AAG KI TERHA :WAQT

61 6 3
                                    

Dua baar baar apne maathey se paseena saaf kerehi thi .ik ajeeb si bechaini thi jo us ke wajood per chhaii hoyee thi . Atishi rung ka bhaari kaamdaar joda uske nazuk wajood ko thakaye de raha tha  .   Palang ke beecho beech bethi us dulhan ko apne dulhe ka intezaar tha jo namaloom  kin kaamo main masroof tha  . subha se leker abtek ki baaten uske zehen main kisi film ki terha chal rehi theen  . kal raat hi Zaif ne bataya tha wo jald hi nikah kerlenge aur phir wo usko  uske maa baap se bhi mulaqat  kerne ki ijazat dega ,lekin wo jald aaj hi hoga uski Dua ko umeed nahin thi . is din ko leker amooman her larki ke dil main beshumaar sapne hote hain ,armaan hote hain  , mehmano se bhara ghar ,sehelion ka hansi mazak ,maa baap ki balayen leti nigahen  ! kuch bhi to nahi tha uske paas magar mehboob ki qurbat ka ahsaas ,us ko paa lene ka khayal in sab baaton per bhaari per raha tha  .

Subha  se wo is kamre se nahi nikli thi .Zaif ne usko mana kere rakha tha . uska dulhan ka joda ,zever usko subha hi bister per rakhe mil gaye they . dopeher tek do aurten bhi  ayi theen .najane kaun theen . dono maa beti lagte they ,ajeeb si nigahen thi unki ,rooh main pewest hojane wali .wehshetzada kerdene wali khamoshi ,wo aurten kaun theen Dua nahi jaanti thi .un aurton ne bhi  Dua se baat kerne ki zaroorat mehsus nahi ki thi .apas main aankhon aankhon main najane kya ishaare kerti rehi theen .Aisa lagta tha jaise dari hoyee si hon .Bahar se kisi ne awaz di thi jisko sunker wo aise bhaagi theen jaise ik lamhe mazeed yahan rukne per unko saza e maut hojayegi  !                                               Dua  ke khayalaat ki dor teb tooti jab usey apne paas ksi ke bethne ka ahsaas hoa .  "Mubarak ho ! " kitni hi khushi ,kitne hi waalhaana jazbaat the jo jhelek rehe they .usne palken utha ker dekha to jaise nazren hatana hi bhool gayee . koi shehzada tha jo apni puri aan baan ke saath betha hoa tha . itna khoobru mard shayad hi Dua ne kabhi dekha tha  . wo to yun bhi husn o  wajahat ke mamley main kam nahi tha magar aaj to dulhe ke roop main to gazab  dha raha tha  .aisa mehboob saamne ho to phir kisi aur ki kami mehsus hi kahan hoti hai ! Dua ka bhi kuch aisa hi haal tha ,din bhar ki sochen bhak se udd gayee thi .      "nazar lagane  ka iraada hai kya ?"   Zaif ki masti bhari awaz uske kaano main perte hi jaise wo hosh main aagayee ho .Sherem se usne apni  aankhon ko band kerliya aur hont kaatne lagi .uske honton per ik dilruba muskurahat khel rehi thi .Zaif ne ungli se uska naazuk chehra upar uthaya ."Yaqeen nahi areha ke main ne tumhe paa liya hai ,tum meri hogayee ho ! "            "Aur tum ? kya main bhi yeh maan lun ke tum mere ho ,sirf mere ?" Dua ne dheere se poocha . uske dil  main apne mehboob ko kho dene ke  darr saanp ban ker kerwet lerehe they .                "Humesha se .....jab se tumhe dekha teb se tumhara hi to hun . yaqeen nahi hai tumhe ?"             "Bherosa hai tebhi tumhare saamne yahan bethi hun .....sab ko chor ker ........." uski awaz main udaasi halkore lene lagi thi jisko uske dulhe ne bhi mehsus ker liya tha .         "Dekho , Dua .......sab se alag hoker hi hum ik hosake hain .sirf tumne hi nahi main ne bhi bohat so ki narazgi mol li hai . bas chand ik hain jin per main bherosa ker sakta hun  magar us main bhi  unki jaan ko khatra hai . " wo kehte kehte ruka jaise apne alfaz tol raha ho ." ik wadah kero mujhse Dua .........chahe kuch bhi hojaye tum kamzor met perna . wadah kero ...humesha saath dogi mera ? "           usne Dua ka haath thaam liya . ik iltija thi jo ki gayee thi .      Dua ne uski ankhon main jhanka .kitne hi khedshey ,kitne hi waswasey they aur saath hi saath ik yaqeen bhi  ! Dua ke haami bherte hi usne apne hont Dua ke honto per rakh diye they .  Ik haseen raat ka aghaaz hochala tha ........magar kya yeh milan sahi tha ? kya aisa hona chahiye tha   ?  Shayad nahi  !!! yeh milan ,yeh rishta kisi tor bhi sahi nahi tha ..sirf fana thi jo unka intezaar kerehi thi  .ik aisi berbaadi jisko morra nahi jasakta tha  . Magar yeh raat in sab baaton ko sochne ki nahi thi !

......................

Jahangir aur soofia  Qari Inaytullah ke kehne per apne ghar wapas agaye they . Dua ko laane ki koshishen shruh kerdi gayee thi . teen din ka amal tha jo kerna tha ,Soofia ko bhi  nau taweez diye gaye they jo din main  teen dafa garam mitti main dabane they . Akhri taweez dabate hi Dua ko ajana chahiye tha .       Abhi tek kisi bhi kisim ki ruqawaten nahi daali jarehin theen jaisa ke unlogo  ko darr tha . shayad isliye ke abhi intezar kya jareha tha ......ane wale waqt ka  !!!!                    Zaif aur Dua apni hi duniya main masroof they is baat se anjaan ke judai ki ghariyan paas arehi theen  . Nayee dulhan ke naaz uthane main koi kami nahi rakhi jarehi thi . in sab baaton main ik hi cheez Dua ko pereshaan kerehi thi wo thi jalan ....aag si jalan ....jo uske wajood ka hissa banti jarehi thi . kitne hi ghante thande pani ke shower main guzar leti magar wo jalan dur hi nahi hoti thi  . Zaif ko batane per usne apni ankhen jhukaleen thi magar kuch bola nahi  tha  .Kaise bata deta ke aag se khelne per jalan hi haath ati hai ,kaise batadeta ke wo ser ta paa sirf ik aag hai . apni mohabbat main itna khudgarz hogaya tha wo.....aur mohabbat ik terfa to nahin thi .yeh aag to dono teref baraber lagi hoyee thi .                                                                                                                             .....................                                                                                                                                                                            Aaj teesra aur akhri din tha  !!!                 

Nau biyahata joda apni hi duniya main gum ik dusre main khoye hoye they . subha se  hi mausam bohat hi khushgawar horeha tha .hawa main ik khenki si thi . Dua ko yeh mausam bohat hi  pasand tha  ,is mausam main uska  dil chahta ke wo  sahil  e samander  per chalti hi  jaye  ,chalti hi jaye aur thaatey maarta samander uski sochon ko durr baha ker lejaye  .Rait per nishaan chorrte uske paoon humesha ke liye wahin apne nishaan chorr jayen aur duniya ki nazro se gayab hojaye .   "GAYAB "....wo  soch ker muskura di . wo duniya main hote hoye duniya se gayab hi to hogayee thi . hum duniya se nahi shayad uske logo se  ,unki kahi baato se  ,apne aap se bhaagna chahte hain . Usne thandi saans leker haath main pakra bhaap urrata chai ka mug apne honton se lagaliya . Apni hi socho  main gum wo is baat se anjaan thi ke kisi ki walhaana  nazren thi jo usko apne hisaar  main liye hoye theen . Jahan Dua apni sochon main gum thi waha koi aur bhi  tha jo khayalaat ke samander main gautey kharaha tha .Abhi to  haalat uske qabu mai they magar ab agay ke safar main wo akela hi tha . ik mitti ke  insaan se mohabbat kerne  ke jurm main wo  Randa e  dargah to ho hi chuka tha magar ab uske  saath dene wale bhi  peeche hatt gaye they . Wo ik aisa baaghi tha jiski saza sirf  maut hi ho sakti thi lekin usey apni perwaah nahi thi .Wo log Dua ko bhi  nuqsaan pohcha sakte they .ik dafa to unki koshish naqaam hochuki thi  magar  kaun jaane unka agla qadam kab aur kaisa hota . rehi  baat  Insaano ki .......bhala wo kabse darrne wali cheez hogaye !!!!!!        yeh sab baaten ik teref aur wo dilruba ik teref .......... uske liye to jaan bhi  hazir hai .......Zaif dheere se  hans diya .        "Chalo ...."  usne Dua ke paas jaker uske kaan main dheere se sergoshi ki . uske baalo ki mehek seedha uske dil main uter gayee ,usne apni mehboob biwi ke baalo per  bosa diya aur use apni baaho main bhar liya .Uske wajood ki tapish Dua ko apne andar mehsus hone lagi . " Bohat khush hain ,janab....... ! usne apne shoher ko gardan  murra ker dekha .     "Koi shaq ? " Zaif ne apne baahon ki girift aur mazbut ki . Dua ne nafi main gardan hilayee ."Kahan jaane  ki baat horehi thi ? " usko yaad aaya .       "Sahil e samander per ...... "  wo shararat se muskuraya .   Dua hairet se pulti . "Aap ko kaise chala ke main samander ka soch rehi thi  ?"            " Aap sirf sochen  ,jane mann , hum haazir hain usey pura kerne ko ...."      

IK teref jahan ahde wafa horehe they wahin dusri teref unko juda kerne ki  saari tayaariyan puri hone hi  wali theen .   

Azaan ka waqt qareeb areha tha .  Qari Inayatullah ne akhri baar chaaqu se saamne  rakhe bartan main rakhi garam mitti per ik daiyerah banaya .us mitti main Dua ki istemal ki hoyee kameez dabi hoyee thi .  unki ankhen band thi aur wo mustaqil kuch perh rehe they . Unke paas hi Shahji bhi bethey hoye they lekin unke agay mitti nahi bulkeh paani se  bhara pyala tha jis per  wo dum kerehe they .   Qari inayatullah ke ishare per unhen yeh pani us garam mitti per daal dena tha .     yeh amal pura kerne ke baad unhone Jahangir Ahmed ke ghar jaana tha .kyuki Dua ko waheen laya jana wale tha .                                                                                                                                               Bas kuch hi lamhe  aur ................    !!!!!!!!

AAG KI TERHAजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें