AAG KI TERHA : WAPASI

38 5 0
                                    

Shaam ka waqt ho chala  tha . Qari sahab andar Dua ke kamre main  they aur Shahji ,Soofia aur  Jahangir drawing room main bethey hoye they . Soofia baar baar apni  ankhon  main aye ansoo  saaf kerehi theen ...ladli beti yun aankhon se ojhal hojayegi unhone sapne main bhi nahi socha tha ..najane kaisi hogi ..kis haal main hogi ..akhir kya bigada tha unhone ksi ka ke yeh din dekhne pere , koi ik din aisa na guzra tha jab unki aankh se ansoo na  nikley hon . Dono maa baap ka sadmay se bura haal tha . Shahji ne jo umeed ki kiran dikhai thi usi ke sahare bethey they .  Soofia ki sochon ka silsila teb toota jab Qari sahab kamre se nikal ker unlogo ke paas aaker bethey  .   Shahji ne ankhon ankhon main koi sawal kya tha jis ka jawab unhone aankhe band kerke diya goya jo kaam kerne bethey they wo ho gya tha .                                  Ajeeb si khamoshi chaayi hoyee thi ,sab apni apni socho main they .....kisi ko apni aulad ka intezzar tha kisi ko apni mehnet ke kaamyaab hone ka ......!        Magrib ka  waqt  hochala tha ......Qari sahab aur Shahji ki nazren  beyaq waqt derwaze ki teref utheen .  Ik ajeeb si ghutan ka ahsas hone laga tha ..Qari sahab ne apni aankhen band kerleen aur man hi man kisi kse qalam kerne lage .unke maathey ki laqeeren bata rehi theen jaise unhe kisi baat ki dikkat arrehi ho .   Bilakhir unhone ankhen kholi ,unke chehre per itminan dekh ker Shahji ne sukun ka saans liya . Achanak kamre main derwaze ke paas saji vase ik dhamake se zameen per gir ker  paash paash hogayee . Kamre main mojud teeno afrad ilawa Qari sahab ke buri terha se chonk gaye they .Soofia ne to darr ker dil hi thaam liya tha . Sab ne Qari sahab ki teref sawaliya nazron se dekha . Qari sahab dheere se muskuraye ...  "  Thora shararti hai ...... baaz nahi aaya ....shararat kergaya magar apna kaam bhi ker dega .......bas dua kero aur ALLAH ka naam lete raho  !   "                                                                            .....................................                                                         

Magrib ki azaan hone main kuch hi der thi ....zaif masjid ke liye nikal gaya tha .Dua wuzu ki niyet se bathroom main dakhil hoyee . Chehre per thanda paani perte hi use aisa laga jaise kisi garam cheez per thanda paani pera ho , us jalan ka ahsaas mitaane ko usne wuzu jaari rakha .teesri aur aakhri dafa chehre per paani perte hi uske andar ki jalan jaise madham si hogayee ho ...usne khushi khushi wuzu pura kya .   itne arsey baad usko rahat ka ahsaas horeha  tha . wuzu khatam kerke wo seedhi ho kheri hoyee .aainay main apna aqs dekh ker wo chonk si gayee .uska  zehen ik dum khali hogaya tha . Wo yahan kya kerehi hai ? usne apne atraaf main nazren dorayeen , yeh uska bathroom to nahi  tha  ? phir wo kahan thi ....achanak uske zehen main Zaif ka khayal aaya ......wo tezi se nal band kerke bahar ki teref lapki .....     "   ZAIF  ! "  usne pukara .....magar waha  uske ilawa koi nahi tha .    Wo ser pakad ker ik sofa per beth gayee .uske zehe main uske saath hoye waqiyaat ik film ki  manand chalne lage ...       wo yahan kyya kerehi thi ?  usey yahan nahi hona chahiye tha ......wo kin chakkaron main per gayee thi ..Zaif ik jinn tha     IK JINN ..iska matlab bhi wo samjhti hai  ?  aur wo sab kuch chorr chaar ker ik jinn ke  saath apni zindagi guzzarne chal peri thi ...... " Ammi abbu ......ammi abbu ka kya haal hoga ?  sab galat hai sab galat ......" wo pereshaan idher udher dekhne lagi  . " mujhe ghar jaana chahiye ,mujhe ammi abbu ke paas jana chahiye ......! "  Wo uthi aur derwaze ki teref lapki . Ajeeb ghar hai ..derwaza kahan  hai .abhi tek to sab theek tha ..wo khud  Zaif ko chorrne derwaze tek ayi thi  .abhi derwaza kahan gayab hogaya ... wo ghabra gayee thi , bohat buri terha  , uska saara wajud A.C chalne  ke  bawajud paseene main bheeg gaya tha .. usay  nikalna tha yahan  se , per kaise  ?  is kamre main khirkiyan to theen per derwaza kahan hai ?????   "Dua ....dua ....." wo hum kalam  hoyee . " calm down .... saans lo ..isterha ghabraane se kuch nahi hoga . " wo apni hi baat sunker shaant hone ki koshish kerne lagi .gehri saans bhar ker wo phirse sofa per ja bethi .  " panic kyu horehi ho ? " usne khudse sawal kiya . " sab normal hai ..Zaif se shaadi ki hai tumne .wo bohat acha hai ....ghabra kyu rehi ho ..wo ayega ,hum  baat kerenge ..! " wo tasalli dene lagi .     " kya keh rehi ho ,Dua ....shaadi kisi insan se  nahi ki hai ......jinn hai wo ..kabhi suna  hai aisa  ?" wo khud ko serzinsh kerne lagi .  Wo isiterha khud ko adalat main pesh kerke khud hi muqadmma larrne lagi jahan waqeel bhi wo .judge bhi wo aur mujrim........haan  mujrim bhi wo .......!!!!  Achanak ussey apne bilkul peeche kisi ki  maujudgi ka ahsaas hoa .jaise koi bohat hi paas khera ho .uske rongte khere hone lage .  usne darrte darrte gardan peltayee .  kuch to nahi tha wahan per ... akeli hi thi wo  . " Kya horeha hai mujhe ? " usne  apna ser apne haathon main de diya aur pereshaani se baalo ko jakadne lagi .  Usey phir se kisi ke hone ka ahsaas hoa ..bohat hi qareeb jaise uske kandhe per koi apna chehra rakh ker khera ho . yeh ahsaas uske tun badan se jaan nikalne ko kaafi tha . usne khauff se apni aankhen sakhti se band kerli . "Sab tumhara wehem hai , dua ..abhi tek to sab theek tha ...tum sab kuch apne dimaag per sawaar kerehi ho ...tum akeli ho ....Zaif namaz perhne gaya hai ...tumhe bhi namaz perhni chahiye .Wo ayega phir sab kuch theek hojayega . "    Usne apne dil ko mazbut kya .        jaise hi usne apni aankhen kholi ,jo baat se dil inkaar kereha tha ....wo to ik  haqeeqat tha .  Uske kandhe per waqaii kuch tha ....!!!!!                       Khauff se uski aankhon main ansoo agaye  aur badan halka halka kaanpne laga tha . Usne apne honton ko sakhti se band kerliya  . Dheere dheere nazren ghumaker dekha to uski nazren kisi ki  nazron se takra gayeen . Gol gol maindak jaisi aankhen ,kaale be hungum baal ,honton per ik muskurahat jiski wajha se uske nokeeley daant jhaank rehe they . ik gandi badbu us ke mun se nikal rehi thi jis se ksi ke bhi nathne serr jayen . Dua ik dil kharaash cheekh maar ker usko apne kandhe per se jhatak ker bhaagi .                Wo wajud wahin khera raha ,usne Dua ko pakadne ki ya uske peeche aane ki koi koshish nahi ki thi  .Wo apni jagha khera raha .Ik chote se qadokamat ka admi tha jski height Dua ki kamar tek hi hogi    .Patle lambe haath  jo kisi haddi ki manand lag rehe they ,usi terha ki haddi jaisi patli taangen aur badan per ik behungam sa jhubba pehna hoa tha  !          Dua ki aankhen phatti ke phatti reh gayeen ,usne apne dono haatho se apna mun sakhti se band ker rakha tha .     Dikhne main insaan jaisa hi tha ,bas uska chehra is baat ki gawahi dereha tha ke wo koi aur hi tha  !!!!   us ke chehre ki hansi Dua ko wehshatzada kerehi thi     .     Wo khauff zada si ulte qadmo dewaar se ja lagi .Kitne hi lamhe beet gaye ,wo   dono ik dusre ko taktaki baandh ker dekhte  rehe . Dua ne derwaze ke liye nazren daurayeen .jo derwaza pehle usey nazar na aya tha ,wo apni hi jagha khula mila .    Usne aao dekha na tao dusre kamre ki our daurr lagadi . dusre kamre main pohachte hi jaise hi palat ker dekha  wo bhi uske peeche derwaze tek agaya tha .   dheeme dheeme .araam se jaise ussey koi jaldi na ho .Wo Dua ke darr ka maza lereha tha shayad . Dua bhaag ker jis kamre main ayi thi wo uska bedroom tha . ik hi derwaza tha jisper WO khera tha . Dua ka khoobsurat chehra khauff se safed per gaya tha maano khoon hi khatam ho gaya ho ......Azaan ki awaz uske kaano se tekrayee ... dono ki nazren ik hi saath Azaan ki janib uthi .Azaan ki awaz sunker us wehshetnak cheez ne bura sa mun banaya jaisi itni jaldi Azan hone per afsos hoa ho .....magar us bhayanak aur makrooh jism main koi herket na hoyee . Wo aise hi dum saadhey Dua ko dekh raha tha  .Dua ki hathelian paseene se bheeg gayee theen jinse usne apni kameez jakad rakhi thi jaise ussey bas usi ka sahara ho .Usey kuch samjh nahi areha tha .  " kaun ho tum ,jao yahan se ....." wo ro di   .......      uske halak se halki halki cheekhen nikal rehi theen aur wo zor zor se rone lagi thi . Us cheez ke mun se nikalne wali badbu saare kamre main phel gayee thi jis se saans lena dobhar horeha tha .Dua ne ik  haath se apni naak aur mun dhaank rakha tha aur ik haath se kameez . Uski tangon ne jawab dediya aur wo waheen zameen per beth gayee .khisakte khisakte wo palang ke kone main ja  chupi thi aur wahan se jhaankne lagi . Dekhte hi dekhte wo  bhi ghutno ke bul beth gaya  aur chaaro paoon per chalte hoye Dua ke ain saamne  palang ke kone ke paas ruk gaya .  Ab wo dono bilkul aamne samne they .       "Kaun ho tum , chale jao yahan se .....!"  wo ro rehi thi    .     Achanak us bala ke ser ko jhatka jaisa laga maano kisi ne uske ser per kuch maara ho ....usne aisi awaz nikali jaise kisi shararti bacche ko saza milne per wo ahtejaaj main nikaalta hai ..... thori der apna ser sehlane ke baad usne  usne gusse se Dua ko dekha jaise yeh sab Dua ki wajha se hoa ho .       Yeh sab manzar Dua ko kisi derawani movie jaisa lag reha tha . Azaan puri hone wali thi    .is se pehle ke Azaan puri hoti  us bala ne apna haddi jaisa haath lamba kya  ...aur Dua ka haath pakad ker apni  janib kheencha    .Dua ki dil dehlaane wali cheekh buland hoyee aur  uska zehen andhere main chala gaya !!!!!                                                 

Wo agayee thi .......Dua ghar wapas agayee thi .......Soofia aur Jahangir uske paas bethey hoye usko nihaar rehe they  .Unki laadli beti itne arsey ke baad unki aankhon ke saamne maujud thi . Dua ik dum chup chaap unke saamne bethi hoyee thi jaise ussey samjh hi na aareha ho wo yahan kaise ponchi .  abhi thori der pehle tek to wo apne ghar main thi ..wo ghar jo usne aur Zaif ne mil ker basaya tha ....phir achanak usko wo bala yaad agayee .usko yaad kerke wo ik dum simet si gayee aur rone lagi ..."   Kya hoa ..meri jaan ....."     Soofia ne agay berh ker usko gale laga liya .  " Ab darrne ki koi baat nahi ,meri bacchi  , hum yaheen hain ,tumhare paas .......bilkul tumhare paas  ! "  Soofia ki aankhen bheeg gayeen aisa hi kuch haal Jahangir ka bhi tha .......

Magar baat Dua ke wapas ajane se khatam nahi hoyee thi .....abhi Usko bhi aana tha jo Dua ka haqdaar ban betha tha .....!!!!!!

AAG KI TERHAजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें