Shahji akhirkaar kamre se nikal aye . Unke maathey per paseene ki boonde chamak rehi theen . Jahangir aur Manzoor ali sawaliyan nazron se Shahji ko dekhne lage .
" Yeh baat to te hai ke wo marid jinno ke qabeele ka hai aur Manzoor ali ...tum per waar bhi usi ne kiya tha magar...." Wo kehte kehte ruke .
"magar .....magar kya .....??? Sawal kya gaya .
"Magar us raat jo kuch hoa wo uski qarastani nahi thi ." Shahji ne mathay per aaya paseena saaf kiya.
"Phir kisk thi ? Kya koi aur bhi hai?" Jahangir ka to maano dum hi nikal gaya ho .
"Hmmmm.........tumhe kya lagta hai, beta ..? Kya sirf khandaan aur khandan ke rasam o rivaj hum insaano main hote hain ? Ya phir yun kehlo ke ...kya sirf hum hi hain jo apni namoos ke baare main fikr kerte hain ?" Shahji ne ulta unhi per sawal daag diya . Jahangir aur Manzoor ali kuch na samjhne wale andaz main apna ser hilane lage . Shahji muskura diye jaise unhen pehle.se hi isi jawab ki.umeed thi !
" Is duniya main insaano se mumasilet rakhne wali bas ik hi makhlooq hai aur wo kaunsi hai ,yeh tumlog bhi jaante ho . Haan theek hai ,hum insaan mitti se bane hain aur wo bina dhuwey ki aag se aur unhe aisi bohat si taqaten ata ki gayeen hain jo hum insaano ke paas nahi hain aur unhen isi baat ka ghamand bhi hai !" Shahji zara der saans lene ruke ."magar khandan un main bhi hote hain aur kuch pabandiyan bhi . Unke bhi yaqeenen kuch usool hote honge !"
Jahangir ne bechaini se apna pehlu badla .Manzoor ali ne unke ghutnon per haath rakh ker unhe sabr se bethey rehne ka ishaara kya . Shahji yeh sab dekh ker hairan nahi hoye . Ik beti ka baap jiski beti gayab ho bulkeh gayab nahi ,ik jinn se dil laga bethi ho aur wo usey apne saath le bhi gaya ho ,is se ziada sabr ka muzahira nahi ker sakta tha " dekho, Jahangir ,main samjh sakta hun magar kucch baten samjhni bohat zaruri hain . Baat sirf itni hai ke sirf tum ya hum is ke khilaf nahi hain . uske qabeele wale bhi is se ziada khush nahi lagte . Us raat jo kuch hoa wo dua ko raaste se hatane ke liye hi tha ."
" To kya wo kaala billa jo bahar derekht per...? Jahangir ko wo kaala billa.yaad agaya .kitna khaufnak tha wo .
"Yaqeenen wohi tha aur usko nazar rakhne ke liye bheja gaya hoga aur wo safed billa ....yaqeenen wohi hai jo bacchi ko le gaya hai !"Shahji ne ser hilaya.
"Haan ,wo safed billa ..usi ki wajha se to hum yahan se nikal sake they ." Jahangir ko wo safed billa ache se yaad tha ."Aur shahji mujhper to ik safed bille ne hi hamla kya tha ,dono hi khaternaak hain aur nuqsaan sarasar humara!"."Manzoor ali ne foren kaha .Shahji ns ik thandi saans li aur ser hila ya . "Baat pani ki terha saaf hai ,miyan ke wo safed billa kaun tha aur wo kala billa kaun tha ,wo sirf hum se nahi bulkeh khud apne dushmano se bhi bhaag raha hai kyunki us raat to usne Dua ko bacha liya magar agli baar jeet kiski hogi wo koi nahi jaanta.aur fikr ki baat yeh hai ke Dua ko dono se hi khatra hai . Hume jald hi kuch kerna hoga ,pehle hi der hochuki hai . Hume chalna chahiye !"shahji jaane ke liye khere hogaye .
"Dono se khatra matlab ?kya humari bacchi.....kya wo....Dua ko maardega ?"jahangir ne bara hi nasamjhi wala sawal kerdiya . Shahji ka dil chaha apna ser peet len .koi ajeeb nahi tha jo naubet yahan tek aa pohchi thi ."jahangir ,ik baat ka jawab do ... Kya tumne kabhi apni beti ko aag se khelne diya hai ?" Unhone ulta jahangir se hi sawal kya aur phir khud hi jawab bhi dene lage . " Is duniya main Allaah ke bbi usool hain aur sari makhlooq ko unka khayal rakhna chahiye . Insaan insaan ke liye banaya gaya hai aur usi terha baaki makhlooq bhi ! Qudrat ke qanoon todne per saza hi mila kerti hai . Ik jinn aur insaan ka apas main koi mel nahi .Dua ki chahe khud ki marzi hi kyu na ho ,wo anjaane main aag se khel rehi hai . Agar samjho ke wo usko dushmano se bacha bhi le lekin wo khud Dua ke liye kisi maut se kam nahi hai ." Shahji ne bahar jaane ke liye qadam berhaye . "Baato main kaafi waqt zayah hochuka hai .mera khayal hai hume yahan se chalna chahiye ."
Wo teeno us ghar se bahar agaye .
...........
आप पढ़ रहे हैं
AAG KI TERHA
Paranormalabout a girl and her journey of love but not all love stories r wht u think they are !!