Part 62 ✔️

794 33 8
                                    

Hello Wonderful people...!!

Here is the first update of the day..!!

.

.

.

Finally they decide on Lonavla. Jay books a villa and also invites Jagat. 

Next day, Manveer, Unjay and Jay start after having breakfast while Jagat comes directly to Lonavla from Australia as he was in a business meet. Uday drives the car while Vj sits in passenger seat. Unnati, Jay and Manyata sit in back seat, gossiping on random topics. They take maids and guards as per royal protocol.

Jay: Jiji aap ke school time mein aap kaise hua karti thi. I mean yahan toh hum aur Vj bhai ek saath the aur Uday aur Unnati ek saath the London mein. (Everyone interestingly listen to her answer.)

Manyata: Mere kabhi zyada friends nahi they. In fact main kabhi kisi se baat bhi nahi karti thi. Maine apne liye ek circle bana liya aur usi mein rehti thi. Teachers ki favourite thi kyun ki main class topper thi. Mere friends bhi sirf school tak they kyun ki Baba ko mere zyada friends hona pasand nahi tha. Mujhe bahut sare restrictions the jaise ki ghar per 7 baje ke baad akeli kahi nahi ja sakthi aur ghar per kisi ko nahi bula sakthi aise bahut zyada the. (Everyone look at her.) Sravu aur Satwik mere best friends the aur Sravu meri neighbour bhi. Sirf wo dono the jin ke saath mein khul kar rahe sakthi thi. Meri life mein us wakt sirf wo log the jo mujhe kabhi bhi judge nahi karte the. Baba theek the lekin woh mujhe band karke ek kotri mein rakhna chahte the. 

(looking at Uday) Jab main Uday se pehle baar beach per mili thi us din Baba ko pata chal gaya ki main Interior Designer ka kaam kar rahi thi. Unhone us din mujhe warning di ki main woh job chod doon kyun ki unhe mera kaam karna pasand nahi tha. Main us din wahan ro rahi thi yeh soch kar ki main kabhi apni marzi se kuch nahi kar sakthi. Iss liye mujhe kabhi pyaar per barosa nahi tha kyun ki mujhe lagta tha ki jo mere life mein aayega wo mujh per pyaar se zyada haq jatayega. (Everyone become silent.)

Jay: Jiji ab toh aisa kuch nahi hai. Ab toh sab aap se bahut pyaar karte hai. In fact agar aap chahoge toh Uday ek Interior Designing ka wing start kar dega. Right Uday? (He hums looking at her, from mirror.)

Vj: I tell you. (They all laugh and soon reach Lonavla. They all sit in hall and chat, waiting for Jagat.) M bhai aap apne election result ki kahani sunayiye? (Manyata looks at him angrily while Jay starts laughing.)

Udnati: Kya hua tha? (Un) Haa Bhabhi Sa kya hua tha?

Jay: Kuch nahi Jiji ki sab se badi embarrassing moment hai yeh. Vj bhai, Kal subah ke headlines mein aap ke murder ka news hoga. I tell you.

Manyata: Fine. So that was around August in my 9th standard. Uske 15 din pehle hi elections hue they aur maine House of Rajputana ki Captain ki place mein participate kiya. Us din per humare election result aane wala tha aur main khud bhul gayi kyun ki maine wo elections zyada seriously nahi liya tha. Main subah bahut late ho gayi thi aur baba ne mujhe drop kiya per usually school bus mein school jaati thi. Late hone ki wajah se assembly start ho gayi aur maine peeche se aa kar join kiya. Achanak se mera naam announcement mein aaya tha aur mujhe laga ki main pakadi gayi hoon. So main thoda nervously stage per principal ke paas khadi ho gayi lekin unhone mujhe congratulate kiya aur sab log clap kar rahe the. Main wahan ek ajeeb sa expression lekar khadi ho gayi. Stage per meri favourite teacher thi kyun ki us din unke class assembly kar rahe the. Maine jaa kar unse poocha aur unhe samajh mein aa gaya ki maine peeche se assembly join ki. Phir mujhe unhone imposition di ki main kabhi school late nahi aaongi. (Everyone laugh, M pouts) Baad mein pata chala ki poora class ne mere liye advertise kar rahe the. 

(Jagat joins them. They chat for some time and decide to take rest. Jaat go on a walk while Unjay play chess in lawn. Uday takes Manyata to terrace garden. Manyata's phone beeps and she yells in excitement.)

ManVeer FF - After Marriage ✔️Where stories live. Discover now