Subha hote hi Manzoor ali apne bete Junaid ke saath apni beti ke ghar aa pohche . Saari raat unhone kaanto per bitayee thi .Her pal yun lagta tha jaise Soofia ka phone aya ho aur wo achi khaber suna rehi ho . Lekin na koi phone aya tha na hi koi khaber un tek pohchi thi . subha fajr perhte hi wo dono baap beta Jahangir ahmed ke ghar agaye . Gate to band tha ...bell ki awaz per bhi koi nahi nikla tha . Manzoor ali ko bohat bechaini horehi thi .Khamoshi bata rehi thi ke koi bohat hi buri khaber unki muntezir thi .
Gate koi bohat uncha to tha nahi ,Junaid asaani se uske upar cherh ker dusri janib kud gaya . Her teref ik taiiraaana nazar daali to ghar ka udja angan nazar aya . Sab podey isterha kucheley hoye they jaise in per koi bhaari wazan rakh ker masal diya ho !! Ghar main bohat khamoshi thi jaise ke khaali ho , Junaid ne jaldi se gate kholker baap ko andar bulaya . Dono ko ghar ka main derwaza khula mila . ajeeb si veerani thi ghar main . Drawing room main qadam rakhte hi unke oasaan khata hogaye they . Qari Inayatullah deewar ke paas behosh pere they ,unke ser se khoon beh ker jam chuka tha . Wo dono tezi se Qari sahab ke paas pohche .Qari sahab ki halki halki saans chal rehi thi . Un dono ne unhen uthaker sofa per lita diya aur pankha chala diya . Qari Inayatullah ka pura badan paseene se bheega hoa tha aur gerebaan ser se behne wale khoon se laal tha . Shahji kahi nazar nahi arehe they . Kamre ke ik janib Qari Inayatullah ki tooti tasbeeh peri hoyee thi magar is waqt wo tooti hoyee tasbeeh ko uthane se zaida zaruri ghar ke baaki afraad ko dhoondna tha . Junaid aur Manzoor Ali ghar ke andar wale hissey main daurey , gallery hi main Shahji bhi mil gaye . Unki halat bhi kuch achi na thi . Unki kameez phatti hoyee thi jaise kisi nokdaar cheez se usey phaada gaya ho !! unke seene per nokele nakhuno ke nishaan they jisse dekh ker hi ahsas hogaya tha ke kisi junglee janwar ne hamla kya tha !!! un kherocho se bhi khoon beh ker jam chuka tha . Shahji ko bhi uthaker sofa per litaya gaya aur Soofia aur Jahangir ki talaash shruh hoyee . Wo dono Dua ke kamre main bethey mil gaye . Allah ke karam se unhen kisi bhi qisim ki koi chot nahi ayi thi . magar unki rooh thi jo zakhm zakhm thi ,dil tha ke apni jagha per na tha . Khirki ke paas hi Dua ki almari undhi giri hoyee thi . Khirki ka ik hissa gayab tha . Jahangir aur Soofia kisi haare hoye sipahi ki terha ghutno main ser diye bethey they . Unke sataye hoye chehre dekh ker Manzoor ali aur junaid ka qaleja jaise mun hi main agaya . Manzoor ali ne jhat se apni beti ko gale se laga liya aur Junaid ne Jahangir ko sahara deker palang per bithaya . Jahangir ke badan main taqat naam ki koi cheez nahi thi ,itne bhaari bhurkum wajood ko Junaid ne araam se utha liya tha . Jahangir ka ik gaal sooja hoa tha , unki nazren Manzor ali se milne ki der thi , wo phoot phoot ker ro pere . Aaj pehli baar un sab ne Jahangir ko yun roker matam kerte dekha tha ,magar kisi ne bhi unhen rokne ki koshish nahi ki .Soofia baap ke seene se lagi khali khali nazron se apne shoher ko dekhe jarehi thi ,shayad wo apne hisse ka ro chuki thi . Is waqt Manzoor ali ne khamosh rehna hi behter jaana tha .
Qari Inayatullah aur Shahji ko hospital lejaya gaya . Aur Soofia aur Jahangir ko apne saath ghar le aye . Qari Inayatullah ki halat bohat hi kharab thi , unki gardan ki bohat si nazuk haddiyan toot chuki theen aur ser per taanke lagane pere they . Unko ventilator per rakha gaya tha , police ki karwayee hoyee .Junaid ne bohat mushkil se unhen yaqeen dilaya tha ke yeh dakaiti ki waardaat thi !! Shahji ki halat Qari sahab ki nisbet thori behter thi . Unhe merhem patti kerke private room main shift kerdiya gaya tha . Shahji aur Qari Inayatullah ke ghar walo ko khaber bhej di gayee .
Soofia aur Jahangir ko zaberdasti naashta kerane ki koshish ki gayee magar unke halak se niwala jaise uterne ko tayyar hi nahi tha . Jahangir ne to chupsi pakad li thi .Soofia ne ro ro ker baap ko raat main hone wale waqiye ke baare main bataya tha .
Khirki ke toot jane ke baad Soofia aur Jahangir jaldi jaldi almari khali kerne lage they taake wazan kuch kam ho . Kutto ne itni der main ik lohe ki salaakh ko kamzor kerdiya tha . Dua kamre ke kone main deewar se chipki aankh , kaan band kiye kheri thi . Wo dono almari ko mushkil se dhekelte hoye khirki ki janib lejaane lage ke unhen aisa laga jaise kutto ne salaakhen tod di hon aur wo kamre main ghus aye hon . Ghabrahat main unka balance off hogaya jiski wajha se almari ik dhamake se zameen bos hogayee thi . Dua pehle hi hawas baakhta kheri thi , almari ki awaz se bilkul hi hawas kho bethi thi aur bhaagte hoye kamre se nikal gayee . Dehleez paar kerte hi najane kahan se ik kutta namoodar hoa tha aur Dua ke peeche bhaga tha . Soofia aur Jahangir bhi beti ke peeche bhaage they magar kisi na dikhne wali taqat ne unhen zameen per patakh diya . Jahangir ne uthne ki koshish ki to kisi ne zordaar thappad unke chehre per raseed kiya tha jiske baad wo waqti tor per hosh kho bethey they . . Soofia khauff ke maare uth hi na saki theen . Sab kuch bohat aanun faanun hoa ,kuch samjh nahi aya !!! Soofia yeh sab bata ker rone lageen thi . "Kaash ....kaash main himmet kerleti , main apni beti ko bacha leti ! " wo apna seena peetne lageen . Unki bhabhi ne mushkil se unke haath pakad ker unhen roka . Manzoor ali ne beti ke ser per haath rakha . " Nahi , beta , tumhara koi qasoor nahi hai , tum kuch nahi kersakti theen . Wo bohat taqatwar they , tum chah ker bhi unse nahi jeet pati . " Unki nazar main Qari inayatullah aur Shahji ghoom gaye they , jab wo kuch na kersake to bhala Soofia aur Jahangir kya ukhaad lete . " Magar wo kutta jo Dua ke peeche bhaga tha ? " Soofia ki bhabhi ne poocha . " Mujhe kuch nahi pata , bas itna dekha ke us kutte ne Shahji per hamla kerdiya hai aur wo unhen kheenchte hoye gallery tek laaya tha . Phir dekhte hi dekhte wo kutta gayab hogaya . " Soofia ne dimaag per zor daala . " Acha ab bas ! " Manzoor ali ne sakht lehje main tanbeeh ki . " Ab koi sawal nahi hoga aur na hi koi is silsile main baat kerega ! " Soofia ki bhabhi mun bana ker reh gayeen .
Is qissey ko bohat waqt beet gaya .Jahangir aur Soofia na sirf wo ghar bulkeh wo sheher hi chod gaye . Shahji thore din hospital main reh ker wapas ghar agaye they magar Qari Inayatullah janbur na hosake they . Hospital main 15 din apni zindagi ki jung larrte larrte akhir kaar wo haar gaye aur is duniya se humesha ke liye chale gaye ! Dua ke wapas aane ka ab koi raasta na bacha tha lekin maa baap they na .......umeed kaise chodte .....her pal her waqt isi baat ki umeed rehti ke ab Dua ki koi khaber ayegi , derwaze per dastak hogi aur unki ladli beti unke saamne hogi .
Zaif ne us raat khudko aur Dua ko Qari Inayatullah se aur apne dushmano se bacha to liya tha magar wapas us ghar nahi gaye they jahan unhone apni nayee duniya basayee thi . Wo ghar ab mehfooz nahi raha tha , Qari Inayatullah hi nahi khud Zaif ko bhi us hamle ki umeed nahi thi jo us raat hoa tha . Wo Dua ko leker her mahine ghar badalta phir raha tha . Aakhir kaar wo dono ik gaon main pohche they aur kaafi arsey se waheen mukeem they . Gaon walo ko kaano kaan khaber nahi thi ke yeh jawan joda dusron se mukhtalif tha . Agarche unka ghar baaki gharo se kaafi durr tha magar bazar ate jaate Dua ki bohat si aurton se dosti hogayee thi . Us gaoon main ik mazaar bhi tha , gaoon wale kehte they ke wo koi bohat hi pohchi hoyee hasti ki araamgaah thi . Her jumairat ko Dua apni saheliyo ke saath wahan zarur jati thi ! Aisa nahi tha ke Dua ko apne maa baap yaad na ate hon lekin wo yeh baat ache se samjh chuki thi ke wo do kishtiyon main sawaar nahi hosakti . Betiyo ne to waise bhi rukhsat ho hi jaana hota hai ,yehi soch ker apna dil behla liya kerti , magar Zaif se duri wo kisi torr bhi berdaasht kerne ko tayyar nahi thi . Qari Inayatullah ke diye gaye zakhm ki wajha se Zaif ka ik haath theek se kaam nahi kerta tha lekin wo dono apni duniya main bohat khush they .
Lekin wo is baat se anjaan they ke yeh khushi bohat waqt tek unke saath rehne wali nahi thi . Jo rishta kisi ka dil dukha ker aur bagawat per khera kya gaya ho uski muddet lambi nahi hoti !! chahe kitna hi faraar ikhtiyaar kiya jaye , ik na ik din pakad main zarur aana tha ,kyunki wo anjaan hosakte they lekin unka dushman zarur taak lagaye betha tha !!
आप पढ़ रहे हैं
AAG KI TERHA
Paranormalabout a girl and her journey of love but not all love stories r wht u think they are !!