Main himmet kerke Dua ke paas ja bethi .unka main gate khula hoa hi tha. Mere poochne per ke akhir wo sab se baaten kyu nahi krrti ,humse dosti kyu nahi kerti . Usne ik bara ajeeb sa sawal kerdiya . Wo kehti hai ke wo Dua jahangir nahi bulkeh dua zaif hai ! Wo mujhse poochne lagi ke akhir uske gharwale kyu yeh manne ko tayyar nahi .unka kehna hai wo sab ik dhoka tha mere mann ka wehem . "Kya main pagal lagti hun tumhe ??" Mere mana kerne per usne udaasi se apna ser apne ghutno per rakh diya . "Main bohat taqleef main hun ,ik aag hai jo her waqt mere jism ko jalati rehti hai "
" To tum iska ilaaj kyu nahi kerwati ho ,dua ?" Main ne dheere se uske kandhe per haath rakha .
" Mujhe lagta hai ke agar yeh aag mere wajood se hat jayegi to main marr jaaongi . Is aag se mohabbat hogayee hai mujhe ,yeh meri zindagi hai ,main is se peecha nahi churrana chahti . Yeh mere Zaif ki nishani hai ,uske hone ka ahsaas ,wo wapas zarur ayega " dua ki aankhon main ik chamak si ubhri thi ,magar dusre hi lamhe uski aankhon main itna gussa tha . " Usko wapas aana hi hai to wo gaya hi kyu ,haan ?? Gaya hi kyu wo ?? Usko samjh nahi aata ke isterha wo mujhe chorr ker nahi jasakta , wo bewafa kaise ban sakta hai ?!?! " Wo uth kheri hoyee .uska chehra gussse se laal horeha tha .main bhi darr ker us se door hogayee ,usne jhapat ker mujhe kandho se pakda aur buri terha jhinjhod diya . "Insaan bewafa hota hai ,insaan ! Tum samjh rrhi ho ,ussey batao jaker ,usay bulao jaker ! " Wo ab cheekhne lagi thi usne apna ser pakad liya aur zor zor se cheekhne lagi .uski awazen sunker andar se aunty bahar agayeen . Mujhe kuch samjh nahi aya ,main bohat darr gayee thi isliye kuch kehe bina wahan se bhaag ker apne ghar agayee .Dadi sahi kehti hain , Dua se durr rehne hi main bhalayee hai .meri tauba jo phir kabhi aisi heropanti kerun ! Main ne kaano per haath rakh liye .wo abhi tek cheekh rehi thi aur aunty usko sambhalne ki koshish main halkan horehi theen . Main ne uth ker apne kamre ka derwaza band kerdiya !!!
Aaplog soch rehe honge ke yeh to wapas agayee to akhir Dua aur zaif ka raaz kaun kholega ?
To main aapko bataoon ke duniya main koi aisa raaz nahi jisper se perdah uthane wala na ho .
Hoa kuch yun ke wahan se wapas ane ke baad mujhe bohat tez bukhar hogaya ,shayad uski aag ki tapish thi jisne mujhper asar kerdiya tha .mere dil main aisa darr beth gaya tha ke raato ko darr ker uth jati thi . Meri aisi halat dekh ker meri Dadi ka matha thanka tha .Mere dada ke dost hain ,bohat ilm wale hain,unhe bulaya gaya aur unke dum wale paani se meri tebiyet behter hogayee . Wo jaate jaate mere ghar walo se sakht khafa lag rehe they . " Tum logo ko ik dafa samjhaya tha na ke apni betiyo ko us se durr rakhna ,tumlog ko samjh kyu nahi aati , hum us ik bacchi ko to bacha nahi sake ,hume aur pereshaan met kero " yeh keh ker wo to chale gaye . Magar mere zehen main hazaro sawalo ko utha gaye . Kya Shah ji dua ki baat kerehe they ,kis baat se bachana chahte they wo Dua ko ,humare perosiyo se akhir unka kya waasta . Ik raat akhir main ne dadi se pooch hi liya .wo bhi shayad SHAH ji ki wajha se purane dinon ko yaad kerne lagi theen . Mere poochne per unhone mujhe jo bataya wo aap sabke liye haazir hai .
......Jahangir ahmed ki family pehle kisi aur sheher main rehti thi .is qasbay main unki phoophi ki beti raha kerti theen apni family ke saath . Jahangir ahmed aqsar apni family ke saath chuttiyo main yahan aya kerte they . Ik hi beti thi unki DUA JAHANGIR . Aur akeli aulad hone ki wajha se bohat laad main palti thi . Koi bhi qisim ki rok tok nahi thi usper .
Yeh un dino ki baat hai jab Dua college main thi aur ghar per hi tutions liya kerti thi . Wo log yahan Jahangir ahmed ki phoophizad ke bete ki shaadi ke silsile main aye hoye they .
Dua to pehle hi se khoobsurat larkiyo main shumar hoti thi , makeup ne to jaise uski khoobsurti main chaar chand laga diye they . Khoobsurti ka ik alag hi guroor ,ik alag hi tashan hota hai .Dua main bhi aitemad ki koi kami nahi thi .Her ik se hansna bolna ,baaten kerna usko bohat pasand tha aur maa baap ne rok tok bhi nahi lagayee thi .
Uski yehi ada kisi ki nazro ke hisaar main agayee thi . Shaadi ki taqreeb main ik table per bethey us wajih aur khoobsurat mard ki nigaahen Dua ko apne hisaar main liye hoye theen . Ghane ,siyah chamakdaar baal ,behtereen qad kaath ,ik hi nazar main dil.main uter jaane wale naqqush aur utni hi jan lewa shakhsiyet ka hamil wo shaqs bhi kisi shehzade se kam nahi tha .
" Zaif ,yahan kya kerehe ho? " Kisi ne awaz di . Us khoobro shaqs ne nagawari se gardan ghuma ker pukarne wale ko dekha . Go ke usko isterha pukaare jaana pasand na aya ho .
" Bas ,aa hi raha hun ,zara der yahan ruk gaya tha " usne kamal e be niyazi se jawab diya aur ik nazr ithlati hansti bolti ,uski maujudgi aur dewane pan se anjan dua per daali aur wahan se chala gaya .
Shaadi ki taqreebat nipta ker wo log bhi wapas chale gaye . Dua ne college main farsi ka subject to le liya tha magar usko ghar main bohat taqleef ka saamna krrna pereha tha . Koi acha teacher mil hi nahi reha tha . Roz hi ghar main yeh teacher wala topic chalta rehta tha . "Dua , fail hojaogi us se behter yeh nahi ke tum subject change kerlo " uski ammi ka yehi ik jawab hota tha .
" Itna asaan nahi hai na warna to kerleti ,per mujhe khud bhi farsi perhni hai ,aapne kaha tha kisi se baat kerenge ,abbu ?? "
Jahangir ne apni plate main chawal nikalte hoe apni laadli beti ko dekha aur muskura diye . " Haan ,beta , apne ik dost ko bola hai ,us ke jaanne walo main hai koi jo Farsi perhata hai ,dekho aajkal main ayega to baat kerlenge ,ab Khush ?? "
" Her zidd to sunlete hain aap ,phir kya wajha hai jo khush na hogi aapki ladli " uski ammi ne khush hoti Dua ko ghoora . " Baccho ki her baat bhi nahi maan leni chahiye ,ik to larki hai ,agay phir mujhe hi sunna perta hai ,aapka kya hai !!" Dua ne uski ammi ko yun naraz hote dekh ker plate per ser jhuka.liya aur chup chap khana khane lagi .
.....
आप पढ़ रहे हैं
AAG KI TERHA
Paranormalabout a girl and her journey of love but not all love stories r wht u think they are !!