Fear vs love

246 25 47
                                    

Mumbai

Rajiv brings Jenny to Tanya's house at night

Rishab : rajiv tum yaha iss waqt aur yeh jenny hai na kya hua sab theek hai na

Rajiv : woh bade papa (sees Jenny who is scared) kya woh yaha reh sakti hai

Rishab : ha lekin hua kya hai come on in, Pari (sighs her)

Pari takes Jenny to her room and gives water

Rishab : batao toh sahi beta hua kya hai ab

Rajiv : maine jenny ko puchne ki koshish ki lekin usne mujhe sirf itna kaha ki uski mom kal se ghar nahi aayi hai unka phone bhi nhi hai

Rishab : ha toh police mein complain kar sakte hai na

Rajiv : usse shaq hai ki uski woh villain mami ne shayad kidnap kiya hoga I don't think its good idea to involve police

Rishab ; rajiv mujhe pehle se sab kuch batao kya hua hai

Pari : jenny tum kapde change karlo jo pasand aaye le lo

She nods fearly and goes in washroom

Pari : yeh di kaha reh gayi phone bhi nahi utha rahi, zarur romance mein busy hogi

Luthra house

Khushi comes to meet Karan who is busy calling dev

Karan ; I hope dev theek se pahuch gaya hoga, pata nahi

She knocks the door

Karan ; khushi tum yaha come (gets little emotional seeing her) aise achanak aa na andar

"I am sorry chachu, maine aapko bahut hurt kiya na, sorry aap se itna rudely behave kiya" she runs to hug him

Karan : areey baccha aise nahi bolte (caresses her hair) tumse naraz thodi ho sakta hu kabhi ab toh hasne ke din hai tumhare liye

Khushi : lekin mere bhai aur aapke bina nahi meri har khushi adhuri hogi, aap khush toh hai na mere aur yash ke rishte se

Karan : khush nahi hu

She gets upset again

Karan : bahut jyada khushi hu, pagal ladki this is not fair akele aayi ho tum apne half husband ko lekar nahi aayi

Yash : kya sir iska bas chale toh mujhe doli mein bithakar sasural lekar jaye

Karan : kya baat kahi hai tumne (folds his hands) dhanya ho gaya hu tumhe dekh kar hey bhagwaan

Preeta : kya chillam chili ho rahi hai (comes yawning) tu yaha

Karan : preeta devi ghar ka damad aaya thoda aaram se baat karo usse chai nashta pucho

Yash ; nahi sir I am okay sorry woh aapko itni raat ko disturb kiya lekin isne kaha ki aapse milna hai toh main

Preeta ; woh toh hume pata chal gaya iske alava kisika idea nahi hoga kyu rajkumari ji

Khushi : thank you masi

All grins at her

Khushi ; aap sab mujhe itne pyar se kyu dekh rahe hai mujhe sharam aati hai

Preeta : khushi (sternly)

Khushi : yes masi (sweetly) aap ne kuch kaha

Yash : chal yaha se unhe sona hai abhi lets go

Khushi : sona toh apne ghar par hai, yaha kaha hai mujhe toh dikhayi nahi de rahi aankhen check karvani padegi

Preeta : sirf aankhen nahi bahut kuch check karvana padega tujhe

Preetan FF : Truth of life (sequel)Where stories live. Discover now