5~Beginning Of Revenge

319 15 6
                                    

Aarohi took Deep to her maayka and rung the doorbell. Ridhi opened the door and she couldn't believe her eyes.

Ri: Arjun beta tum?

Aa: mummy ye Deep hai, Arjun ka humshakal, isse sab Bata diya hai main ne, or ye mere badlay mein meri madat karne ke liye tayaar bhi hai.

They came in.

Ri: han lekin iske ghar walay?

D: koi ghar wala nahi hai

Aa: ma hum na ab usi ghar jarahay hain jahan se ye sari burai shuru hui hai (then she said to Deep) or Deep tum yaad rakhna ke tum wahan Arjun ban ke rahogay, or Arjun apni sautheli maa se humesha aashirwad leta hai chahay jo bhi ho, or vo apnay sautheley Bhai Virat se gusse se baat karta hai lekin pyaar bhi utna hi karta hai, khayal karna, kisi ko tumpe shak hua to tumko khatra hosakta hai.

D: theek hai chalo.

Aa: bye ma

They went from there and took an auto and sat inside and it rode away to Raichand mansion. They stepped out and Aarohi paid the driver. She held his bicep.

D: bar bar mera haath kiun pakarti ho?

Aa: Kya hai ke tum ab mere husband Arjun ban kar is ghar mein rahogay, main Arjun ke saath humesha aisay hi is ghar mein ghusti thi, to tumko zara to cooperate karna hoga, han vo baat alag hai ke akelay mein hum aisay nahi rahengay, ab chalein? Fake husband

D: hmm chalo

They went towards the gate and rung the doorbell and Roma opened the door and she was left totally shocked by seeing them.

Aa: Arjun, ab tum aashirwad bhi nahi logay ma ka?

D: oh haan

He bowed down and touched her feet leaving her surprised.

Aa: mother in law, agar aap yoon hi kharay rahogay, to hum andar kaise aayengay?

Roma moved aside and Aarohi entered along with Deep holding his hand.

R: tum logo ne poora ek saal kiun laga dia aanay mein?

Aa: aap log ke bager Arjun ka dil nahi lagraha tha, aapko to pata hi hai Arjun kaisa hai, bohat ziddi hai, vo maan hi nahi raha tha, main to bas us ke liye wapis agai.

R: oh achha, jao tumlog fresh hojao

Aarohi went taking Deep from there.

Roma went to Virat.

R: vo log marray nahi hain

V: kon nahi marray?

R: aray Aarohi or Arjun, bach gaye

V: Kya?

R: haan

V: aray yaar.. chalo koi nahi, har baar to kismat saath nahi desakti, hum is baar bhi haar nahi maanengay

On the other side:

Aa: Deep humko na shopping par jana parega

D: Kyun?

Aa: kiun ke us blast ki wajah se humari sab cheezo k cheethre cheethre urr gaye

Deep laughed at her cute style of talking.

D: achha theek hai, chalengay

Aa: wow, sadu bana hasmuskh, anyways 2 3 ghantay baad chalengay, filhal tum rest karo

D: waisay ek baat batao, tumne sab dekha kya?

Aa: Kya dekha maine?

D: vo Aaliyah k Ghar mein

Aa: han sab dekha, lekin ab tum yahan kaam nahi karogay, tumhari wohi zindagi hogi jo Arjun ki thi, or ek baat yaad rakhna Deep, tumhe sirf is ghar mein Arjun ki jagah mili hai, is dil mein nahi, jaisay hi badla pura hoga na, tumhe yahan se jana hoga.

D: achha theek hai boss.

He saluted her and she sadly turned away her face recalling something.

Flashback:

Aarohi had cut her hand while working in kitchen. Arjun saw this and came to her and sucked her blood.

Aa: haww.. Arjun?!

Ar: aray kya hua Aaru?

Aa: ye kya Dracula wali harkat kar rahay ho?

Ar: main to bas tumhara khoon rok raha hoon

Aa: nahi Arjun, khoon mat chooso, tumhe kuchh hogaya to? Sirf saniplast laga do, theek hojayega.

Arjun saluted her: Ok boss

They had a laugh as he covered her cut with a saniplast.

Ar: done

He kissed her forehead.

Flashback end.

She looked at Arjun's photo on the wall and stood up from the bed and walked towards his photo and touched it.

Aa: main jaanti hoon ke sirf main hi nahi, tum bhi mujhe miss kar rahay ho, lekin mera waqt abhi tak aya nahi hai, mujhe abhi jeena hai, tumharay badlay ke liye jeena hai, is dil mein jo badlay ki aag jal rahi hai usko shaant karna hai.

She felt a hand on her shoulder and she wiped her tears real fast and turned around and felt relieved seeing it was just Deep.

Aa: Deep tum ne to mujhe dara diya

D: sorry, lekin agar meri jagah yahan koi or hota to vo chaunk jata, isliye ye waqt ronay ka nahi balkay unko rulanay ka hai taakay tumhare Arjun ko insaaf or uski aatma ko shanti mil sakay.

Aa: tum sahi kehtay ho, main nahi roungi, lekin ye sab pata nahi kaise shuru karein?

D: unho ne Arjun ka jeena mushkil kiya tha to humko unka bhi jeena mushkil karna hoga, unko thora bhi chain nahi milna chahiye

Aa: hmm, abhi se hi ye sab shuru kar detay hain

D: lekin us se pehle.. (he forwarded his hand) dost?

Aarohi smiled and shook hands with him.

Aa: dost.. ab chalein? Sab se pehle Virat, phir Roma

They went out together and went towards Virat's room, she looked inside and saw that he was nowhere.

Aa: tum bahar pehra do, main kaam kar ke ati hoon

She went inside and looked at the jug of water, she took Virat's perfume and sprayed it in the water to make it bitter and went outside and took him to Roma's room, she also wasn't there and he stood outside and she mixed Roma's perfume in the water and went from there.

D: karwahat ko door karnay ke liye vo log cheeni..

Aarohi smiled and they went to kitchen and replaced sugar with salt and went from there.

D: bas? Itna sa badla? Itnay baray kaand ke liye, itna sa kahan kaafi hoga? Main batata hoon ek bara badla.

Aa: kya?

D: unko pagal banatay hain

Aarohi smiled.




ArDeep SS: Ek Haseena Thi Ek Deewana ThaWhere stories live. Discover now