Mumbai
Yash comes at Oberoi house to meet Tanya
"Hey bhagwan mujhe bacha lena please, aaj toh jung mein ladne jane se kam nahi hai" Yash stands at door praying
He hears whistling of Khushi who is leaning on door
Yash : kya hai
Khushi : kya baat hai mere pyare pati dev, kya baatein kar rahe akele akele
Yash ; tumse matlab hatho samne se
"Areey aise kaise (pins to him wall) apne sasural aur itni cold entry kal toh aag ki tarah aaye the hayee mere hero sabko shock kar diya tune" Khushi caresses his face
Yash : kuch toh sharam kar, apne hi ghar mein iss tarah khade khade romance kar rahi hai
Khushi ; ha toh romance apne hi ghar par karungi na, don't worry sasural mein doze badha dungi okay
She leans to him when somebody calls her name
"Khushi" Tanya calls her
She moves away scarily
Khushi ; hi mother
Tanya : tum yaha kya kar rahi ho
"mother mein toh yahi rehti hu, abhi bahut time hai mujhe sasural jane ke liye" Khushi giggles
Tanya : yeh daanth dikhana bandh kar aur ja college ke liye ready ho ja
Khushi ; jo aap kahe (leaves)
Tanya : come toh tum ho yash
He nods. She asks him to sit
Yash : sorry aunty
Tanya : yash main tum dono ko koi jhuti umeed nahi dena chahti, isse sirf dil tut te hai aur itna toh janti hu itne dino se jo bhi ho raha tha uska sabse jyada dukh tumhe hua hai
He nods looking down
Tanya : tumhara pyar dekh kar toh koi patthar bhi pighal jaye, main apni khushi ka haath tumhe uss din dungi jab tum apni mom ko lekar aaoge hamare ghar pure dil se iss rishte ko
Yash : agar main aisa nahi kar paya
Tanya : toh samaj lena meri khushi tumhari kismat mein nahi thi, mujhe maaf kardo, lekin khushi woh sab nahi dekhe gi jo maine dekha tha, kya mein tumse itna mang sakti hu
Yash : aap bilkul waisi hai jaise Khushi ne bataya, Lekin woh aap jaisi kyu nahi hai jo apne pyar ke liye ladh sake
Tanya: jante ho yash tum bilkul rishab ki parchayi ho, Main bhi Khushi ki tarah unse dur jana chahti thi Lekin pyar ke bediyo ne rok liya
Yash ; aap ka haq shayad mujhse jyada hai khushi par lekin uske pyar par mera hai
Tanya : nahi yash, main aaj se apni pagal beti ko tumhare hawale karti hu
"Sacch" Khushi shouts in excitement
Tanya : yash mujhe ek baat batao, tum yeh radio kaise jhelte ho bahut patience chaiye iske liye
"Jaise humne aapko jhela hai yeh bechara bhi seh lega" Rishab tells to her
Tanya : areey chodho main tumhari beti ki tarah pagal nahi hu
"Oh meri pyari behna upar aa jaldi" Pari shouts her name
Khushi goes
Yash : ha woh khushi ne mujhe kaha tha ki woh bilkul aap par gayi hai, uncle aapko salute hai waise itne saare radio ek saath jo sunte hai
YOU ARE READING
Preetan FF : Truth of life (sequel)
FanfictionThe plot will revolve around siblings, love, friendship and parental relationships. How will web of emotions change equation between siblings will form crux of story. Story centers on two individuals yash and khushi who embarks their journey from sc...