Holi Special + Vicky Pari confession

359 21 164
                                    

Luthra house

Rishab : so here is the deal holi ka half day hamare saath aur half apne dost ke saath you can go to your friend's house fair enough

Rajiv ; everything is fair bade papa ji

Khushi ; lekin papa ismein fair and loss kaha se aa gaya

Tanya : jab se aap paida hui hai rajkumari ji (says sweetly)

Khushi : ayee mere din kitne ache aa gaye hai mother mujhse itne pyar se baat karti hai

Rishab taps her head

Pari : acha hua galti se yeh nahi kaha ki bure din aa gaye hai

Khushi : panauti kahi ki chup ek dam and thank you papa (hugs him) you are the best

Karan coughs fakely

Preeta ; tumhara gala kharab hai kya

He coughs more again staring at her

Preeta : kya hai itna kyu khas rahe ho tum, gala kharab hai kya pata hai zarur kuch ut patang khaya hoga tumne

He keeps making noise

Tanya ; preeta bachpan mein mom na mast kadha pilati thi gale ke liye bechara koi gunga bhi bolne lage

Khushi : wow mom lekin what is kadha

Rajiv ; aisi medicine bahar milti hai kya

Shrishti : nai nahi mere rajkumar, yeh toh special medicine ha lekin ek afsos hai ki tum jaise pagalo ka ilaaj karne ke liye koi medicine nahi hai

Pari : waise masi iska ek hi ilaj hai

"Kya kaha" Khushi comes to her slowly

Pari ; pagal khana (shouts)

Sona : papa hume batao na holi ke din kya hota hai, I mean the background story

Kritika : tum na galat insaan se puch rahi ho beta, inhe apni khudh ki history nahi pata hamari history kaise batayenge

Dhruv (rubs his ears) : woh kya hai na tumhare muh se apni taaref sunne ki aadat nahi hai meri isliye puch raha hu mate

Kritika : tumhari nahi inki mate hu (grins her teeth) samjhe na

Dhruv : jo aapki aagya (folds his hands)

Maya ; suna hai bhaang bhi hoti hai jaise shivratri mein thi (sees Roo's stare) mom aap mujhse aise kyu dekh rahi hai

Sahil : beta unki aankhen hi aisi banayi hai bhagwan ji ne kya kar sakte hai hum

Roo frowns seeing them

Karan : areey chup meri behen ko koi pareshan nahi karega samjhe na chalo peeche hato

Khushi ; suna pari kuch seekh chachu se apni behen ki side lena

Pari : sorry behen mere kaan aur aankh dono bandh hai okay

Khushi (murmurs) : ha sab kuch reserved hai oh ji ke liye hum kaun hai aapke

Pari : naam toh Sikh lo movies ke angrez ki paidaish

Tanya : kya khusur purur kar rahe ho dono

Khushi : hum toh aap ki taarif kar rahe the

Karan : bhai sunn na (whispers) bhaang ka Kya karenge yaar please

Rishab : shivratri ki bhaang utri nahi hai teri Abhi tak bina piye

Dhruv : mere pyare bhai na na saale sahab apne iss devdas par rehem karo yaar

Sahil (giggles) : tujhe toh na andha bhi dekh kar bolega ki kaun devdas bhai

Preetan FF : Truth of life (sequel)Where stories live. Discover now