Part 54

413 17 19
                                    

Mumbai

House

"Maya baccha please ek baar darwaaza kholo mumma ko aapki fikar ho rahi hai" Roo knocks on her door

Maya (breaks things) ; aap ko samaj mein nahi aata mujhe aapse baat nahi karni just leave me alone I said, aur agar aapne mujhse kabhi bhi pyar kiya hai toh ek baar zindagi mein mera saath dijiye naki apne un dusre laadle baccho ka

Roo leans on door crying and helpless

"I am sorry Sahil mein tumhari beti ke liye achi ma nahi ban payi" she looks at his picture

Families are in too much shock after what Maya has done in school

Shrishti : di I can't believe ki Maya, actually herani nahi hui mujhe uski yeh harkat se uski vajah se bechara mere Rajiv phas gaya

Preeta : janti hu par Maya bhi toh bacchi hai na, usne galti anjane mein ki hai, aur Rajiv ne bhi woh hi kiya tha pehle

Shrishti : ha kiya tha lekin uski vajah se aaj tak kisi ka koi nuksaan nahi hua aaj tak

Preeta : woh toh ab ruchika dekh legi

Shrishti ; Rajiv ne bataya ki Maya toh upar se pari ko blame kar rahi hai jab ki uski vajah se maya ko school se nahi nikala

Tanya : I think hame Roo se baat karni chaiye, bechari kitni pareshan hogi, aur Sahil bhi nahi hai ghar par

Preeta : ha mein chalti hu sath mein, shrishti tu ghar par reh tujhse gussa handle nahi hota vaise bhi baat bigad jayegi

Shrishti ; mein bhi chalungi, kuch nahi bolungi kyuki baat Rajiv ki hai issliye

Siblings makes visit to Roo's house. Preeta calls Tanya as well to talk with Ruchika

Tanya : guys tum sure ho na, I mean abhi situation bahot sensitive hai

Preeta : karni toh padegi na, shayad hum kuch kar paye woh tumhari baat jyada samjhegi

Preeta, Tanya, Kritika and Shrishti comes to meet Ruchika at her house

Roo ; bhai aap (wipes her tears) aaiye na

Preeta : tum theek toh ho na (hugs her) woh humne socha tum pareshan hogi

Roo : woh bas aaise hi, aap toh janti hai na Maya aur uske gusse ko, bethiye na

Tanya : jo kuch bhi hua woh theek toh nahi hua, tumne Maya se baat ki

Roo : baat toh tab karungi na jab darwaza kholegi, shaam se andhar bethi hai bhabhi kya karu mein iss ladki ka

Shrishti ; tumne Sahil ko bataya yeh sab

Roo : nahi woh kal subah aayega vapas, kya kahungi usse ki mein uski amanat nahi sambhal nayi payi (hugs Kritika)

Tanya : issme tumhari kya galti hai yaar

Shrishti : tumhe usse samjhana hoga ki usne jo bhi kiya woh galat tha, mana ki woh bacchi hai lekin galti galti hoti hai

Maya (comes out) : meri koi galti nahi thi, yeh sab uss Pari ki vajah se hua hai usne ek baar bhi meri image ke baare mein nahi socha, puri school mein mera mazak ban gaya

Tanya ; beta, Pari ne aapki bhalayi ke liye yeh sab kiya aur Rajiv ko bachane ke liye, aapke paas ek aur chance hai,aur izaat kamai jaati hai

Maya : jhut hai yeh sab, ache se pata hai mujhe ki iss ghar mein har kisi ki laadli hai pari aur Khushi di agar woh hoti meri jagah tab bhi sab unki side hote

Shrishti : tum kaha baat ko ghuma rahi ho, pehle to Rajiv ke bag mein papers rak diye upar se cheating karke pass hone ko talent bol rahi ho, upar se bechari un beheno ko blame kar rahi ho jo tum par apni jaan chedak ti hai

Preetan FF : Truth of life (sequel)Where stories live. Discover now