trf chali gai.itny baray jhatky k baad usmy koi or wavela machany ki himat nhi thi..wapsi pr sara rasta wo dono chup rhy thy..Ahmeds house pr phnch kr mishkat khamoshi se gari se bhr nikli or gate ki janib brh gai...mohid ki nazron ne mishkat ka takub bht dur tk kia.....jb wo andar chli gai or mohid ko tasali hogai tou usny gari mor li or gulberg rawana hogya ..uski nzron k samny bar bar wohi manzar araha tha wo dar gya tha pehli bar pehli bar ksi ko khonay ka dar mohid ne mehsos kia tha...zehn ko badlny k lye usny radio chla dia...or radio pr koi geet chal rha tha.. .

Mera Marz e MustamirWhere stories live. Discover now