7~Actions Speak Louder Than Words

372 15 7
                                    

Flashback Continues:
They went in and settled in her room, he adjusted his head in her lap. A lone tear rolled down his cheek. She ran her fingers in his hair.

Ar: Meri jo mom or jo bhai hai na, vo asal mein mujhe sadak se utha kar laye hain, lekin mom hai na vo hum dono bhaiyo'n mein farak karti hai, school college har jagah mujhe bheja zaroor hai lekin mujhe vo pyaar bilkul nahi karti, pura time bas torture karti hai, bachpan mein ek baar galti se Virat ko lag gaya tha to mujhe unho ne bohat danta tha, main stairs par tha, Virat stairs se gir gaya tha or unho ne kaha ke neeche aao, main bohat slow slow darr ke neechay aaraha tha, unho ne cheekh kar kaha ke jaldi aao, last stair par tha or unho ne zor se kheecha or kaha k tumne Virat ko kiun mara, maine kaha ke maine nahi mara to unho ne mere haatho'n ko zor se pakar ke kaha ke tum mujhse jhoot bologay, main tumhe ek zor ki thappar doongi.

Aa: to unho ne kya kiya?

Ar: mujhe maarne wali thi or main bhaag gaya, ek baar unho ne mere birthday mein mere munh par cake laga dia or phir na basement mein unho ne mujhe lock kar dia tha mere birthday par, or bahar se dono haapy birthday gaaye jarahay thay, itna gaaya or itna torture kiya ke birthday mananay se nafrat hogayi, kabhi apna maana hi nahi, kabhi pyaar nahi kiya or doosri taraf us Virat ko saara pyaar diya, mujhe naukaro'n ki tarha treat kiya, usse prince ki tarha, mujhe aisay jaise main koi kachra.. oh wait kachra hi samjho, sadak se uthaya jo hai

Aa: nahi, tum kachra nahi ho Arjun, kachre vo log hain, don't worry, main unke dilo'n mein tumhari jagah bana kar rahoongi gi, tumhe unka pyaar mil kar rahega

He lifted his head from her lap.

Ar: kabhi kabhi kuchh paanay ke liye apni zaroorato'n ko badalna parta hai, mujhe maa ya Bhai ki zaroorat nahi hai, mujhe zaroorat hai kuchh ban'ne ki, jis se main famous hojaun, star banunga main star, un sab ko apnay kaam se jala kar raakh kardunga

Aarohi smiled: good Arjun, very good, tumhe star ban'ne mein ziada time nahi lagega, mujhe to lagta hai vo dono jaltay hain tumse, itnay intelligent ho, smart ho, or itnay cute jo ho tum.. or saath hi itni pyaari girlfriend jo hai tumhari

Arjun smiled back at her.

Arjun smiled back at her

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
ArDeep SS: Ek Haseena Thi Ek Deewana ThaWhere stories live. Discover now