Soofia aur jahangir unki haalat dekh ker pereshaan hi reh gaye. Ik to pehle hi unke haath ka zakhm theek nahi hoa tha .
Jahangir ahmed ke ghar se aane ke baad kitni hi dawa lagayee aur kitne hi doctoro ko dikhaya magar wo jo zakhm jo us ke takraane se laga tha wo ab sirf surkhi nahi reha tha bulkeh baqaida ik zakhm ki surat ikhtiyar ker gaya tha jis ki wajha se unhen wo haath istemaal kerne main taqleef hoti thi .
Phirse doctoro ke chakkar lage . kitne hi X _ray nikale gaye ,kitni hi koshishen kerli gayeen magar uske nana apne peron per khere nahi hosake they .
Ik raat jab wo dawa khaker aur apne bete se taango ki maalish kera ker sone ke liye lete hi they to unhen aisa laga jaise unke kamre main koi aya ho .aas paas dekhne per jab koi nahi dikha to wo usse apna wehem samjh ker sone ki koshish kerne lage . Dawao ke asar se unhen jald hi neend aagayee. Jab achanak unke seene per kisi bhari cheez ka ahsas hoa . Dawa ka asar tha ,inhone apna wehem samjh ker seene sehlane ko jaise hi haath berhaya ,unka haath kisi baalo wali cheez se tekra gaya ,wo cheez zinda thi aur saans lerehi thi . Ghabra ker unki aankh khul gayee . Unke seene per wohi safed billa betha tha jisne inki yeh haalat ki thi . Bohat hi khoobsurat billa tha magar uski aankhen !! Itni khuafnak aankhen lagta tha pal bhar main sara wajood jala dengi . Yeh aankhen unhone pehle bhi dekhi theen !!
Dua ke nana ki halat khauff ke maare bigerne lagi . Unke saare badan per larza taari hogaya tha . Awaz thi ke halak main phansi reh gayee thi . Unhone laakh chaha ke aankhen hi band kerlen magar jaise us bille ki aankhon ne unki aankhon ko apne qaabu main kerliya tha . Unki yeh halat dekh ker jaise billa muskuraya ho .kabhi billi ko muskurate dekha hai kya ? Magar shayad wo billa muskuraya tha .
" Pehli galti samjh ker chorr diya hai warna aisi haalat kerta ke tu yaad rakhta , ab mere aur dua ke beech main ane ka sochna bhi nahi ! "
Itna keh ker wo safed bille ne unke seene se chhalaang lagi di . Uske dham se zameen per kudne ki awaz ayi phir pata nahi wo kahan gayab hogaya . Dua ke nana saari raat dil hi dil main ayat ul kursi perhte reh gaye .
.........
Subha hote hi soofia ko uske bhai se yeh paighaam mila ke abba ki halat theek nahi . Haath aur taango se to mohtaj they ,ab to awaz bhi band hogayee thi . Jahangir aur soofia phirse pohche ,ghar ke mardo main kuch meeting hoyee aur faisla hoa ke ab doctor ke bajaye kisi Allah ke pohche hoye banday ko dikhaya jaye .
Allah ka bohat ahsaan tha ke durr nahi jaana pera . Dua ke nana ke ik dost MALIK IFHTIKHAR ki pehchan main ik aisay hi insaan they jo is qisim ka ilm rakhte they . Aur Allah ne unke haath main shifa bhi de rakhi thi . Naam to unka kuch aur tha magar sab ahteraamun unhen SHAH JI keh ker pukarte they !!!
.........
आप पढ़ रहे हैं
AAG KI TERHA
Paranormalabout a girl and her journey of love but not all love stories r wht u think they are !!