Episode 7

1.1K 69 48
                                    

bulb ki maljgai roshnii kamry main har su pheli thi wo study table pr biology ki kitab kholay   bethi thi pr nighaen haton main pakry mbil ki chamkeli screen pr jmi thein ...."Uff ye katy ki bchi kb online hogi..."wo baychyni se apni saheli k online anay ka intizar kr rhi thi
"Meri ye post tou dhamaka mcha degi puray facebook pr. ha koi mujhse bara shahid afridi ka deewana dunia main?..wo khayalon main khud se batain krty krty musalsal muskura rhi thi mbil ub wo table pr rkh chuki thi hath thori k neechy rkh kr kitab pr nazrain jamaye wo prh kch rhi thi soch kch rhi thi k achanak notification ki bell bji or mbil ki vibration pr nirmal ki bachen khul gaen katy agaiii yayyy...usny mbil jhapat kr uthaya lakin....
"Haha...no wayyy...shahid afridi kon shahid afridi...Kohli is the best....."...or apni post pr aik noujawan ka comment prh kr nirmal ka dil khoon k anso ronay lga khushi ki chamak ghyb hui or ankhon main ghussay se khoon utar aya.."ye kon indian ha jo meri post pr akar iss trah ki bakwas kr rha ha ...lakin meri post tou srf frndz tk mehdood ha...ye phir kahan se agya..."usny kch soch kr uss shkhs k naam pr click kia aglay he lamhe puri profile khul kr samny agai...usny ghor se naam prha ..Minar Ahmed screen pr bara bara naam chamak rha tha...or display picture aik khush shakal noujawan ki tasveer dikha rhi thi jo k dikhny main bht he sanjeeda or sudhra hua lgta tha..."Chuhay warga.."nirmal ne lab bhench kr mobile ghusse se table pr patakh dia...
"Ye ha tou katy ka he koi rishtedar...surname..oh...no..kia katy ka koi bara bhai bhe ha?..."wo jo rolling chair pr taik lga kr kxh soch rhi thi yak dam seedhi hokar beth gai..."Allah na kre k ye baghi insan katy ka bhai ho..warna mere haton qatal hojyega..bhala kese koi pakistani humare hero Afridi ko na pasand krskta ha or usky mukably main uss zero kohli ko tarjeeh de skta ha...what a loser he is ..."nirmal ub kursi se uth kr kamary main bay chyn  hokr idhr se udhr chakkar kaat rhi thi...
************************************
suraj asmaan ko cheerta hua bahiera ahmer k sar pr aa khara hua tou hawaon ne bhe zor se chlna shru krdia mamool ki trah saaf suthri shahraon pr gariyan ati jati dikh rhi thein unhe garion main se aik gari main wo bhe sawaar tha...driving seat pr betha wo larka aik hath se kan pe phone pakry huy dusre se stearing wheal sambhlay huy tha jb k mun main cigrete bhe rkhi hui thi safaid peshani paseenay se chamak rhi thi wo kisi kashmakash main mubtila dikhai deta tha..."..o yaaar..tu fikr na kr sab thik hojyega awein tnsn leta ha police k bary bary bndy mere jigri yaar hain tu ni janta mujhe bht bura admi hun main ..."usny kehty huy mobile ka speaker on kia or dash board pr rkh dia agay shyd uska dost tha jo musalsal apni pareshani ki dastaan suna rha tha...
"Yar mani...tu smjh nhi rha iss bar hum waqaie pakry jyngy ..wo log humari mukhbari krty phir rhy hain damn it they are sure about our illegal activities..."dost ne thak kr gehra sans lia tha mgr minar khamoshi se gari chalata rha usny ukta kr phone uthaya call bnd ki or phirse mbil desh board pr patakh dia..."Freaking losers"..or aik or cigrete utha kr jalany lga....
***********************************
"Wo tumhara bhaii haaaaa..."?usny chewing gum ka bara sa bubble phula kr or ankhain phaaar kr katy se pucha .."
"Han wo mera bara bhai ha..Mani bhai mere 3 bhai hain tmhe nai pta tha??..oh main kion bhool jati hun k tm mujhe dou maheeny pehly he tou dost k roup ma mili ho..."katy ne sar jhatak kr kaha. ...
"yar wese bura mat manana kafi drawny type ha.."usny balon ki lat ko ungli pr lapait kr hawaon main dekhty huy kaha
"Kia matlb"katy ne gol ankhain sukair kr pucha
"aaa..matlb ye k bnda kam se kam tasveer khenchwaty wqt to hans deta ha u knw wo urdu wala word "rayakari"he krdeta ha hasny ki .."usny baray sanjeeda lehje main apni bat katy ko smjhai .
"wo aisa he ha nirmi bht kum muskurata ha bht kum bolta ha lakin dil se bhtt acha ha mujhse bht piyar krta ha "katy ko bht kch yad aya tha wo muskura kr apni saheli ko apny bhai k baray main btany lgi...
"Hmm hoga acha tmhara bhai ha. tumhe tou acha lgega na"nirmal ne kandhay uchka kr la parwahi se kaha jese usay katy k bhai ki achai ki dastaan sunnay main koi dilchaspi na ho..
or katy bhe usky iss andaz k peechy chupi wajha se wakif thi nirmal kch bhe brdasht kr skti thi lakin pakistan pr or pakistani cricket team pr wo koi bhe ghalat bat brdasht nhi krskti thi agr minar ki jgha koi or hota tou wo zaroor usay lamby lamby jawab likh kr usay hamesha k lye block krdeti lakin na jany minar ko wo chah kr bhe kch na likh pai wo usay tameez se bhe jawab de skti thi mgr jb bhe likhny k lye comment section kholti usay ajeeb sa khof gher leta or wo uss shkhs ki tasveer ko har bar ghor se dekhti wo ajeeb tha wo srf aik tasveer tha mgr wo kion bar bar uski tasveer dekhti ha jb usay usky baray main janne ka koi shok he nhi wo kion bar bar uski profile khol leti ha..akhir kia honay wala tha nirmal ka dil kion bay chyn rehny lga tha...shyd koi marz usky dil ko ahista ahista uski nighaon k rasty apni lapait main le rha tha....
***********************************
"wah nirmal bibi kia kehny apky..hah mohabat nhi hogi kbhe..wah wah kia khoob bat ki ha aap ne" rida or nirmal chemistry k period main bethy chits pe likh likh kr batain kr rhy thy k jb rida ne nirmal se pucha tha k uska mohabbat k baray main kia khayal ha or phir nirmal ka jawab prh kr rida mun pe hath rkh kr khoob hasi thi...
"Nirmal bibi tm ne bht ghuroor se kaha ha na k tmhe kbhe mohabbat nhi hogi tou sunlo main bhe baray ghuroor se kehti hun k aik din tumhe mohabbat hogi or aisi hogi k tum jaan jaogi k ye ehsas insan ko ya tou mehboob ki aik jhalak k lye tur pr phncha deta ha ya phir kbhe mehboob k ik deedar k lye usay zameen se arsh pr le jata ha mohabbat koi mzak nhi hoti ye har insan ko zindagi main ek bar zaroor hoti ha or mujhe lgta ha wo insan aaj tk paida nhi hua jise mohabbat na hui ho mgr iski bhe conditions hoti hain mohabbat krna ghalat nhi lakin mohabbat ko hasil krne k jo rasty hum chunty haina wo ghalat hoty hain mohabbat tou Allah ki sift ha iss ehsas ko aaj kal k china k heer ranjhon ne bdnaam kr k rkh dia ha..."usny kafi lamba jawab chit pr likha or phir nirmal ki trf phenk dia....
chit prh kr nirmal tanzia muskurai thi ..or jawaban bas itna likha tha .
*phir tou wo bara he koi khushkismat hoga jis se nirmal sheikh mohabbat kregi...*..wo waqaie bht khushkismat tha mgr wo iss bat ko kbhe tasleem nhi kr pata tha..
************************************
Wqt guzer rha tha nirmal or mishkat ki dosti din ba din gehri hrhi thi phir wo wqt bhe aya k jb colg ko alvida kehna para sab khush thy .zindagi badlny ja rhi thi university k mzy. pakistan jany ki khushi .lakin andar he andar aik dukh alag colg ko chorne ka zindagi k aik ahem hisse ko chorne ka doston se juda hony ka. aaj akhri din tha colg main or nirmal or mishkat aaj bhe sath thy ...
"Tum janti ho main ye din kbhe nhi bhulungi nirmi.."wo ansoo poch kr nirmal ko dekhny lgi
"Main bhe kbhe nhi bhulungi katy.."jawaban nirmal bhe udas sa muskurai...
"Nirmi..Tum kia ho yar..?.meri zindagi k bara saal tk koi aisa dost nhi mila jo tmhari trah meri ankhain tk prh le kese tm meri chat k andaz se he mujhe parakh leti ho har dam mere sath rehti ho meri koi behn nhi or uski kmi tmhare anay k baad ub mehsoos bhe nhi hoti .."or wo hasny khelny wali shararti c lrki aaj apni saheli k galay lg kr khoob roi thi...zindagi main aik insan aisa zaroor hota ha jisky galay lg kr ronay se dil ka sara boujh utar jata ha jo zindagi ka ehsas dilata ha jo mushkilon main sahara bnta ha...or wo insan humara behtreen dost hota ha..."Mishkat Ahmed aaj Nirmal sheikh tumse ye wada krti ha...

Mera Marz e MustamirTempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang