Mumbai
Dev and Zara breaks their hug
"Zara tum aa gayi, I still can't believe ki tum mere samne khadi ho" Dev cups her face
Zara (pinches him) : ab hua na yakeen ki hum aapke samne hai
Dev : ha toh bina chimti kaatein bhi bata sakti thi na, ek toh pehle se hi waha chot lagi hai
Zara : kya hua
Dev : lekin tum yaha Mumbai mein kaise (Recalls Yash's words of meeting his love) Yash
Both see Yash standing near the car smiling
Zara : bhai jan dekha kaha tha maine kaise shock ho jayega mujhe dekh kar
Yash and Zara teases him
Dev : jyada hasne ki zarurat nahi hai samjhe na dono bhai behen pehle jhatke dete ho upar se haste ho
Yash : zara mera kaam ho gaya (puts their hands together) apna promise pura kar diya maine aur kuch
She nods no and hugs him.
Yash : bye dude, maine apni behen tujhe de di aur teri bari hai beta taiyaari kar le
Dev : zarurat hi nahi hai uske liye meri behen ki kafi hai, ja lekar aa jaldi usse pagal ko
Yash leaves in his car. Dev stares at Zara who is waving Yash
Zara : mujhe iss tarah kyu dekh rahe ho
Dev : sangat ka asar dikh raha hai mujhe, yeh batao tum yaha kya kar rahi ho
Zara : tumse milne aayi hu
Dev : main mazak ka mood mein nahi hu iss waqt chalo mere saath (Takes her in his car)
Zara : areey aaram se karo yaar, mera haath nikal jayega
Dev takes her to their farm house instead. Zara reveals her previous years to him sadly
Flashback
Scene continues from Zara's marriage day when she said Qubool hai and is married with Raza
"Uss din mujhe iss baat ka bilkul bhi andaza nahi tha mere saath kya hone wala hai, tumse kiye hue promise ke liye yeh nikah toh kar diya lekin woh zindagi bhar ki ek saza thi" Zara narrates to him sadly
On marriage night Raza shows his true color to Zara
Zara : raza hamara haath chodiye
Raza (holds her face tightly) : tumhe kya laga ki mere saath dhoka karogi aur main chup chap bethunga, bahut hi beizati hui hai pure kom ke samne
Zara tries to free herself from his grip
Raza : yeh nikah toh tumhare liye kisi saza se kam nahi hoga Zara (twists her hands tightly) uss hindustani ki yaad apne dil aur dimaag se nikal dena kyuki ab iss jail se toh tumhe koi nahi nikal payega woh toh chala gaya
Zara (pushes him) : aap abhi tak nahi samjhe yeh nikah bhi humne uss ke kehne par kiya hai, lekin hamare dil aur romm mein sirf ek hi naam hai woh hai Dev (with fire in her eyes) hum aapse yeh nikah nibhaye ya nahi lekin dev ko kabhi nahi bhulenge
Raza leaves the room angrily
"Kareeb kuch mahine tak Raza ne humse batsaluki ki lekin maine kabhi apni self respect ko jhukne nahi diya shayad issi vajah se uska gussa aur jyada badh gaya" Zara says
One fine day Raza gets furious on Zara for getting job of social worker and asks her to not work
Zara : aap hume nahi rok sakte, yeh hamara haq hai
YOU ARE READING
Preetan FF : Truth of life (sequel)
ФанфикThe plot will revolve around siblings, love, friendship and parental relationships. How will web of emotions change equation between siblings will form crux of story. Story centers on two individuals yash and khushi who embarks their journey from sc...