AAG KI TERHA : IKHTITAAM

53 5 0
                                    

Isterha Dua apne maa baap tek wapas pohach gayee . usey maa baap se milaana wala bhi wohi tha jo use unse durr le gaya tha . 

Dua waqai apne hawaso main nahi thi . Phirse Shahji ki madad li gayee . Kitne waqt tek Dua ka ilaaj chalta raha . Wo phirse bolne to lagi thi magar ab wo pehle wali Dua nahi rehi thi . Wo ek alag hi duniya ki baasi  ban chuki thi jis tek kisi aam insaan ki rasai nahi ho sakti . Wo safed billa ik do dafa ghar ke aas paas nazar aya phir najaane kahan chala gaya . Ik baat bari ajeeb thi us bille ki ke wo kabhi Dua ke saamne nahi aaya tha ,shayad wo nahi chahta tha ke Dua ki nazar us per pere .  Ik aur baat bohat hi ajeeb si hone lagi thi . Rozana raat ko ik makhsoos waqt per Dua ke palang per ik khoobsurat gulab ka phool namoodar hojata hai , yeh phool bilkul waisa hi hai jaise us  mazaar pr Dua ke paoon ke paas pere  mile they . 

Dua ke dekhne se pehle hi Soofia wo phool utha leti hain . Yeh phool Shahji ke paas le jayegaye  they .  Unhone  paani main wo phool daal ker thori der kuch perha tha .  Us perhe hoye paani main jo kuch nazar aya wo unhone Dua ke maa baap ke goshe guzaar kerdiya .     Allah ki laathi beshaq be awaz hai  !!  Wo us raat Dua ko le  to gaya magar uske dushmano ne unka peecha nahi chora tha . Ik raat unper phirse  hamla kya gaya  tha ,magar is baar Zaif  jeet nahi paaya , ik haath to pehle  hi QARI Inayatullah ki wajha se  nakaara hogaya tha .  Us ladai main uska rung  roop  bhi bigad gaya tha yehi wajha thi ke wo Dua ke saamne nahi ata tha . Bohat mushkil se wo apni aur Dua ki jaan bacha paya tha .Shayad usey ahsas hogaya tha ke ab wo Dua ki hifazat nahi ker payega   , wo bhala itna bhayanak chehra leker apni mehbooba ke saamne kaise aata ??  Us raat Dua ne kya dekha , kya jhela yeh raaz to uske hi saath qabr main chala jayega  ,usko mazaar tek laana wali aurten waqai insaan nahi theen . Jab tek Dua ke maa baap wahan nahi pohche ,Zaif  apni mehboob biwi ki chowkidaari kerta raha tha .  Wo buzurg insaan kaun they jinhone Dua ka pata diya tha ,yeh bhi kabhi uske maa baap nahi  jaan paye  .

Raha wo phool ka raaz .....wo phool  uska mehboob hi rakh jaya kerta hai   .  Phool to Soofia beshaq utha leti hai magar uski khushbu ......uski khushbu Dua ko kisi ki yaad dilaati hai ..kiski ? yeh bhi koi poochne ki baat hai ,bhala !!!        Soofia aunty batati hain ke Dua uski talash main saara kamra ulat palat kerdeti hai aur na milne per cheekhti hai , roti hai ,matam kerti hai . itna keh ker meri dadi khamosh hogayeen  aur main uth ker apne kamre main agayee .  MAIN ???  Main Jabeen malik ?? yaad hai na aap ko ??                  Undono ko mohabbat ki itni bari saza kyu mili  ? ya phir apni mohabbat haasil kerne main unse jo galatiyan hoyee theen ,yeh uski saza thi ??      Jo bhi tha , yeh to te hai ke wo dono ab bhi ik dusre se behadd mohabbat kerte hain aur shayad kerte rehenge .  Wo phool unki mohabbat ki nishaani hai jo her raat Zaif apni mehbooba ke paas chorr jata hai . 

Kya kabhi Zaif aur Dua ka milan phirse hoga ?  Yeh kaisi mohabbat thi jo Aag ki terha unhen hi khaa gayee ?? yeh wo sawal hai jiska jawab hum main se kisi ke paas nahi hai .    KYA AAPKE PAAS HAI ?????? 

🎉 आपने AAG KI TERHA को पढ़ लिया है 🎉
AAG KI TERHAजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें