Qari sahab aur shahji bahar ke kamre main maraqbey main bethey hoye they . Dua ke kamre main uske saath uske maa baap dum saadhey bethey they . Dua ke kamre main hifazati halka baandh diya gaya tha jisse koi bhi ger insaani makhlooq paar nahi ker sakti thi aur isiliye Dua ko uske kamre se bahar ane se manayee thi . Wo log Dua ko usi waqt tek bacha sakte they jabtek ke wo kamre se bahar na aye .
........................
Ghar main pehla qadam rakhte hi ghar ke khali hone ka ahsaas hogaya tha . Ghar main pheli ik khaas qisim ki bu bata rehi thi ke Dua ke gayab hone main uske walo ka haath nahi tha bulkeh yeh kisi aur ki qarastaani hai ...aur Dua ko us se juda kerne wale kaun hosakte hain wo koi paheli to thi nahi !!!! "Rukk jao ,Zaif .." ik sakht awaz uske kaano main goonji thi . usne palat ker dekha to apne ru baru uske khaas dost Haazim ko paya ....." Tum yahan kya kerehe ho ? usne sawal kiya . " tumhari nigrani aur hifazat ka kaam mujhe sonpa gaya hai ....Zaif ...wapas mere saath chale chalo ,us insan ke peeche jaane main sirf tabahi hai ...! " sakht tareen lehja tha jismain lachak ki koi gunjaish nahi thi . Haazim bilkul apne naam ki terha tha ,sakht mizaj aur sab se ziada usool pasand !!! " Mujhe to nikala dediya gaya hai ...main aur wapas chalun !" Zaif ne ser jhatka .use bas Dua ke paas jaana tha .is waqt Haazim ki amad use nagawar guzar rehi thi . " Mera waqt zayah na kero ..Haazim , chale jao yahan se !!" " Tumhari maa ki wajha se .......uski ilitja per tumhe wapas bulaane ka faisla ker liya gaya hai ...acha hoa jo wo insaan khud chala gaya hai warna ........ " Haazim ne apni baat muqammal kerna zaruri nahi samjha tha ...uske mayanakhez muskurahat kaafi thi . Zaif ne agay berh ker uski gardan daboch li . " KHABERDAAR !!! " uski aankhon se shola se barasne lage they .Haazim ne uska haath jhetek daala . " Yeh galti met kerna , Zaif , tum ik galti ker chuke ho ,humare mana kerne ke bawajud ..... us insaan ki khatir tumne sab ko naraaz kya hai . Ik mauka diya jareha hai ,bewakoofi met kero ! " Zaif ne jawab dene ke bajaye Haazim ko gardan se daboch ker ik jhatka diya jiski wajha se Haazim do qadam peeche lerkhera gaya tha . Dono ka wajud aag ki manand dehek reha tha ,dono ka gussey se haal bura tha . " is waqt mujhe tumhe nuqsaan pohchane ka hukum nahi tha ..... so main jareha hun ........magar yaad rakhna ... ab sirf saza hogi ...sirf saza .... ! yeh keh ker Haazim aankhon se ojhal hogaya . ..................................
Qari Inayatullah ne apna wird rok ker aankhen kholdeen . Unki nazar samne derwaze per khere us safaid bille per thi jo apni puri aan baan ke saath wahan khera tha . Uski aag bersati nazren Qari Inayatullah per tiki hoyee theen . Qari sahab ne apne aur Shahji per hifazati wazifa na perha hota to uski aankhon ki tapish se un ki aankhen zarur zayah hojateen . Wo safed billa bohat waqar ke saath chalta hoya Qari sahab ke saamne wale sofa per beth gaya . ik lamhe ko bhi uski aankhon ne apna zawiyah nahi badla tha . wo usi terha apni khaufnak aankhen Qari sahab ki aankhon main daale hoye tha . " Agaya tu .... " Qari sahab halka sa muskuraye .Hont zarur muskuraye they magar dil o dimaag bilkul chokanna they ......" Bohat intezaar tha tera ...." " Tumse baat kerne ka ya mulaqat kerne ka mujhe koi shauk nahi hai ! " unke andar saamne wale ki awaz goonji ,bazahir wo billa yunhi chup chaap nazren gaarey betha tha . " Tujhse milna to hum bhi nahi chahte they magar tu peecha hi nahi chorr reha humara ...... " Qari sahab bole . "Tum humara peeche kyu nahi chor dete ?" bare tanziyah andaz main sawal hoa . Qari sahab halka sa hanse . " Hum ..hum kaun ? " Saamne bethey bille ne gusse se apni dum sofa per maari . " Kyu apni jaan ke peeche pera hai ,buddhe .......saath main ik aur bitha rakha hai ! " uska ishara Shahji ki teref tha . " Meri fikr met ker ...apni kher mana ...! " Shahji bol pere . Qari sahab ne unko haath ke ishare se kuch bhi baat kerne se roka .yeh dekh ker saamne wale ko bohat zor ki hansi ayi . "Acha kya jo mana ker diya ..isay pata nahi kaun hun main ..... khuwa makhuwa jaan se jayega ! " Qari Inayatullah ki muskurahat berqarar thi goya unhen saamne wale ki dhamki se kuch faraq na pera tha .. " Tu humari fikr met ker ,kaun jaan se jayega kaun zinda rehega .....tu apni keh ..." unhone baat agay berhayee . " Mujhe tumse kuch nahi kehna .....meri amanat lene aya hun ,mere raaste main met aao ... " Billa zor zor se apni dum maar raha tha . Qari sahab ne dukhti ragg per haath rakha " wo teri amanat na kabhi thi na hosakti hai...aur yeh tu bhi ache se jaanta hai ! " ... vaar khali na gaya tha , wo telmala ker reh gaya . " Mujhe kisi ka khauff nahi ....buddhe kyu waqt berbaad kereha hai apna bhi aur mera bhi ......... meri amanat mere hawale kerdo aur apni jaan bakhshi kerwalo ! " Wo bhi peeche hatne walo main se nahi tha . " Kisne roka hai tujhe ..ja leja agar himmet hai to .......!" khulli dawat thi . " Meri taqat ko lalkaar raha hai , nadaan hai tu ......." bohat ghamand tha use khud per . Qari sahab ne apni makhsoos tasbeeh apni hatheli main dabayee . " Khud ko taqatwer kehne wala ik bille ke roop main chupa betha hai ..himmet hai to apne asli roop main aaa , aamna saamne baat ker ,mard ki terha ! " Qari sahab ne apni aankhen band kerleen ,unki ungliyan tezi se tasbeeh ke daane gira rehi theen . wo saamne wale ko yeh zahir ker rehe they jaise unhen isterha ki lukka chuppi main maza nahi areha tha . unka maqsad tha ke Zaif apne asli roop main ajaye . unhone apne dimaag ko uske liye band kerdiya jis se majbur hoker usko madd e muqabil aana hi pere ...
............
Andar kamre main bethey wo teeno insaano ko aane wale ka pata chal chuka tha ...teeno ke dilo ki dhadkan tez hogayee thi .Magar Dua ke dil ki dhadkan kyu uske qaabu se bahar horehi thi wo khud bhi samjh nahi paarehi thi ..... ik teref jahan maa baap se mil jane ki khushi thi wahan mehboob shoher ki chahat bhi kam na horehi thi . Wo ache se jaan chuki thi ke uska shoher insaan nahi tha phir jaane kyu uska dil uski teref khincha jareha tha . Wo teeno dusre kamre main hone wali guftugu se anjaan they .. us kamre ke khirki derwaze band kiye hoye they aur sakhti se mana kya gaya tha kisi surat bhi Dua apne kamre ki dehleez paar na kere ,Soofia aur Jahangir per aisi koi pabandi albetta nahi thi magar wo dono apni beti ke paas paas hi they . " Sunen na ...zara dekh ker to ayen bahar kya horeha hai . " Soofia se raha na gaya ,usne Jahangir ko kaha . Jahangir bhi bechain se they yeh janne ke liye ke aakhir wahan ho kya raha tha . kya wo log apni beti ko us jinn ki chungal se churrane main kamyab hogaye they ya nahi ???? Soofia ki baat sunker Jahangir kuch soch main per gaye
............................
Kuch der wahin sofa per bethne ke baad wo safed billa neeche qud ker zameen per agaya . Saamne hi Shahji aur Qari Inayatullah farsh per bichey carpet per palti maare bethey they . Shahji ki nazren bille per tiki hoyee theen jabke Qari sahab ne apni aankhen band kerdi theen goya wo mazeed us se baat kerne ke khuwaha nahi they . Wo safed billa un dono ke atraaf chakar kaatne laga aur saath hi kuch soongh bhi raha tha . Achanak Shahji ke dekhte hi dekhte wo billa aankhon se ojhal hogaya . Uske isterha gayab hone per Shahji pereshaan ho uthey . Qari inayatullah ne jaise unke mann ki baat jaan li . unhone Shahji ke ghutne per haath rakha aur unhen sabr se bethey rehne ki talqeen ki . Wo jinn unke banaye hifazati dayareh ko paar nahi ker saka tha , unhen maaloom tha ke wo isterha nazro s gayab hoker unhen dhoka dereha tha .Bilkul usi terha horeha tha jaise Qari Inayatullah ko gumaan tha aur isi baat ka unhone bandobast bhi ker rakha tha . Wo chaahe kitni bhi koshsih kerleta magar na to wo yeh dayarah paar ker sakta tha aur na hi kamre ki chokhet paar ker sakta tha . Zaif ne jaise hi kamre ki chokhet per paoon rakha ik tez bijli se uske badan main daurr gayee thi ...usne gazabnaak hoker Qari sahab ko dekha tha . Unke honton per ik sukun bhari muskan ubhri thi ...wo Shahji ki ankhon se ojhal zarur hogaya tha magar Qari sahab ki mann ki aankhen ab bhi usi ko dekh rehi theen . Wo kuch perh ker apni makhsoos tasbeeh gahe begaahe zameen per maar rehe they . jaise hi wo tasbeeh zameen per perti Zaif ke badan main chingariyan daurne lagteen . Usne bahar jaane ki koshish tark kerdi . Thori der ke liye yeh tamasha band hogaya ,aisa laga jaise wo yahan se chala gaya ho jo ke na mumkin tha . Qari Inayatullah ki aankhen bhi usey khoj nahi parehi theen magar unhone apna dhiyan nahi toda ..... Achanak se Shahji ne dekha k unke saamne ik kaale rang ka saaya sa namoodar hoa . Wo kisi insaan ke saaye sa lag reha tha us saye ke koi khado khaal nahi they bas lal lal khaufnaak ankhen zarur theen . Laal laal angaare jaisi jo Shahji ko apne dil main uterti mehsus horehi theen .Dekhte hi dekhte wo saaya berhta hi chala gaya yahn tek chhatt tek ja pohcha ....uski aag bersati aaankhen ab bhi Shahji ki aankhon ko jakde hoye thi . Shahji un aankhon ki wehshat ke jaal main phans ker apna wird bhool gaye ..... unhen yun laga jaise unke dono kandhon per koi bhari bojh aan pera ho ! unke maathey per paseene ki boonden jama hogayee thi ...... dekhte hi dekhte saara kamra aise dehekne laga tha jaise aag lag gayee ho ........ " Inayatullah !!" qari sahab ke kaan main sergoshi si hoyee .unhone dheere dheere apni aankhen khol din . Unki nazar kamre ke kone main bethey ik aadmi per peri ... bethey hone ke bawajood uske lambe qad ka andaza lagana mushkil nahin tha ...." Kyu , bechare ki jaan ke dushman bane ho .......? " wo Shahji ki teref ishara kerke hansa tha ..Shahji kisi putle ki manind apne saamne nazren tikaye hoye they .....unke chehre se paseene ki boonden tepek ker unka daman bhiga rehi theen ...Qari Inayatullah ne apni nazren us aadmi per jamaye rakhi . " Yeh shobdabaazi na main kerta hun aur na hi in cheezon se darta hun ...is se pehle ke main tujhe nuqsaan pochane per majbur hojaoon ....tu Dua ki jaan chorr de ! " Qari sahab ne gusse se kaha . "Tu mujhe kya nuqsaan dega !!!Dua to meri biwi hai ...usko to main her haal main lejaoonga .... apne saathi ka haal dekh aur ab bhi samjh le !!! " us admi ke chehre se bhi hansi gayab hogayee thi . Uske chehre per halki halki pereshaani jhalakne lagi thi ..kyu ? is baat ne qari sahab ko bhi hairan kya tha magar unhone kuch bhi zahir nahi kya . " Agar tumne hume yahan se jaane diya ,Inayatullah , main wadah kerta hun kisi ko bhi koi nuqsaan nahi pohche ga ...... mere paas waqt bohat kam hai ." Uske lehjey main zara der ko narmi ayi . Najaane kya baat thi ke Qari Inayatullah ke dimaag main bhi khatre ki ghanti si bajne lagi . Kuch to tha jo hone wala tha ,wo jiska gumaan unhone nahi kya tha ,shayad chook hogayee thi !!
आप पढ़ रहे हैं
AAG KI TERHA
Paranormalabout a girl and her journey of love but not all love stories r wht u think they are !!