Mumbai
Tanya comes to meet Sherlyn at her house
Sherlyn : bade dino baad aayi hai tu kya baat hai ab toh beti ki shaadi bhi fix ho gayi
Tanya : kaha yaar abhi toh yash ke mom dad se bhi mulakat nahi hui hai, yeh sab chodh tune yaha kyu bulaya mujhe
Sherlyn : tujhse kuch baat karni hai
Tanya : ha bolna dekh office se half day ki leave li hai specially jaldi bata
Sherlyn : pari aur vicky ke baare mein (she sees confusingly) dekh pehle meri baat sunle phir bolna theek hai
Tanya : ha lekin baat kya hai
Sherlyn tells her everything from college incidence
Tanya ; I don't believe this yeh ladkiya bhi na aaj khabar leti hu, mujhe toh kuch batati hi nahi hai kabhi bhi
Sherlyn : hume bhi nahi pata chalta agar woh video nahi dekha hota humne uss din
Tanya : samaj nahi aa raha kaise react karu iss baat par matlab sach mein dono ek dusre se pyar karte hai
Sherlyn : mujhe bhi pehle yehi laga tha ki shayad yeh attraction hoga lekin vicky ki baatein sunkar samaj aaya ki woh sach mein pari se bahut pyar karta hai
Tanya : main pari se baat karti hu, mere liye isse achi aur kya baat hogi ki vicky itna pyar karta hai pari se, tension dur kardi tumhare bete ne meri
Sherlyn : itni khush mat ho bechari pari pata nahi kaise jhelte hogi uski dramebaazi, tanya ek baat batao tumhe kuch toh pata hoga na yash ke family ke baare mein
Tanya : ha woh karan ne sab information nikalwayi thi shaadi se pehle, yash ki mom woh Dr Sophia hai jisne preeta ka treatment kiya tha
Sherlyn : thats great lekin mujhe aisa kyu lag raha hai tum mujhse chupa rahi ho
Tanya ; woh (hesitates) yash iss waqt prithvi ke ghar rehta hai
Sherlyn ; what? lekin yash ka lena dena usse aur tune jante hue iss rishte ko ha keh diya
Tanya : ek minute, tumhe woh concert ki main head toh yaad hogi Naintara woh yash ki masi hai and woh prithvi ki wife hai
Sherlyn : seriously Tanya, matlab koi aise hevan ke saath kaise shaadi kar sakta hai, acha toh uss din hum Prithvi ke ghar gaye the wohi par yash rehta hai
Tanya : ha shayad kismat bhi yehi chahti hai, sach kahu yash ko mana karne ki himmat nahi hui uss din mujhe agar maine kar diya hota toh uska dil nai woh khudh tut jata
Sherlyn : lekin uss Prithvi ka kya
Tanya ; I don't care mere liye meri beti ki zindagi maine rakhti hai, aur phir tum sab mere saath ho aur mujhe kya chaiye
Sherlyn : yash ko sach toh pata nahi hoga na, agar usse pata chal gaya toh kya woh khushi se shaadi karega aur uske gharwale
Tanya : pata nahi sherlyn lekin agar woh log prithvi ko itne gunah karne ke baad bhi apna sakte hai toh khushi ki kya galti hai inn sab mein aur mujhe kisi aur se jyada yash par bharosa hai
Sherlyn ; i hope jo tum keh rahi ho woh sahi ho Lekin pata nai kyu Vicky aur pari ke rishte ke liye dar se lag raha hai mujhe
Tanya : kyu
Sherlyn : Areey tumne dekha nahi hai Vicky bahut zyada pyar karta hai Pari se tumhe guruji ki baat yaad hai na
Tanya : tum kehna Kya chahti ho
Sherlyn : mujhe galat Mat samajh na please Lekin bahut purani kahavat hai haadh se jyada pyar bhi acha nai hota
Tanya : aisa kuch nai hoga tension kyu le rahi ho mujhe der ho rahi hai office ke liye I will see you later bye
YOU ARE READING
Preetan FF : Truth of life (sequel)
FanfictionThe plot will revolve around siblings, love, friendship and parental relationships. How will web of emotions change equation between siblings will form crux of story. Story centers on two individuals yash and khushi who embarks their journey from sc...