Yashi/Parky

267 18 25
                                    

Dehradun

Khushi runs away before Yash could meet her. He picks up the locket she dropped, the same he gifted her previously

Yash : yeh locket iss baat ki sacchai hai khushi, ki aaj bhi tere dil mein mere liye pyar hai

Orphanage kids come there to take his autograph which he gives with smile

Pinku : thank you sir, pata hai humne aapke koi bhi song miss nahi kiye

Sonu : ha aapka pura collection hai hamare paas

Yash (sits down on knees) : yeh batao aap sab rehte kaha ho

Goli ; yehi paas mein hi rehte hai, sirf 10 minute dur hai hamara ghar, matlab orphanage lekin hamari didi hai na unhone usse ghar bana diya hai

Yash : bahut hi talented lagti hai aapki didi, woh bhi meri fan hai?

Sonu : humne unse kaha ki yaha aaye lekin nayi aayi woh (whispers to him) yeh secret na sirf aapko bata rahi hu yeh pagalo ki toli nahi janti, hamari didi na chup chup kar aapke gane sunti hai raat ko

Yash : haww aapne toh secret bata diya ab kya karenge

Munna : abhi toh dinner ka time hai, chalo na guys agar late ho gaye toh didi aloo ki jagah karela khila par sulayegi

Yash : baapre karela

Pakhi ; ha didi ko jab bahut jyada gussa aata hai toh khudh karela kha leti hai ya dusro ko khila deti hai (laughs off)

Yash : interesting, baccha log aap sab ko pata hai na itni raat ko akele nahi jate bahar

Pinku : nai nai sir hamara ghar paas main hi hai we will manage

Yash : chalo aaj main aap sabko drop kar deta hu ghar pe aa jao

"Yayy" kids gets very happy to sit in his car

Yash ; adjust kar lena theek hai

Sonu : oye motu tu aage ja chal, hum sab peeche adjust kar lenge yaha

Munna : woh kya hai na sir, main bahut hi rare bandha hu aur didi ka favorite isliye mujhe VIP seat milti hai hamesha

Yash : okay ready everybody

Kids : yess

Yash : acha baccho ek baat batao aap sab yaha kabse rehte ho

Pinku ; hum sab toh yaha kitne saalo se hai (kids are aged around 7-8 years old) hamare parents nahi hai tabse

Yash : acha, toh phir tumhari didi ne itne time se aapko sambhala

Pakhi ; nai woh 2 saal pehle hi aayi, aur sabhi purane old employees ko kya nikala hai yaha se, aur phir hamara orphanage unhone kharid liya

Munna ; ha unka apna rule hai ki jo bhi khana hamare pat mein jayega woh unke haatho ka hi bana hua hoga, bahut pyar karti hai woh humse

Yash : woh toh lag hi raha hai, yaha aur koi dekhne ki jagah hai aas paas

Goli : hai na sir bahut sari, sunset point, lake side hum aapko pura din bhi lekar jayenge toh kam hoga, waise aap kab tak ho yaha

Yash : yuh samaj lo main yaha apni sabse pyari cheez lene aaya hu usse lekar jaunga

Pakhi : pyari cheez woh bhi hamare chote se sheher mein

Munna : sir hamara ghar aa gaya (sees the light off) ghar ki light bandh hai matlab didi so gayi hogi abhi

Sonu : khali buddhi, didi itni jaldi nahi soti, okay thank you sir phir milenge

Munna : dekha kitne badtameez log hai, andar aane ke liye bhi nahi pucha, sir chaliye andar . .

Preetan FF : Truth of life (sequel)Where stories live. Discover now