AAG KI TERHA : IK RAAT

57 6 0
                                    

Shahji ke sawalo ko abhi jawab milne main der thi . Unke kisi apne ki maut ki khaber mili aur wo apni family ke saath dusre sheher chale gaye .
Manzoor ali ne ise Allah ki maslihet samjhi aur sabr se beth gaye . Warna unka irada yehi tha ke wo apni beti ke ghar hone wale saare qisse ko Shahji ke gosh guzar krrden .
Shahji ki wapasi main teen char din to lag hi sakte they . Manzoor ali taqreeben roz hi Soofia se uske ghar ka haal chaal pooch ker khud ko tasalli de dete they ,wo Shahji ke intezaar ke ilawa aur ker bhi kya sakte they .
Soofia aur Jahangir samajhne lage they ke ab sab kuch theek hogaya hai . Dua bhi normal hogayee thi magar usne college jaana chor diya tha . Jahangir ko apni beti ki perhayee yun khatam hojaane per bara malaal tha lekin unhone bhi yehi behter jaana ke Dua her waqt apni maa ki nazro ke saamne rehe .
Dua yun to normal hogayee thi magar din_b_din uski sehet jaise girti hi jarehi thi . Rangat thi ke pheeki per gayee thi .Hansna to pehle hi khatam hogaya tha ab bolna bhi jaise bhool hi gayee thi . Kuch pooch liya to jawab de diya bas itna hi rishta reh gaya tha maa beti ke beech . Ziadater apne kamre main rehne lagi thi .Maa baap ko apni beti ke is badalte tor tareeke ka dukh to bohat tha , akhir ko wohi thi unki zindagi ki raunak .lekin is baat ka itminaan bhi tha ke ik toofan jo unke derwaze per aagaya tha shayad wo tel gaya tha . Bazahir aisi koi baat dikhayee nahi deti thi jis se unko teshweesh hoti . Haan magar Soofia ki us kaale bille se zarur jaan jati thi jo unke aangan ke ik derekht per betha rehta tha . Kitni hi baar bhagane ki koshish ki lekin jaise usko koi asar hi nahi hota tha .
" Tauba hai ,kitna badsurat billa hai ! Humara hi ghar mila hai kya isko ! "Soofia berbera ker reh jati . Undono ko yeh nahi maaloom tha unke ghar main kisi aur ka bhi aana jaana tha !
Dua ik ajeeb si mushkil main phans gayee thi .....jahan ik teref wo usse milne ko beqarar rehti wahin dusri teref wo apni kharab hoti tebiyet se bhi darrti thi . Roz hi raat ko dono ki mulaqaten hone lagi theen ,wo andar kaise ata tha kaise jata tha ,Dua ko us se koi lena dena nahi tha . Magar jis waqt se Dua darrne lagi thi wo uske chale jaane ke baad ka tha . Uske jaane ke baad wo kaala billa uski khirki per akar beth jata . Aisa lagta tha jaise abhi usper hamla kerke usko noch khayega . Us ne khauff ke maare khirki band rakhna shruh krrdi thi .lekin phir bbi koi faidah na hoa tha .Dua ko yun mehsus hota jaise koi uska kaleja chaba raha ho ,uska ser dard se phatne lagta tha . Aur yeh sab subha fajr ki azaan tek chalta phir sukun aajata .
Yehi sab sochte uski nazar ghari per peri .Uske mehboob ke aane ka waqt ho chala tha . Thori hi der baad uske kamre main ik makhsoos khushbu phelne lagi .jaise kisi ne hazaro gulab uske aas paas daal diye hon .wo khushbu uske dimaag per ik asar sa kerne lagti thi aur wo apne hosh khone lagti thi .
" Kis soch main ho ,dua ?" Wo uske saamne betha hoa tha . Apni tamamter wajahat ke saath !!! "Bataoongi to kya maan jaoge ?"
" Tum keh ker to dekho ,koi aisi baat ,koi aisi khuwahish ho tumhari jo main puri na kersakun !" Bara hi ghamand tha ussey khud per .
" Aisa kab tek chale ga ,yun chup chup ker milna ,hum saari zindagi to aisa nahi kersakte ,kabhi na kabhi to mere maa baap ko pata chal hi jayega " wo pata nahi kis baat se darrti thi .uski baat sunker wo hansa " unki tum fikr na kero ,tum chaho to saari zindagi pata na lagne dun ."
" Magar main isterha mazeed nahi reh sakti ,tum mujhse shaadi kerlo na !" Akhir uski zaban per wo sawal aa hi gaya. Shaadi ka naam sunte hi kala billa apni jagha chor ker khera hogaya . Wo unki kherki ke bahar chakkar kaatne laga jaise ussey jawab sunne ke intezaar ho .
" Tumhare bolne ki hi der thi ,dua ,tum kaho to kal hi nikah ka bandobast kerlun ,phir apne saath le jaoonga tumhe ,mere saath chalogi na ?" Bohat maan se poocha gaya . " Apne ghar lejaoge ? Dua ne poocha. Yeh sunker uske labo per khelne wali muskurahat gayab hogayee . "Nahi ,main tumhe wahan nahi leja sakta ,kuch majburiyan hain jo tum nahi samjhogi .magar tum jahan kahogi wahan rakhunga tumhe ,bilkul pariyo ki terha ."
Kaale bille ne zor se apni dum zameen per maari jaise usey yeh baat bilkul pasand na ayi ho. Jo wo dono chah rehe they wo na mumkin tha ,bilkul na mumkin !!!!!
Kaale bille ki maujudgi aane wala bhi mehsus kerchuka tha . Wo uske saamne aane se gurez kerta tha magar uski maujudgi ka ahsas aane wale ko ho chala tha . Uske chehre per gusse ki si leher daurne lagi aur wo chaukanna hogaya . Uski rangat itstera badalne per Dua bhi chaunki thi . Uske wajood se uthne wali wo aag si garmi Dua ko apne andar mehsus horehi thi . Wo ghabra kee us se dur ho bethi ." Kya hoa ?? " Dua pooche beger na reh saki .
"Kuch nahi ,tum fikr met kero ,jo kuch hoga wo main dekhlunga . "Wo jaane ko.uth khera hoa aur tezi se bahar nikal gaya . kaala billa usey aata dekh ik kone main dabak gaya tha ..magar aane wale ki nazren jaise ussey hi dhoond rehi theen .
..............
Dusri subha ka sooraj JahangirAhmed ke ghar kuch achi baaten leker nahin utera tha . Subha se hi ik ajeeb si veerani us ghar ke andar phelne lagi thi .ik ajeeb si bechaini thi jo ghar walo ke dilo ko jakad rehi thi .
"Aaj tebiyet kuch theek nahi lag rehi meri, ajeeb si ghabrahat horrhi hai ,dekhiyena subha subha doodh bhi kharab hogaya saara "
Soofia ko doodh phatna kuch achi nishani nahi lag reha tha .
"Haan ,tum sahi keh rehi ho ,aaj mujhe bbi kuch acha nahi lag reha ,aisa lagta hai jaise kuch hone wala hai ,tum jaker Dua ko dekho ,wo uthi ya nahi ?" Jahangir bole . Unki baat sunker Soofia beti ke kamre ki teref gayee magar.zara hi der main daurte hoye nikleen ." Jahangir ,jahangir ,Dua ko to bohat tez bukhar horaha hai .wo aankhen bhi nahi khol rehi !" Wo utni hi phurti se uth ker apni beti ke kamre ki teref bhaage .aur bari mushkil se dono Dua ko utha ker doctor ke paas legaye . Aadha din Dua hospital main rrhi ,kamzori ki wajha se doctor ne usko drip laga di thi . Shaam hote Dua ki halat main kuch sudhaar aya tha . Dawa likh dene ke baad doctor ne usko discharge kerdiya .
Magar ghar main to kuch aur hi manzar unka intezaar kereha tha .
Ghar main qadam rakte hi ik gandi si badbu ne unka istaqbal kya tha . Ik to ghar ki lights bhi off theen . Jahangir ne jaldi se ghar ki.lights on ki .badbu itni shadeed thi jisk se un teeno ko ubakayee aane lagi thi . " Ya Allah! Yeh kaisi badbu hai jaise koi gandagi ka dher rakha ho , subha to kuch bhi nahi tha !" Soofia ne naak per haath rakha . Dua bbi dupatte se naak band kiye bethi thi ." Kuch rakh ker bhool to nahi gayeen thi tum ? " Jahangir ne apni begum ko dekha .
" Nahi ,bilkul nahi ,kaisi baaten kerte hain aap ,aur agar bhool bhi gayee hoti to itni jaldi to na bigerti na ,subha jo kharab doodh tha wo bhi foren phenk diya tha main ne ,yeh badbu to kuch ajeeb si hi hai !" Soofia aur jahangir ne jaldi jaldi saari khirki derwaze khol diye . Khirki kholte hoye Jahangir ki nazar derekht per peri .wahan ab us kaale bille ka naam o nishan nahi tha magar abhi is baat se ziada unko is badbu ki pereshaani thi . Soofia ne jaldi jaldi saare ghar main agar battiyan jala ker rakh din aur khushbu ka spray bhi kya . Dua kamzori ki wajha se wahin sofa per aankh band kerke peri thi . "Soofia ,tum dua ke liye kuch khane ko le ao aur soup bana lo ,Dua ko uske kamre main sula dete hain " dono maa baap Dua ko sahara deker uske kamre main sula aye aur Soofia kitchen main chali gayeen . Jahangir drawing room main sofa per aankh band kerke let gaye .
Ahista ahista badbu khatam hogayee thi .unlogo ne sukun ka saans liya aur khane se faarig hoker apne kamre main araam kerne chale gaye . Dua bhi khana aur dawa kha ker sone ki koshish kerne lagi . Kuch aadhi raat guzri hogi jab usey derwaze per dastak sunayee di . " Yeh kaun hoga ?kahin wo to nahi ?" Dua ne derwaze ki oar dekha ,bukhar ki kamzori se us se utha na gaya . "Magar wo isterha kabhi nahi aate ,shayad ammi hongi ." Yeh soch ker ke maa hogi to khud hi ajayengi ,usne phir se aankhen band kerleen . Thori der tek khamoshi rehi magar phir wohi dastak hoyee ! Waqfay
Waqfay se hone wali is dastak ne Dua ke dil main ik khauff ko ujagar kdrdiya tha . "Ammi hoteen to aajateen ,phir kaun hai jo dastak de raha hai ." Khauff ki ik leher uske saare badan main daurr gayee thi . Usne chehre tek kambal khench liya aur derwaze ko dekhne lagi . Thori der dastak hone ke baad band hogayee . Magar kamre main wohi badbu phelne lagi . Badbu itni shadeed thi ke kambal se naak band kerne ke bawajud uske dimaag ki nasso tek ko jhinjhod rehi thi . Dua bohat darr gayee thi ,usne yehi behter samjha ke wo is kamre ko chor de .usne jaise hi jaane ke liye kamre ka derwaza khola ,uske saamne jo tha ussey dekh ker uske dil ki dhadkan band hone lagi .
Kya tha wo ,ajeeb si khalqat ka aadmi ya janwar ,yeh batana mushkil tha .uska saara jism baalo se paak tha aur chammri aisi jaise buri terha se jal gayee ho .jagha jagha se gulabi gosht jhaank reha tha .uska chehra .......uska chehra ....ufff ,na aankhen thi ,na naak ,na kaan ,aisa lagta tha jaise garam garam tel se jalne ki wajha se sab pighel gaya ho . Uska mun neeche ki teref aise muda hoya tha jaise ro raha ho .wo janwar ki terha chaaron taango per jhuka hoa tha . Dua ko dekh ker wo dono taango per khera hogaya ,uska qad lamba hota chala jaraha tha . Jaise hi wo Dua ke qad ke baraber pohcha usne apne haath aagay kiye .kuch pakra hoa tha usne ,shayad kisi janwar ka ser tha ,ik dum siyah aur usmain se jhankti wo safed aankhen .Dekhte hi dekhte usne wo ser Dua ki janab ucchal diya .DUA dono haatho se khud ko bachaati peeche ki janib gir gayee aur uske halaq se dil kharaash cheeckhen nikleen . khauff se apni aankhen band kerli thee aur cheekhe jarehi thi .wo ser uske theek upar gira tha aur dheere dheere uske seene tek pohach raha tha ,wo kaise chal sakta tha ,uska to koi dharr hi nahi tha. ,badbu thi ke jaise koi galazat phenk gaya ho ,is se pehle ke wo cheez Dua ke chehre tek ati ,uski dil.dehlaane wali cheekhen sunker uske maa baap daurte hoye agaye .Andar ka manzar dekh ker unke hosh udd gaye .jahangir ne bina soche samjhe ik jhatke se us cheez ko apni beti ke upar se phenk diya .Soofia ne jaldi se apni beti ko apne seene se laga liya . Wo khabees ser ik makrooh awaz ke saath lurekhta hoa kamre ki dusri janib gira tha . Dekhte hi dekhte wo khabees ser hawa main utha .uske mun se safed daant bahar ki janib nikle aur usne phir se Dua ki teref hamla kya ,uska nishana Dua ka chehra tha jaise wo us chehre ko chaba jaana chahta tha . Un teeno insaano ke halaq se dil dehla dene wali cheekhen buland hoyeen ,dua to waise hi kamzor thi ,seh na payee aur behosh hogayee thi ." YA ILLAHI MADAD !" Jahangir ke dil se awaz nikli .unhone ne Dua ko ik jhatke se apni baahon main utha liya ,soofia unke peeche peeche thi . Wo dono apni jaan bachaye kamre se bahar bhaage . Wo makrooh ser phir se nakam hogaya tha ,uske mun se ik kareeh aur gandi awaz nikli . Aur dekhte hi dekhte wo hawa main tehleel hogaya !! Jahangir aur soofia darr ke maare thar thar kaanp rehe they ."yeh sab kya hai ,jahangir ,yeh sab kya hai !" Soofia ke halaq se awaz nikelna mushkil horeha tha .jahangir ka bhi aisa hi haal tha .saara jism paseene se bheeg gaya tha ." Allah rehem ,Allah rehem ! Soofia ,yahan se bhaago is ghar se bahar niklo ! gaadi ki chaabi kahan hai ?" Jahangir ko yehi samjh aya is waqt . "G..g...gaadi ki chabi to drawimg room ki table per thi na !" Soofia phatti phatti nazro se idher udher dekh rehi thi . Kya maaloom wo cheez phir kahan se nikle . "Chalo jaldi kero phir..soofia ,dua ko pakdo !" Wo dono drawing room ki teref lapke .Achanak unhe Dua ik dum bhaari lagne lagi .yeh unka wehem nahi tha .dheere dheere dua ik dum wazni hoti jarehi thi ,wo dhaan paan si larki itni bhaari hogayee thi ke akele usko uthana unke bas main nahi raha tha ! Soofia ne akar unko sahara diya . Wo dono be mushkil dua ko leker bahar ki janib jaane lage . Dono ki nazren idher udher daur rehi theen ! Ghar main itna ghup andhera pehle to kabhi na tha aur habs itna jaise ghar main aag lag gayee ho ,unke paseene se bheege haatho se dua jaise phisal phisal jarehi thi . Jahangir ne zor zor se Ayat ul.kursi ka wird shruh kerdiya . Jaise hi wird shruh kya ,aisa laga jaise koi saamne se bhaga ho . Wohi ajeeb ul khalqat makhlooq jo Dua ke kamre ke bahar thi .khauff ke maare jaise kaleja mun ko agaya ho .Soofia ne zor zor se rona shruh kerdiya tha .unka ghar koi bohat bara nahin tha magar aaj yeh ik kamra paar kerne main itna waqt lag raha tha .aisa lagta tha jaise is kamre se kabhi nikal hi nahi payenge . Wo ajeeb ul khalqat makhlooq derwaze per jaker chaaro taango per jhuk gayee aur uske mun se aisi awazen nikelne lagi jaise wo ro raha ho . Jahangir aur soofia kamre ke beecho beech dum saadhe khere they ,unki taango main se jaan hi nikal gayee thi .Dua unke beech abhi tek behosh unke wajood se chimti hoyee thi . "ALLAH bachaale ,Allah rehem ker !" soofia ne rote rote faryaad ki . Achanak unhen kamre ki ik kone se kisi bille ki awaz sunayee di . Wo gusse se gurra raha tha . Unki nazren awaz ke taaqub main kamre ki kone per pereen . Ik safed billa wahan khera gurra reha tha magar uski nazren un teeno per nahi bulkeh us ajeeb ul khalqat makhlooq per theen . Us makhlooq ne bhi is safed bille ko dekh liya tha aur derwaza chorr ker uski janab lapki thi .Jahangir aur Soofia ne mauka ganeemet jaana aur puri taaqat se Dua ko uthaye bahar bhaage . Gaadi main bethte hi jaise jaan main jaan ayi ho . Ghar se aisi awazen arehi theen jaise do bille aapas main gutham gutha horehe hon .lekin ab unko iski.perwah nahi thi .unka ik hi maqsad tha ke jald az jald wo log Dua ke nana ke ghar pohach jayen !!! Gaadi abhi start hi ki thi ke unke ghar se ik kaala billa bhaagte hoye nikla ,wo billa shayad zakhmi hogaya tha ,usey bhaagne main dikkat arehi thi . Uske peeche wo safed billa bhi nikla .uske safed jism per kuch laga hoa tha ,chaand ki roshni main aisa laga jaise uske khoobsurat safed jism per khoon laga ho . shayad larrne main wo safed billa bhi zakhmi hogaya tha magar kamyab raha tha .
Usne jaati hoyee gaadi ko dekha aur uske peeche bhaga . Jaise hi gaadi apni manzil tek pohchi wo billa bhi apne raaste chala gaya.
....................
Subha tek Manzoor ali ke ghar main koi nahi soya tha . Sab hi khuaff ke alam main un teeno ke ird gird bethey rehe . Dua ko bohat mushkil se hosh main laaya gaya tha . Fajr ki azan hone ke baad sab ne namaz ada ki aur Manzzor ali ke hukum dene per aram ki garaz se apne kamre main chale gaye . Jahangir aur unki family ka bister Dua ke nana ke hi kamre main bicha diya gaya jubkeh us ghar main ik guest room maujood tha . Magar wo log alag nahi sona chahte they ,pichli raat ka darr abhi tek unlogo ke dilo main tha .
Koi giyarah baara baje wo log uthey ,naashte se faarig hote hi Shahji ke ghar bulawa bheja gaya . Wo log bhi kal shaam hi wapas.aye they .
Shahji ne asar baad aane ka keha tha .

AAG KI TERHAजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें