Episode 10(Akhri marhala)part 1

666 42 35
                                    

A dekh akar mujhe kia ye kamal nhi ha
toot gya ha dil mukamal pr ek darar bhe nhi ha
meri hasti hui jo dunia thi ub uska naam o nishan bhe nhi ha
wo lrki jo chand c thi tere lye
ub usi ka pursan e hal he nhi ha
thak gai hun lar lar kr bazi zindagi ki
pr ub koi rah e farar bhe nhi ha
meri himmat ko dad de k mujje ub khof e kaza bhe nhi ha
kbhe mere dil main basta tha akar
ub dekh akar mujhe tera khayal bhe nhi ha
tu jo na mila hojaongi reza reza
tu nhi ha zindagi ma kb se or ispe koi malal bhe nhi ha

driver ne gari uss mehal numa ghr k samnay roki bhr nikl kr pichli seat ka darwaza khola wo bhr nikli aik bazu pr kala coat or dusre pe bag latkye wo maray maray qadmon se ghr k andar chli gai....

darwaze pr knock ki awaz sun k wo jo washroom se nikl rhi thi chonki...
"mama jani ajyn knock kion kr rhi hain"nirmal ne tauliye se mun saf krty huy kaha..
phir drwaza khula or .."aima tum...iss wqt ."nirmal ne anchaby se usay dekha jisky chehre se saaf zahir tha k wo roti rhi ha or phr uski nigha baysakhta samny lgi wall clock pr gai jo rat k 12 bja rhi thi bhla iss wqt aima aye or wo bhe btaye begher zaror koi bat hogi..
"main aaj rat yahin rahungi tmse kchh batain krni hain.."awaz randhi hui thi wo daby qadmon se chl kr bister tk ai bag rkh kr wo dono samny couch pr he beth gaen..
"btaya tou hota aise achanak main tmhare lye chai bnwa leti ..."nirmal ko ksi anhoni ka andesha tha ..
"yar bs mama ko bta k agai sar ma bht drd hrha tha socha subha tmhare sath he office bhe chli jaongi isilye saman bhe ly ai hun fikr na kro ziada msla nhi ha bs aliyan..."or yahan usky akhri lafz pr akar wo jo khud ko tasalian de rhi thi usky chehre k tasur bigre ..
"k..kia hua...sab thik haina aima..."
"han sab thik"..kehty huy aima istehzaiya hasi..
"baqol aliyan k wo mujhe psnd krta ha pr usky maa bap nhi maan rhy wo uski shadi zbrdsti uski phupi zad se krna chahty hain or aliyan unki bat nhi taal skta tou..."..or uski ankhain brsat brsanay ko tayar thein wo zabt krne ki bar bar koshish kr rhi thi mgr nirmal k samny hamesha ki trah nakaam rhi..."bht bht waday kiye thay usny nirmal akhir mera kia ksoor tha..."ub wo awaaz k sath rou rhi thi nirmal ne uska sar apny kandhay pr rkh lia phir usky baal sehlanay lgi
"ma..maine mohabat ki thi..usky intizar main bethii rhi sab rishte thukra diye.. maine lrki hoty huy usky lye apny maa bap ko razi krlia pr wo...wo lrka hoty huy mard hoty huy mere lye .."...aik lmhe ko bs aik lmhe ko nirmal ne bilakti roti hui aima ko khud se alag krty huy uski gham se surkh ankhon main jhanka or wohi tasur wo...wohi saalon pehly wali nirmal sheikh ko dekh kr wo hili jese pairon talay se zmeen holay holay se koi khench rha ho jese ruh kabz hrhi ho...phir aima ki he awaaz pe wo hosh ki dunia ma wapis ai khud ko compose krty huy usny aima k ansoo saf kiye usay wahin bitha kr wo chai lene chli gai.....

chai ka cup aima k samnay table pr rkh kr wo apna cup thaamy aima ki kursi k barabar he khri hogai or wqfy wqfy se ghont bhrny lgi aima apny he khayalon main gum musalsal siskion k sath ansoo baha rhi thi k achanak usky kano main nirmal ki madham c awaaz pri ....."Tumhe Aliyan chaiye na?..Wo ub rukh bdl kr Aima ki ankhon main jhankty huy usse puch rhi thi jaise aima k aik "han"kehny pr Aliyan ko lakar usy dedegi..
roti sisakti aima bs hmm kr k he reh gai...
Tou phir tum usy maang lo Allah se....
Aima ne ajab sawalia nazron se Nirmal ki ankhon main dekha jaise ksi bht purani paheli ka koi hint uski ankhon main dhund rhi ho,agr mil jye tou wo usy bujha de shyd minto main...
Nirmal ki ankhain ...Choti ghani palkon wali gehri bhoori ankhain,or kia itmeenaan tha,kia sukoon tha,kia yaqeen tha kia chamak thi jo unn ankhon se chalak rhi thi...
Kia dekh rhi ho?Nirmal ne mahol ma chai ajeeb c khamoshi ko torty huy aima se pucha
Dekh rhi hun k kitna yaqeen ha tumhari ankhon main k main Allah se Aliyan ko mangungi or Wo mujhe Aliyan de dega....Tumhe yaqeen tha na Nirmal ?...tumne bhe tou manga tha na ksi ko?Tumne bhe tou chaha tha na baypanah bay had aik shaks ko?Tumne kaha tha tumhe wo dunia main sbb se ziada aziz ha or tumhe wo mil jyega phir tumhe kion nhi mila wo???..tumne tou mujhse bhe ziada duain mangi thein na?bolo btao tum ub bhe usy chahti ho bht chahti ho main janti hun tumhari ankhon main dekha ha maine phir kion nhi ha wo tumhare pas?phir kion Allah ne tumhe wo shaks nhi dia or phir main kaise yaqeen krlun k main duain mangungi tou mujhe Aliyan mil jyega...main tou tumhari trah naik bhe nhi hun..tumne tou apni muhabbat k hasool ki khatir tahajud tk prhi....phir bhe tumhare pas wo shaks nhi ha..phir kion keh rhi ho k main dua krun or mujhe aliyan mil jye ga . ?????Sawal thy ya teer ....Aik k baad aik Nirmal ki jga koi or insan hota tou toot phoot jata,mgr kia ghazab tha k ankh main malal ki jhalak tk na dikhi...Chehre pr sukoon he sukooon,kalay baadlon se takranay k bawajood chandni ki chamak main koi kmi nhi aai thi..
Aima khamosh hui tou Nirmal ka pursukoon chehra ,ghani palkon wali ankhon ka ajab itmeen jaise usy chubha ...koi jawab ha Nirmal?..nhi tou jao phir mat kaho k mujhe wo dua se mil jyega...

Mera Marz e MustamirWhere stories live. Discover now