Aisa nahi tha ke humne kabhi DUA JAHANGIR ko dekha hi nahi tha . Wo aksar apne ghar ke bahar bane baageechey main chup chap bethi dikhti thi . Humari dewwaren kuch bohat unchi nahi theen . Bataya na aapko ,chota sa qasba hai humara . Unchi unchi deewaren to bare sheher walo ke gharon main aur shayad dilon main hoti hongi. Bas hume us larki se baat kerne per pabandi thi . Wo bbi humse kuch khaas dosti ki khuwahishmand nahi thi . Uski khali khali aankhon main ik alag hi duniya basti thi .jab bhi us se nazren milti theen ik ajeeb si sard si leher mann main uterti mehsus hoti thi . Magar mujhe to kabhi bhi darr nahi lagta tha .bhala us pyari si khamosh si larki se kaisa darr ?? Wo to khud hi itni darri si wehshat zada si lagti thi . Mera kabhi kabhi dil chahta ke us ke paas bethun aur poochun ke aakhir usko kya hoa hai . Bazaahir to wo beemar nahi lagti thi phir wo cheekhna chilana ,tod phod ...wo sab kya tha ?! Kya beemari thi ussey ke uske maa baap usssy kisi doctor ke paas nahi lejana chahte they . Kya waqai usper jinn ka saaya tha jaise ke meri dadi kehti theen . Yeh soch ker hi mujhe hansi ajati thi . Bade buddhe bhi na kaisi kaisi baaten kerten hain .wo yaqeenen aisi baaten isliye kerti theen taake hum behnen bheege baal khol ker ghar ke sehen main na phira keren ya bohat tez khushbu na lagaya keren .
Aapko bhi hansi aayi hogi na , bhala aajkal aisi baaten log qissey kahaniyo main nahi kerte ! Bhala jinn bhooto ko aur koi kaam nahi .......
Phir mujhe aisa mauka mil hi gaya . Humare ghar wale kisi rishtedaar ki ayadat ko dusre sheher gaye they . Meri behen to sada ki ghoomne phirne ki shaukeen ,jhat se tayyar hogayee .
Dopeher tek main ghar ke saare kaam kerke apni kitaab leker bahar akar beth gayee . Mausam acha horaha tha isliye socha ke perhai ke saath saath mausam ka lutf bhi liya jaye . Chai peete peete achanak meri nazar peros per peri. Wahan seerhiyo per ik kone main mujhe DUA bethi nazar ayi . Thori der tek ussey dekhti rehi . Kitni ajeeb si purisraariyet si thi uske aas paas . Ik alag si duniya hone ka ahsaas . Main ser jhatak ker kitab khol ker beth gayee . Magar dil bechain horeha tha . Itna acha mauka hai JABEEN ,ghar per koi nahi hai . Aur waise bhi thori si gup shup kerne main kya burayee hai .
Magar main nahi jaanti thi ke yeh choti si mulaqat main zindagi main kabhi bhoolne wali nahi thi !!!
Kya aaplog sunna chahenge ik aisi kahani jo kisi Alif laila ki.kahani se kam nahi thi !!!!!?!
आप पढ़ रहे हैं
AAG KI TERHA
Paranormalabout a girl and her journey of love but not all love stories r wht u think they are !!