Part - 12 [TANIA]

108 9 0
                                    

Jaise hi Sattar us se hata wo 3no us room ki taraf bhage to Sattar unhe rokte hue bola,

" Meri Ijazat (permission) k bina koii waha nahi jayega aur agar gaya to wo Anjam janta hai..."

Ye sunte hi wo log piche ho gaye aur waha se Jane lage..

" tum log kaha ja rahe ho mujhe chod k.. Yaha bohat Andhera (darkness) hai... Please ruk jao mat jao.... " Tania window se chilla rahi thi ...,

wo 3no use waha Akele (alone) chod k jane k siva kuch nahi kar sakte the.. Hall me pohach kar..

" tum dono pehle jaake kitchen me pheka hua khana uthao aur use bahar phek aao.. " Sattar keh k chala gaya.

" mujhe to bohat neend arahi yr.. " Nadim bola.

" itna sab kuch ho jane k baad bhi tumhe neend sujh rahi hai...?? " Kabir gusse se bola.

" oh ha bhool gaya ye mera ghar nahi hai..

Phir wo log kitchen ki safai karne chale gaye.
" chalo ab shuru ho jao.." Kabir ne zamin par pade khane ko dekhte hue kaha.

" ye to sad chuka hai.. Kitni buri smell hai.." Nadim Naak pakadte hue bola.

" ab chalo ise uthao warna iski smell aur badh jayegi.. " Mishkat door khade reh k boli.

Phir unho ne pura khana jaise taise ek jhole (garbage bag) me bhara, aur use phekne dono bahar chale gaye..

" yaha to koi nahi hai hum bhag sakte hai.." Nadim ne bahar Aate hue kaha..

" ruko Aage mat badhna..., Aage Laser security lagi hui hai... Agar hum yaha se bhagne ki koshish karenge to use pata chal jayega.. Alarm baje ga aur hum pakde jayenge. "

" shayed tum thk keh rahe ho tabhi usne hume itni Asani se bahar jaane diya.. Aakhir hum is musibat (problem) se kab Azad honge... "

" Sattar k mutabik hum tbhi yaha se bahar nikal sakte hai jab koi naya bakra uske hath lage ga... Tab tak hume yahi rehna hoga.. " Kabir ne kaha.

" Aakhir naye log use Milenge kab..? "Tania window pe khadi boli.

" agar koi mil bhi gaya to hum unhe yaha rehne nahi denge use bhi sath leke jayenge.. " Mishkat boli.

" kaisi pagalo jaisi baate kar rahi ho... Sattar aisa kabhi hone nahi dega..

Shortcut [ComPleTeD] ✔️Where stories live. Discover now