palkon pe jami ha jo gard bs dhou dou isy
Dil main ha koi boujh?,bs rou dou isy
*****************************
"Agaen tum shopping kr k"...Saima begum tv lounge main bethi sabzi kaat rhi thein k jb Mishkat hath main shopping bags pakry andar dakhil hui...."Hmm...Pta ha Mama bazaar main tou aag lgi hui ha har chez mehngi ha....Mujhe mza nhi ata mera dil krta ha main wapis saudi arab chli jaon...koi moujza hojye halaat palat jyn mama aap kehti haina Allah moujze krne wali Zat hain..tou phir....".
"Tou phir ye k Allah sabr or yaqeen krne walon k sath moujze krty hain ..."Saima ne mishkat ki bat kat te huy kaha..."Mishkat tumhe pta ha Zindagi halaat k urooj or Zawaal ka naam ha "..Saima brtan hata kr ub tahamul se mishkat ki trf dekh kr bol rhi thein jo samny waly sofay pr bezar c bethi thi..."Yad kro wo wqt jb hum baadshaon ki trah Rehty thy...paise ki koi kmi na thi rizq ki barish or naimatain khushian sukoon yad kro bete wo sara wqt jo humne Uss pak dharti pr guzara Allah pak k ghr ja ja k usky kabay ka deedar kraya usny humain apny mehboob k ghr bar bar bulaya ...wo wqt humare urooj ka tha usmy itni khushian thein k dukh hota bhe tou khushian uss dukh ko apny andar dhanp leti thein kch mehsoos nhi hota tha.....or ye wqt k jb hum apny mulk main hain...ye apna tou ha mgr isky rang main rangny k lye bhtt wqt darkaar ha...Meri jaan Allah pak ne humain urooj dikhaya or ub jb thori c Azmaish ha thori c mushkil ha tou hum gila kren? hum mayoos hojyn?...Isy zindagi kehty hain isy jeena kehty hain mushkil halaat tou humain mazboot bnany k lye aty hain warna musalsal khushian insaan ko kamzor or khokla bna deti hain."..Saima ne gehra Sans bhr kia....."Guzre waqt pr shukr kro or iss wqt main Sabr, Allah ne zaroor koi behtri rkhi hogi ...."..Saima ub muskura rhi thein.....
"Mama aap meri bestfriend hain main apky beghair kch bhe nhi hun mera sbb kch aap hain. .."Mishkat ub sofay se uth kr Saima k pas agai thi or unki goud main sar rkh kr rony lgi....
"Paaglay...har chez ko serious nhi lete zindagi dou din ki ha enjoy kro isy.."Saima ub miskhat k baal sehlaty huy keh rhi thein...
"Mama bhai kahan hain?..kb ayngy..?
Mishkat ko achanak se kch yad aya tha sar utha kr ub wo Saima se sawal kr rhi thi..."aray han acha kia yad dila dia wo dono wahan Mohid k ksi dur k rishtedar k ghr pr reh rhy hain Minaar bta rha tha k aaj rat tk ksi saith se milny jyngy wo log phir dekho nokri ki malomaat weghera lengy ...."...
""Saith....????...Mishkat ne maa ki bat kat te huy sar utha k pucha..tajasus ...tajasus...
"Han na koi dubai ka saith ha khaad spray ka karobaar ha uska bht bara bahwalpur main, bss Allah kre wo mere bete ko nokri de de warna yahan tou jaise Bachelor ki degree ki koi ehmiat he nhi ha ...acha tum chlo ye brtan zra andar rkh ao or zra phone bhe la dou tumhari khala se bat krlun bht din hogye bat nhi hui ...."..Saima ne bat khtm krdi thi or mouzu bhe badal dia tha..mgr Mishkat ki pareshanion main bass izafa he hrha tha..."Kch bhe ho main bhai ko bahawalpur nhi rehny dungi..Kia hogya ha bhai ko itni dur kion jarhy hain humse..main khud bat krungi bhai se..Sb thik hojyega..."ksi khayal main gum ub wo brtan uthaye kitchen ki trf chli gai....
************************************
Zindagi ki kitaab main aik or Sham ka izafa hochuka tha...Bahawalpur k ilaqy satellite town main aik choty se banglay ki chath pr wo dou khry thy...
"ye lijiye g chai...Or Sahab g ne bola ha k aap log chai pee len phr wo apko bhr le jyngy..."...shalwar kameez main malboos wo kum umar noujawan minaar or mohid ko chai ka cup thamaty huy mohid k chacha ka hukam nama suna rha tha....
"Tum jao unhe kaho k bs humain gari de den ghoom hum khud lengy..."Or agay bhe phir chacha g ka bhateeja he tha..lrka bs "G bht acha"keh kr chla gya...
"Jis kam se le k aye ho wohi kro..mujhe koi shoq nhi iss shehar ko dekhny ka"...Minar k lehje se rookha pan bezargi Saf chalak rhi thi...
"Han han meri Roothi hui Dulhan...tum tayari tou krlo le jaty hain hum tumko tumhare maikay.."..labon pr shararat bhri muskurahat sajaye mohid ne minaar ko goya tung kia...
"...Bakwas na kr...Minaar mohid ko ghoorty huy chai ka cup labon ki trf le gya...Phir mohid ki trf dekh kr wo halka sa muskuraya (Mani khaiz muskurahat.).Mohid pehly ghor se minaar ki trf dekhta rha jaise iss trah muskurany ki wajha janna chah rha ho .....kch lamhe beetay phir wo dono bay ikhtiyaar hass paray...Dou doston k kehkon ki gounjh kafi dur tk gai thi....
************************************
"Hayeee Parveen tum pe tars ata ha aik tou Allah ne aulaad bhe aik di wo bhe beti opar se ziddi alag..." Nirmal study se bhr nikli tou tai rubeena ki awaaaz pr chonki thi..."Ye kb ayin....Or ye kia bol rhi hain...uff mere Allah inhe bhe abhe ana tha... ub kaise opar jaon gi inky samny dekh lia tou bss rhi sahi bezati ki qasar mujh pr puri hogi..."...Khud kalami ki halat main wo hathon ko apas main masalty corridor main chlti jarhi thi...
"Suna ha prhai khtm hogai ha Nirmal ki..."Tai ub samny sofay pr bethi pareshan c parveen se puch rhi thein.
"Han Alhamdulillah bhabi Nirmal ki training khtm hogyi ha bs ..."Parveen ne zbrdsti muskuraty huy kaha
"hmmm..phir main tumhe bta dun k Arham chahta ha k Nirmal shadi k baad nokri weghera ka rola na dale"tang pe tang charhae bethi Rubeena tai goya parveen k dil main bar bar lafzon k khanjar thok rhi thi...
"Or wese bhe humare khandan main koi lrki itna nhi prhi toba toba humne tou itni choot di he nhi apni betion ko warna aaj kal tou log betion ko utha k aram se na mehrmon k sath kam krne ki ijazat de dety hain... lo phir bayhayai ho na ho"Rubeena tai tanz pr tanz kiye jarhi thein..or Nirmal bs sakat c corridor main he khri thi..."Ya Allah ...ye sbb kia hrha ha meri shadi Arham k sath???or mujhe kch pta he nhi ha....mere Allah akhir ye log kion nhi smjhty k mujhe shadi krni he nhi ha or phir wo bhe Arham k sath........nhiiiii ...kbhe sohail bhai kbhe Arham ...Main kia tamasha hun.?ya inki aulaad?kia meri koi zaat nhi?kia meri koi khuwaish nhi?...kia meri koi izzat e nafs nhi k ye log mujhe zbrdsti khandan main adjust krna chahty hain jin logon ko meri chah he nhi unn logon pe mujhe aik boujh or majboori ki trah thopna chahty hain,?."apny aap se he sawal krti apni zat ko aik bar phirse reet riwayaton or khotay asoolon ki qaid main bnd hoty dekhti ankhon main sada ki udaasi liye wo bs chup chaap phirse study ka darwaza khol kr apny bhari prty wajood ko dhakail kr andar ly gai....
lounge main tai rubeena ki guftugu se mahool tahtarti sardi k mosam main bhe garam tha...
"Wese maine Arham se kaha ha k bhae jb Rehman k pas itni daulat ha tou wo kion haspatalon k chakar lga rha ha degree le k ..lo bhai matlb Ub ye sbb jo Rehmaan ka ha kahan jyega?..koi beta hota tou bap ka sahara bnta ub Arham bhe beta he hua na opar se dou itny kareebi rishty hain phir Arham k chacha k sath bhateejy or damad k or damaad bhe phir beta he tou hota haina main kehti hun usy k Rehman ki beti se shadi k baad wese bhe job ki zarorat nhi prni tumko lakin mera bcha tou itna koi mehnti or izzat e nafs rkhny wala ha k usko gawara he nhi....bs parveen ub tum mujhe shadi ki tareekh weghera dedou bht hogya or intixar nhi krskti main tumhari beti k farigh hony ka"....Tai Rubeena apny azli laparwah lehje main bolti jarhi thein...or parveen or momina ko jese hawl se uth rhy thy...Momina or parveen kbhe ek dusre se nzrain milatin tou kbhe Rubeena ki trf dekhtin...
"Aaa...Bhabi wo..."Rubeena tai khamosh huin tou parveen ne bamushkil bat krny ki himmat ki.
"Wo bhabi asal main bat ye ha k aap tou janti hain nirmal bri zaheen bchi ha maa shaa Allah se or wo bht khuwaishmand ha k insaaf k lye laray iss mulk main agr koi naiki krna chahta ha haq k lye larna chahta ha tou usy rokna munasib nhi or jahan tk bat mehram na mehram ki ha tou main janti hun meri beti bht naik ha jb bhr niklti ha tou puray hijaab main har chez ka khayal rkhti ha aap k samny bri hui ha bhabi aap ne tou goud main khilaya ha iss bchi ko bs aap Arham se bat kren k nirmal ko shadi k baad job krne ki ijazat de de ....mujhe pta ha wo zaroor sunega mera bht piyara bcha ha...".
"Achaaa bibi tou tum ye chahti ho k humari baho court kechariyon k chakkar lgaye...mere bete ki koi izzat nhi kia?...Dekho parveen agr yehi bat ha tou apni beti ko rakho apny paas bithao ghr or kamwaoo usse 26 saal ki tou hogi kam se kam ub wo"....rubeena hasb e mamool bina sochy smjhy bat ka batangar bna rhi thein....
"Bss krden Bhabi...."momina jo bht dair se khamoshi se jithani rubeena ki batain sunn rhi thi ub ghusse se chilai thi...
"Bs krden bht sunli aapki batain...humari beti bht shareeef parsa ha bht prhi likhi bht ahem ha sbb smjh rhi hun main..mujhe lgta tha khandaan main agr koi acha ha tou aap log...lakin main ghalat thi..yahan tou har koi Nirmal k bap ki jaidad pr fida ha...Nirmal ki tou koi ehmiat he nhi...."Momina gham or ghusse se bol rhi thein...
"...han tou bithao apni raaj dulari ko apny ghr .Koi zarorat nhi mujhe aisi bay haya larki ko ghr lany ki...mera beta ksi se kum nai naik namazi or phir doctor ....yad rkho parveen, Rehman kbhe bhe khandan se bhr shadi nhi krega apni beti ki...Or tumne aaj apni beti ka akhri rishta bhe hathon se gawa dia...main kal he Rafia se bat krungi or uski nawasi se apny arham ki bat pakki krungi or tm log dekhna kaise dhoom dhaam se mery bete ki shadi hoti ha... rafia ki Erum ksi se kum nhi ha..Tumlogon ne tou Rafia k sohail ko bhe inkaar krdia tha ajeeb he nakhry hain bhae tum prhi likhi orton ka waqie koi hal nhi ...Mujhe tou lgta ha tumlogon ne nirmal ki shadi krni he nhi ha ...bithao wese bhe mere bete pr zbrdsti thop he rha tha Rehman k maine tum pr ehsaan kia tha bas ek bar tumhari fees bhar di thi dactari ki lo tum ub meri beti ko sari omar k lye bhukto...hun....shukr mere moula jaan he chuti humari tou .."....Rubeena ne jese siray se bat he khtm krdi or hath jharty huy jany k lye uth khri huin....
parveen bs minnatain samajtain krty roty ansoo pochty rubeena ko rokti he reh gai .....
"Ye kia kiya tumne momina..."Rubeena k jany k baad parveen momina pr chilai thein...
"Maine kia kiya apa?..kia dekha nhi apny wo humari nirmal k baray main kia ol fol bol rhi thein..kia kmi ha humari beti main...Main khala hun uski ,main nhi sun ski usky baray main ghalat bat....."Momina ansoo pochty huy bol rhi thi..
"Tumhi ne kaha tha momina k lrka doctor ha khandan ka ha or ye k rubeena ko chah ha nirmal ki ..or ub ye?...Parveen ko gham ghuse hairat bss har trah k ehsas ne ghera hua tha...
"Baji mujhe nhi pta...jb hum log saudia thy tb main jb bhe yahan ati yehi sunti k Erum ,Rubeena bhabi ko bilkul bhe pasand nhi Arham prha likha ha or bhabi ko prhi likhi bahu he chaiye or iss khandan main nirmal se ziada kon prha likha ha bhala?..or phir kon humary khandan main bhr shadi krta ha bs isi khayal k tehat maine apko ye sb bola tha..mgr muje andaza nhi tha k ye log itny khudgharz niklengy..."..sari umeedain khushfehmian toot phoot gaen thein or unky toot k bikherny ki awaz Study main bay sud bethi nirmal kano tk bhe phnchi thi...mgr shyd ub nirmal k kaan iss awaaz ko sunne k aadi hochuky thy..Ye koi nai bat nhi thi......
"Kehty hain betian apny naseeb khud sath le k ati hain...meri bchi pr kia azmaish ha k har trf se rasty bnd hain...."parveen k alfaz pr nirmal ne dukh se ankhain mench lien thein.....
***********************************
"Yar ye saith araha ha ya dubai ka baadshah aaa k he nhi de rha maine chacha ko bola tha k hum subha he mil lengy mgr nhi unhe bhe bass har kam ki jldi hoti ha...Mani tumhe kion chup lgi hui ha yar kch bol he lo chal galiyan he nikal de shadeed boreat ha yahan ouff ...."Wo log Saith ibraheem k shandaar office ki building k bhr gari main bethy takreeban aik ghnty se ksi ka intizar kr rhy thy k jb mohid tung aty huy ghari ko dekhta jal k bola tha...
"Main kia bolun ajeeb he lg rha ha ab mere pas koi experience nhi tumhe lgta ha saith mujhe job dega?..bachelor kia ha wo bhe mar mar k koi shok he nhi tha mujhe iss field main bs ek majboori thi krna tha kch. yahan tou baray baray engineers bhe nakara hain mera kia hoga...."
Minaar k lehje se mayoosi thakan saf zahir hoti thi...
"Minaar saith ibraheem mere chacha ka kafi purana dost ha..chacha or saith class fellow thy lakin mera chacha teri trah tha har wqt berozgari k rony rota kbhe wasail nhi kbhe dil nhi or saith...Saith kahan se kahan phnch gya..."mohid pta nhi dost ka hosla brha rha tha ya mazeed gira rha tha...kch wqt guxrny k baad Aik bri jeap building k bhr aa ruki or driver bhr nikla phir peechy wali seat ka darwaza khola or andar se kalaf lgi shalwar kameez main malboos aik Na ziada jawan na ziada borha darmiani omar ka admi bhr nikla...Kandhay pr riwayati patky ka rumal rkha tha aik hath main tasbeeh chehre pr darhi jo abhe puri trah safaid nhi hui thi shan o shoukat se chlta wo gate kholta building k andar dakhil hogya...
"Yehi ha Saith ibraheem ...mohid ki nzrain andar jaty saith pr he tiki thein
"Tou phr chalo andar "minar k lehje main achanak se itmeenan bhar aya tha....kch tou tha saith ibraheem ki shakhsiat main jise dekh kr wo dono he mutasir huy thy...
"Mujhe Saith ibraheem kehty hain..."saith ne mushafy k lye hath agay brhaty huy kaha tha or sath he bethny ka ishara bhe kia ...
"Or humain "BEROZGAAR"...Aah"mohid k iss taruf pr sath khry minaar ne zor se koni mohid k pait main mari thi....
"Tou kon ha tum dono main se Zafar baloch ka bhateeja...."?Saith ne samny bethy dou noujawano ki trf dekhty huy pucha tha
"G main hun Mohid Baloch ..or ye mera dost ha Minar Ahmed ..isi ki job k silsly main bat ki thi aap se chacha g ne..."mohid ne iss bar bht tameez se taruf krwaya tha..
"Chalo lrky tum jao bhr isy yahin rehny dou..."
Saith ne mohid ko bhr jany ka kaha or minar ko bethy rehny ka...Mohid buray buray mun bnata kamry se bhr nikal gya....
" So Mr, Minar Ahmed"..Saith gala saf krty huy apny bilkul samny wali kursi pr bethy bezaar se Minar se mukhtaib hua..
"Apny baray main kch btao...apna taruf krwao ..."..Amoman job interviews main aise he sawalat puchy jaty hain or is sawal ka jawab minaar pechly 2 saalon main koi karooron bar dechuka tha....
"Mera nam Minar Ahmed ha mera taluq Lahore pakistan se ha maine university of punjab lahore se Bs(Hons) in agriculture kia ha or ub main job dhund rha hun...."minar ne puray itmenan se dou salon ka rata hua sabaq suna dia ...
"bss?..Miyan apny baray main btao matlb apna nasab apna mazi main janna chahta hun tumhe, tumhara mizaaj...Itni bri comapny main ..saith ibraheem unhi logon ko rkhta ha jo saith ka aetemaad jeetny main kamiab hoty hain...or mera aetemad jeetna.".kch sec ki khamoshi..."tum pr ha...baton se bhe jeet skty ho...""You Know good Communication Skills""Saith ibraheem ne agay ki trf jhuk kr minaar ki ankhon main ankhain dalty huy akhri jumly k har lafz pr zor dia tha...
"Omar kia ha tumhari?"saith ne pucha
"31 saal 2 maheene 11 din..."...dusri trf mukamal itmenan tha.
"Shadi shuda ho"?
"Nhi "
"kion tumhe nhi lgta k 30 sal se pehly shadi krleni chaiye"?
"..Nhi..mujhe lgta ha shadi tb krni chaiye jb aap responsible hojyn apny pairon pr khry hojyn..lakin yahan hal kch or hain..Berozgar ko koi apni beti kion dega..".. ...Wahan jawab milawat se paak thy
"ub tk job kion nhi mili"?Saith ko shyd minar ka itmenan chuba tha...
"Kion k main sach bolta hun..Or iss mulk main Sach ksi ko pasand nhi "..Jawab mukhtasir tha....
"Nasha krty ho ?"..Saith ne jaan boujh kr terha sawal kia tha....
"Krta tha"...wo waqaie ajeeb tha..Saith k galay main koi chez atki thi...
"Ahemm...Main kaise maan lun k tum ne nasha chor dia ha"...?kion k tum ne apny akhri jawab main "Tha"yani fail e mazi istimal kia ha..Saith ko minar ki sachai ub waqaie tung kr rhi thi
"Agr na chora hota tou aaj job interview k lye apky samny na betha hota"...Saith ko jese chup lg gai thi...Wo ub be ghor se minar k chehre ki trf dekhta rha...Bazahir pur itmenan dikhny wala chehra mgr bay chyn ankhain.....
"Zafar ne btaya tha...k tum saudi arab se aye ho..wahan koi job kion nhi ki zarori tou nhi tha k yehin aa k prhty kch or bhe tou krskty thy?"Saith ko jitni Minar ki sachai khtki thi utna he uski shakhsiat ne saith pr aik asar bhe chora tha ..saith iss ajoobay k baray main or janna chahta tha...
"Maine zindagi k 25 saal uss mulk main guzare hain log 24 saal ki omar main graduate hojaty hain or main 26 saal ki omar main university gya tha wo bhe mere rishtedar ki sifarish pr....Main drug addict tha..mera mazi mustaqbil sb nasha tha..or nasha insan ko kch nhi krne deta ...Nasha chahe koi bhe ho..Brbaad kr k he dam leta ha...Saith Sahab main ne Fsc bht he mushkilon se pas kia tha..phir 4 saal tk bht aysh kiye...or phir nasha utar gya..ankh khuli tou main Pakistan main tha...jis mulk se mujhe nafrat thi usi mulk main..."
Iss bar jawab lamba tha....Minaar ki zindagi k safar ki trah...
"..Tou phr pakistan kion aye?..Jis mulk se nafrat thi usi mulk kion aye?"
"..Kismat le kr ai ha..Main khud nhi aya..halaat le kr aye hain..". ..saith iss bar nhi chonka tha..Wo jhoot sunna chahta tha..lakin ub wo jaan gya tha ..k Agay betha shakhs kbhe jhoot nhi bolega....
"..Larky tum kal apni CV or saray documents mere office le ao..."
Saith ibraheem k chehre se saf zahir tha k wo mutasir hua ha ...
mgr minar Ahmed k chehre pr koi tasur nhi tha...Jinky dil mazi k zakhmon se choor hon phir kia khushi kia gham wo kch bhe mehsoos nhi kr paty.....
************************************
...Episode 1 main thori c editing ki ha confusion ho tou check krlen😂 .😊💕....So this is episode 2 of mera marz e mustamir soryy ub ziada details nhi dalungi agr bore hrhy hain tou😜..plz do let me knw k kia lg rha ha agy kia hoga.. !thank u...
YOU ARE READING
Mera Marz e Mustamir
SpiritualYe safar ha ishq e majazi se ishq e haqeeqi tk ka...ye Safar ha haraam se halal tk ka...Ye safar ha bimaari se shifa e kamila tk ka.....Ye safar ha Mera apka or har uss lrki ka jo muhabbat krti ha jo rishton ka paas rkhti ha jo mazboot ha toot phoot...