Ultimate Intelligence

1K 87 111
                                    

Bhav: kuch nahi.. pagal hai dono.. sahi kaha tumnee.. in dono se competition hai tumhari.. jao jao.. padhai karo warna vapas ye dono 1st aa jayengee (and they both are continuously laughing)

Avni: Sidd.. kya baat hai?

Bhav: kuch nahii.. jao naa.. guyss shut up.. wo kuch nahi jaanti.. shut up!!

Avni: nahii... Something is fishy... Rimi bata na yaar!

Rimi: Aree.. tujhe kya lagta hai mai aur Sid aise hi itna score karte hai kyaa??

Avni: matlab?? Cheating karte ho tum log??

Sid: Aree nahi nahii.. hum cheating nahi karte... Puri imaandaari se paper likhte hai lekin hamari padhai Bhav karwata hai.. he prepares us for our exams!! hum dono se at least 100× jyada intelligent hai Bhav..

Avni: kyaaa??? Kuch bhii.. pichle 7 8 saal mein to hamare aas paas ka bhi rank nahi aaya hai iska kabhi

Rimi: umm well wo isliye kyuki wo nahi chahta tha.. uska aim sirf pass hona hota hai.. ab 100 marks ke paper mein wo 50 marks ka paper attempt karega to kitna score karega naa? (Avni is confused) Agar iss gadhe ka man top karne ka hota to pichle 10 saalo mein tum mein se koi bhi kabhi bhi top nahi kar pata (laughing)

Sid: he is the person with ultimate intelligence...!

Avni: do you mean.. ye jaan bujh kar galat answers deta hai?

Rimi: nahi.. lekin ye jyada se jyada adha paper attempt karta hai

Bhavya: nahi ek kaam karo ab Avni ko apni identity bhi bata hi do naa.. mai bata du apni identity?

Sid: kyaaa?? Tera dimaag kharab ho gaya hai kya?

Bhavya: nahi.. lekin mujhe laga ab hum apne saare secrets use bata hi rahe hai to ye bhi bata hi denge

Rimi: aee baba.. chup karr... sorry kuch nahi batayenge

Bhavya: Avni.. pleaseee.. please ye baat kisi aur ko pata nahi chalni chahiye.. ok?

Avni: Aree lekin why do you even do thatt?? Kya milta hai aisa karke?

Bhavya: maine tumse pehle bhi kaha tha mai kisi cheez mein centre of attraction nahi banana chahta tha isliye I have always been an average student aur aage bhi mai ek average student hi bana rehna chahta hu..

Avni: damnn.. tum dono ise samjhate nahi... to attempt pura paper??

Sid: Hum teeno mein to he is the most sensible person.. hum kya samjhaye ab use? (Laughing)

Avni: tumhara matlab hai aise average student bane rehna thik hai?

Rimi: Avni.. har koi apni life mein alag cheezo ke liye struggle kar raha hai.. tum charo apni rank ke liye kar rahe ho lekin hum teeno ka struggle tumse bohot alag hai... Hamara jeene ka maqsad tumse bohot alag hai.. Wo jo kar raha hai uske behalf pe shayad wahi sahi hai.. pata nahi..

Avu: jeene ka maqsad? Guyss too heavy words hn! Bade hoke doctor, engineer ya jyada se jyada Prime Minister banana.. isase jyada aur kya maqsad ho sakta hai zindagi ka?

Sid: jo bhi hai.. in sab cheezo se to kaafi alag hai.. in fact hame bhi aisa hi karna chahiye lekin humne kabhi kiya nahi.. not that Bhav is right and we are wrong ya he is wrong and we are right lekin one thing is for sure and that is he is the bravest amongst us kyuki he is the only person who can actually sacrifice his own scores jab ki mai aur Rimi nahi kar paate aisa.. jab hum answers jaante hai to nahi chhodkar aa paate

Avni: he bhagwaan... You guys are really complicated..

Bhav: Avni pleasee do me a favour... Iss baare mein kabhi kisi ko pata nahi chalna chahiye

Khamoshiyaan: Kahi Teri Khamoshiyaan Jeet Na Jaaye Pyaar SeWhere stories live. Discover now