Yash khushi special (Mahaepisode)

549 17 24
                                    




Luthra house

Preeta organizes her room when Dev comes to see her

Dev : hi mom

Preeta : hi mere prince charles, aagaye aap apni behen se milkar

Dev : ek baat puchu aap se mom

Preeta : pucho

Dev : yeh masi ne kya khaake iss ladki to paida kiya hai, matlab ek shaaitan dusri siddhi

Preeta : bada mushkil saval puch liya betaji aapne, par answer aapko Tanya masi hi de sakti hai

Dev : baat toh sahi hai

Preeta : bekar ki baate chodo, aur yeh batao college mein sab kaisa chal raha hai

Dev : aree ha woh toh batana hi bhul gaya, mera football match hai agle hafte, dusre college ke saath agar match jeet gaye toh national level pe chance milega

Karan : wah beta, saari good news mom ke liye, yaha papa ki koi kadar hi nahi hai

Dev : papa aapne kabhi acting mein jaane ka socha hai, future mein sochna jarur

Karan : kyu nahi, mein soch raha hu tumhe vaha bhej du, na na teri uss shaitan behen ko bhej du, sahi kaha na

Dev : aap meri behen ke baare mein aisa nahi bol sakte

Karan : acha beta, bada pyar baras raha hai bhai behen ke beech mein, kabhi papa par bhi thode pyar ki baarish barsado (shouts out loud)

Preeta ; bandh karo yeh faltu ki baatein, varna dono ko bahar nikaldungi kamre se bahar, phir barsate rehna pyar

Karan : kya babydoll, hamesha mujhe daati rehti ho

Dev : ab gussa ho ya pyaar ek hi insaan par hi girayegi na

"Chalo bahut ho gaya pyar, niklo out out" Karan drags him outside

"Areey bhalai ka toh zamana hi nahi hai" Dev blabbers

Karan : ha beta hum bade bartameez log hai, okay chalo good night (closes room)

He sees Preeta staring at him with crossed arms

Karan : baby doll itne pyar se mat dekho mujhe, sharam aar rahi hai

"Acha toh ek kaam karti hu aaj na yeh dar tumhara nikal deti hu, kyu patidev" Preeta comes closer to him

Karan : baby doll control karo khud ko yaar, mujhe apni izzat bahut pyari hai

Preeta : acha yeh chamatkar kab hua, okay ab samjhi tumhara flirting ka business jo maine bandh karva diya saalo pehle

Karan : kitni smart ho gayi ho tum yaar, main bhi soch raha tha ki mein apna business reopen kardu kya kehti ho

"Shut up, looser luthra kahi ke, kitne batamaeez ho tum, baap ban gaye lekin phir bhi vaise hi ho" Preeta turns around with huff

"Kya babydoll, tumhe sach mein lagta hai, mujhe un jangli billio ke peeche bhagunga, mere pass mera kohinoor hai" Karan hugs her from back

Preeta : tum hamesha aisa hi karte ho pehle pareshan karte ho aur phir apni cute si smile se mujhe mana lete ho (hugs him)

Karan sees her in deep thinking

Preeta : you know Karan, kahi dino se na hospital mein bade ajeeb cases aa rahe hai, specially drug addicted students ke

Karan : tumhe kaise pata

Preeta :areey meri coworker ne bataya, mujhe pata laga na hai ki woh kaun hai jo inn baccho ke future se khelne nahi dungi

Preetan FF : Truth of life (sequel)Where stories live. Discover now