Zindagi ki yehi to khas baat hai ke wo kisi ke bas main nahi hoti !!!
Qari Inayatullah ne phir bhi himmet na haari .. " Us bacchi ko chorr de , zaalim ... tu mujhse kya wadah kerta hai .main tujhse wadah kerta hun ..tu usse azaad kerde ..main tujhe yahan se jaane dunga ..isi main teri bhalayee hai aur yeh tu ache se jaanta hai ! " "Zidd na ker , Inayatullah ... isi terha zidd per raha to apni maut ka zimmedaar tu khud hoga ...! " Wo gurraya aur apne haath ko isterha herket di jaise kisi ko dhakka diya ho ..uske isterha kerte hi Shahji ik teref girr se gaye ...wo saaya ab unki aankhon ke saamne se gayab hogaya tha .Wo apna seena sehlaate hoye haanpne lage they .... unko yaqayak ahsaas hoa ke wo apna amal bhool gaye hain ... ab Qari Inayatullah is jung main akele they .... Shahji ne Qari sahab ke ghutne per haath rakh ker goya unhen apni haar ki khaber di ...Qari sahab ne bas ik lamhe apni aankhen band ki aur phir wapas saamne bethey shaks per tika deen . Wo phirse shaant hoker beth gaya tha ..uska dimag jaise kahi aur hi ho ..pereshaani ki lakeeren uske maathey per zara der ko gehri hoyeen thi .Aakhir kis baat ki pereshaani hosakti hai ... uski aankhen band theen ..kaafi der tek wo isi terha betha raha ...kahin durr se kisi kutte ki rone ki awaz arehi thi ... bulkeh nahi ...ik nahi aisa lag raha tha jaise bohat saare kutte hon . itne sannatey main dur se ati awazen bhi dil min ik khauff taari kerehi theen . Qari Inayatullah ne apni tasbeeh zor se farsh per maari . " Sochta kya hai ..moorakh.... mere paas tere tamashon ke liye waqt nahi hai .....bacchi ko chorr aur nikal ja ..jaan bacha le apni .. ! " Tasbeeh zameen per perte hi Zaif ne tarap ker aankhen kholi , uske chehre per takleef ke asaar they ..dekhte hi dekhte uske seedhe baazu ki asteen laal hone lagi goya Qari ki tasbeeh ki chot uske baazu per peri thi . " Meri jaan ki fikr tu met ker ..Qari ..apni ker ....jo perhna hai perh le ... jo koshish kerni hai kerle .." uske honton per ik tamaskhar tha .. Kutton ki bhayanak rone ki awazen qareeb aati mehsus horehi theen . Qari Inayatullah ko khatre ka ahsaas ziada hone laga tha .. kuch to tha jiski tayyari unhone nahi ki thi ..Shahji us jinn ke agay bohat kamzor saabit hoye they ..foren hi haar maan gaye they !!!! zindagi main pehli baar unhen apni haar aur shayad maut ....saamne hi dikh rehi thi ! unhone apna tareeqa badalne ki sochi . " Dekh ....tu dawa kerte hai ke us bacchi se mohabbat kerta hai .. " " Apni jaan se ziada .." usne baat kaati .. " To phir samjh le ke us bacchi ki zindagi tere saath to bilkul abaad nahi hosakti ..ab bhi waqt hai ...tu wadah ker usse chorr dega aur main tujhe azaad kerdunga ....ab tere paas bhi waqt nahi hai ! " Qari ka ishara un kutto ki awazon ki janib tha ! " uski zindagi main nahi tumlog berbaad kerehe ho ..... mujhe jaane de ,Qari , agar Dua ko kuch bhi hoa to main tujhe zinda nahi chorunga !" Wo ik dumse khera hogaya .uska qad chhatt tek ja pohcha tha . uska zakhmi haath usey taqleef dereha tha jiski wajha se wo mutthi band khol kereha tha . usne achanak apne dusre haath ko herket di jaise kuch dabocha ho ..uske aisa kerte hi Shahji apni gardan dono haatho se pakad ker tarapne lage ...
" Tera banaya hoa halka mere saamne bekaar hai ....yeh kaam aata hoga auron ke liye .. mere liye nahi ...ab tek main tere saath khel main shaamil tha , berdaasht keraha tha tujhe , magar ab paani ser se ooncha hogaya hai ......!" uske chehre per nafrat aur hakarat dono hi theen . " Itna hi kaccha hota to tu kabka yeh kamra paar ker chuka hota ...haan hogayee thori si bhool ...tu umeed se ziada budbakht hai ...!" Qari Inayatullah ki awaz main gussa jhalakne laga tha . " Badbukht nahi hun , Aashiq hun ........uski khatir sab kuch chorr bhi sakta hun aur kisi ki bhi jaan le sakta hun ...wo bhi mere dewaani hai ...hume jaane de ,Qari , humare raaste main met aa ! " Usne jaise iltija ki ho . " Nadaan hai wo aur tu ne khoob faidah uthaya ........ ! " Qari sahab tadapte hoye shahji se khoob waakif they lekin wo jaante they ke yeh sab sirf unhen darrane ke liye kiya jareha tha .... dil tha ke pancchi ki terha Shahji ke liye phurrphurra raha tha magar wo is position main nahi they ke apni kamzori zaahir kerte . Unka yeh faisla bilkul sahi tha ...Zaif ka irada Shahji ko maarne ka bilkul nahi tha ..wo uske saamne kisi chote se keere ki manind they jisse maarna uski shaan ke khilaaf tha . Wo Qari ki himmet todna chahta tha ..uska zakhmi haath ussey bohat taqleef pohcha raha tha ...upar se dushman tha jo ser per aan khera hoa tha ..jo kerna tha ik hi lamhe main kerna tha !!! Usne jhatke se Shahji ki gardan chorr di aur Shahji behosh ik teref dhelek gaye !!!!
आप पढ़ रहे हैं
AAG KI TERHA
Paranormalabout a girl and her journey of love but not all love stories r wht u think they are !!