Untangling The Tangled.

8.8K 982 175
                                    

     Sid and Sana had breakfast together.
Sid: Chal mai chalta hu. Aaj meri ek ad shoot hai.
Sana: Mai bhi office jaa rahi hu. Tu Zoro se kab milne aayega. Kal tu nhi aaya to vo thoda upset tha.
Sid: Ha Maine jab baat ki to mujhe bhi vo samaj aa gaya tha. Sana usse yeh dar lagne laga hai, ki uske papa fir se usse dur chale jaayenge. Yeh sab uski liye thek nhi hai. Hame jaldi se shadi ke date fix karni chahiye. Taki vo secure feel kare.
Sana: Hmmm sahi hai. Mai aaj shaam office baad di ke yaha jaane wali hu, usse pick karne.
Sid: Fir mai bhi aati hu. Mahi aur Jay se tujhe officially mang lu. Aur fir agar tu chahe to Maa tere mummy papa se bhi baat kar lengi.
Sana: Thek hai. Tu aaja. Vaha decide karte hai.
Sid: Ek kaam karte hai. Mai tujhe pick karne aa jaata hu.
Sana: Ok.
    She went and sat on his lap and kissed him hard.
Sid: Jaana.... Baby.... Shadi tak rukna hai na??
Sana: Hmmm.
Sid: To fir aisi harkate mat kar.
Sana: Siddharth kya hai yaar??? Sirf kiss kar rahi hu na??
Sid: Ha par saamne waale bande ki kya halat hoti hai vo bhi to sooch na thoda.
Sana: Saamne waala banda?? Kon mera neighbor?? Usse to Maine kabhi kiss nhi kiya. Vaise bada handsome hai. Try karu kya??
Sid: Kaat ke rakh dunga mai. Usko bhi aur tujhe bhi. Yeh sab me mazak nhi ha Jaana. Mujhe bilkul pasand nhi hai. Koi tujhe dekhta hai to bhi mere dil me aag lag jaati hai. Uss din uss restaurant me Maine khud ko Vishal ka muh todne se kaise roka vo mai khud he jaanta hu.
Sana: Ha aur vo Sheetal tujhe yaha vaha haat laga rahi the uska kya??
Sid: Mera to dhyaan bhi nhi tha uss par.
    Sana then realised she had not asked what Sheetal was doing in his room that dreadful morning six years back. But she stopped herself as Sid's mobile buzzed. He made her stand up and went to the balcony. Sana was collecting the used plates from the table when he came back.
Sid: Jaana mai chalu?? Vo Arun ka call aaya tha. Shoot se pehle kisi ke sath ek meeting hai.
Sana: Ha ha thek hai. Tu pick kar lega, yaa mai chali jaau??
Sid: Nahi mai aa jaaunga.
    He came forward and kissed her forehead.
Sid: Bye.
Sana: Bye.
     Sana was in her office, working on the promotion of the project engrossed in her work on the laptop.  She did not see Vishal standing in her office doorway. Sana looked up, when he knocked on the door.
Sana: Hi Vishal.
    She smiled at him.
Vishal: Ander aa jau??
Sana: Aree please. Please come in.
   He walked in.
Sana: Baito...
    Vishal sat on the chair opposite to her.
Sana: Kaise ho??
Vishal: Thek. Tum??
Sana: Badiya.... Kitne din ho gaye.... Yeh project ne itna busy kiya ke....
Vishal: Project ne, ya Siddharth Shukla ne.
Sana: Kya matlab?? Vishal mere kaam me kabhi.....
Vishal: No. Not at all Sana. Mai shikayat nhi kar raha..... It was said in a jest. Don't take it otherwise. And according to what the office gossip goes, you are getting married to Siddharth Shukla. Kya yeh sach hai??
Sana: Ha Vishal yeh sach hai.
    Vishal took a heavy breath.
Vishal: Sana tumhe pata hai, mai bahot pasand karta tha tumhe.
Sana: Vishal  mai Siddharth se pichle cheh saal se bahot pyar karti hu. Aur vo kabhi kam he nhi hua. Isliye maine kabhi kisi ke taraf apna kadam nhi badaya. I'm sorry agar kabhi meri baato se ya actions me tumhe aisa koi indication mila ho to??
Vishal: Nahi. Kabhi nhi. It was only from my side. Siddharth is a very lucky guy.
    Sana smiled.
Sana: Thank you samjhne ke liye.
Vishal: Chalo I take your leave then. All the best for your future. Bye.
Sana: Bye.
    She need not tell this to Sid. He will get all possessive again. Sana loved this side of Sid. Sana loves it when he get jealous. She removed her mobile and messaged him.
Sana: Baby.... I'm missing you☹️☹️
    He replied after half and hour.
Sid: Aa jau tere paas??
Sana: Teri shoot ho gayi??
Sid: Nahi. Par tu mujhe miss kar rahi hai na??
Sana: Khabardaar aise kuch kiya to. Kaam khatam karke aana.
Sid: As you say meri jaan😘😘
Sana: I love you baby❤❤
Sid: I love too meri jaan🥰🥰. Bye.
Sana: Bye.
     Sid was waiting on the gates of eros international. He saw Sana come out of the building. Vishal was with her. He said something and Sana laughed. Sid felt a fire burn inside him. This is not right. He cannot always react like this if she talks to men. But Vishal?? He knew Vishal was interested in Sana. Sid had seen it in his eyes. He doesn't have problem with other men. But he has a problem with Vishal. He told his heart, sulking.
     Sana walked to his car and gave him a pretty smile. But her smile disappeared when she saw his grim face. She sat inside and looked at him.
Sana: Kya hua hai??
Sid: Kuch nhi.
    He started the engine and they drove towards Mahi's place. Sana was confused. Not few hours ago, they had exchanged such cute messages. Now this is not what she had expected. Sana brought her hand to his cheek to stroke it. But he pushed it away.
Sana: Siddharth kya hua hai, bolega??
Sid: Kaha na kuch nhi...
Sana: Dekh Siddharth, Tu yeh mat kiya kar. Agar kuch hota hai to bata diya kar. Yeh aise muh banakar baithega, to mujhe pata kaise chalega?? Mujhe yeh sabse bahot problem hoti hai.
Sid: Ab to mujhse problem hogi he na??
Sana: Kya matlab??
Sid: Matlab too perfect Vishal Singh se milne ke baad mujhse problem to hogi na tujhe??
Sana: Ek second, ek second.... Iska kya matlab hua??
Sid: Jaana vo tujhe pasand karta hai. Aur tu usse hass hass ke baat kar rahi the. Jaan jalti hai meri.
Sana: Tujhe kisne bola vo mujhe pasand karta hai??
Sid: Andha nhi hu mai. Sab dekhta hai mujhe.  Uss din itne saalo baad jab tujhe dekha tha na tab uss corridor me tu usse hass ki baat kar rahi the. Mann kiya tha ki muh Todd du saale ka...
Sana: Siddharth..... Koi mujhe pasand kare to usse kya farak padta hai?? Mai to sirf teri hu na??
Sid: Iska matlab tujhe pata hai uske feelings ke baare me.
Sana: Ha usne bataya mujhe. Aaj....
Sid: Aur tune Mujhe bataya bhi nhi. Kya tu mujhe batane wali the??
Sana: Nahi....
Sid: Dekha??
Sana: Kyuki tu yeh.... Aise react karta hai.
Sid: To kya karna chahiye mujhe??
Sana: Bharosa. Mujhpe bharosa.
Sid: Jaana....
Sana: Baby..... Accha chal ek baat bata tu mujhpe trust karta hai ya nhi??
Sid: Ha karta hu na. Bahot karta hu.
Sana: Fir koi kuch bhi sooche, usse hame kyu farak padna chahiye??
Sid: Par meri jaan, agar vo tumhe aise dekhta hai to mujhe usse punch karne ka mann to karega na???
Sana: Aur meri nazar kis par hoti hai??
Sid: Mujh par...
Sana: Fir to baat he khatm ho jaati hai na baby...
Sid: Hmmm
Sana: Chal ab apna mood thek kar aur ek pyari se smile de...
     He pulled her by her arm and circled his hand around her shoulder, driving with one hand. He then kissed her head and she his chest. He let out a heavy sigh.
     They reached Jay and Mahi's place and rang the bell. The door was opened by Mahi with a big smile on her face.
Mahi: Lo aa gaye iss duniya ke sabse bade namune.
    Sid and Sana gave each other an embarrassing look. Jay came forward.
Jay: Mahi bass kar yaar. Mat tang kar dono ko. Namune kya??
Mahi: Are namune he to hai. Cheh saal me unhe ab date pe jaane ki sujhi. Ha ha vaise dusre kaamo se fursat kaha.....
Sana:Diii....
Sid: Abeee....
Jay: Mahi....
Mahi: Aree aisa reaction kyu?? Mera matlab zhagda tha... Tum sab ne kya soocha??
     Sid came forward and took Mahi by her neck. Slapping lightly on her cheek.
Sid: Jay yeh kuch zyada nhi bolti??
Jay: Tell me about it.
    Sid walked with Mahi in the hall.
Sid: Thoda kam bola kar moti. Muh me hava jaakar ful rahi hai tu.
Mahi: Ha ha very funny.
    They all laughed. Sid went and sat on the couch and Sana sat opposite to him. Jay and Mahi sat on the sofa.
Sana: Di mai Zoro ko dekh kar aati hu.
     She was about to get up when they  heard Zoro's voice. He squeaked.
Zoro: Papa....
    They turned and found Zoro emerge from inside and rushed towards his dad. Sid stood as he saw Zoro coming towards him. Zoro reached to Sid and Sid scooped him in his arms.
Sid: Hi, meri Jaan.
Zoro: Hi papa.
     Zoro hugged his dad tight.
Sid: Kya hua baby??
Zoro: Mujhe laga aap chale gaye.
    Sid shifted back slightly and looked in Zoro's eyes.
Sid: Zoro.... Baby.... Aap ko aise kyu laga??.....Baby papa kahi nhi jaane wale. Papa ab aapke paas he hai.....Jab bhi aapko papa ki yaad aaye ya papa ki zarurat ho to papa aapko aapke paas he milenge.......Ha ho sakta hai ki papa ko kaam se kahi jaana pade. Par tab papa will be just a call away. Ok??
    Zoro nodded.
Sid: And papa loves you very very much.
Zoro: I love you too papa.
    Sid hugged his son, wanting him to feel secure from any doubts he may be laundering in his mind. Zoro turned around and saw his mama. He slid from his dad's arms and went to his mama. She encircled her arms around him.
Sana: Hi beta...
Zoro: Hi Mama...
Sana: Kya kar rahe the??
Zoro: Mama aaj maasi ne mere liye pizza banaya tha. Vo hi khaa raha tha.
Sana: Are vah aapke to bahot he maze chal rahe hai.
Zoro: Haa. Thank you masi...
Mahi: Welcome meri jaan.
Sid: Zoro aap jaao apna pizza finish karo. Thek hai??
Zoro: Ok papa.
     Zoro ran inside. Sid got up from the couch and went and kneeled on the floor in front of Jay and Mahi. He took Mahi's hands in his.
Mahi: Siddharth....
Sid: Mahi mujhe tujhse kuch kehna hai.
Mahi: Par yeh...
Sid: Mahi please bolne de yaar....
     Mahi went quiet.
Sid: Mahi tune aur Jay tune, jo bhi Sana Aur Zoro ki liye kiya hai... Mai... Mai.... Pata nhi thank you bahot chota word hai.......Mai kya kahu yaar. Yeh kehna ki agar tujhe meri zarurat ho to mai hu.... Vo to obviously hu... Par yeh keh kar tere kiye hue ehsaano ko kam nhi karna chahta......Sana ki sath itna rock solid khade rehne ke liye.... Sana ke pregnancy ke waqt, uski delivery ke waqt, Zoro ko bada karte waqt, jo role mujhe nibhane chahiye the, vo tum dono ne nibhaye.... I'm sorry, I'm saying this. Par kaise ehsaan chukau tum dono ka??  Mahi please show me the way to repay you both. Meri jaan bhi tum dono ke liye hazer hai.
    Tears were streaming from Sid's eyes. Sana too joined Sid on the floor. Sana was in tears too. They both folded their hands in gratitude in front of that lovely couple. Mahi and Jay held their hands.
Mahi: Siddharth.... Sana.... Pagal hai kya tum dono??.... Yeh kya kar rahe ho??
Jay: Siddharth mat kar yaar aise.... Sana uth jaa...
    Both the couples got up.
Mahi: Sana thappad khaana hai?? Yeh sab kya kar rahe ho tum dono?? Siddharth yaar. Tu dost hai hamara aise thodi karte hai yaar.
    Sid took Mahi in his arms and kissed her hair. Jay pulled Sana to him.
Jay: Sana?? Yeh kya hai baby?? Aise mat kar please.
     Mahi made Sid sit on the sofa and sat next to him.
Mahi: Bait idhar. Agli baar agar ehsaan ki baat ki na to ghar se bahar nikaal dungi.
    Sid chuckled.
Mahi: Hass mat. Sach keh rahi hu. Aur tu Sana?? Iske sath rehkar tera bhi dimag kharab ho gaya hai kya?? Kya tum dono nhi jaante, hum tum dono se kitna pyar karte hai?? Fir yeh sab kyu?? Aaj kar diya. Next time nhi. Samjhe tum dono. Aur Siddharth humne sath me kitna accha time spend kiya hai. Aur rehi iss Sana ki baat. Tujhe pata hai, jab maine isse pehli baar uss parlour me dekha tha na, tab se yeh mere dil ko chu gayi the. Iska vo innocent chehra mere dil me ghar kar gaya. Fir khuch dino me mujhe pata chala ki iska chehra he nhi iska dil bhi itna he maasoom hai. Aur mujhe dil se yeh apni lagne lagi. Aur ab yeh haal hai, ki yeh mere ghar ka hissa hai.
     They both looked at Sana lovingly and fresh tears steamed down Sana's  eyes.
Mahi: Isliye yeh sab faltu baate apne paas rakha kar samjha??
Sid: Ok. Par aaj mai ek aur kaam se aaya hu.
Mahi: O bhai. Ab pair vair padne mat lag jaana. Kuch zyada ho jaayega, aur yeh sab tujhe suit nhi karta, Siddharth.
Sid: Yeh sach me kitna bolti hai yaar Jay. Saamne vale ko bolne diya kar thoda. Apne he bakwas lagati hai.
Mahi: Accha accha bol bol.
Sid: Bol bol kya?? Rhythm tut gaya mera??
    Sana giggled. Sid looked up at her.
Sid: Tu kya hass rahi hai?? Aakar bol fir tu hi.
Sana: Aree maine kya kiya?? Yeh accha hai.
Sid: Shhhh. Chup ho jaao tum dono. Jay, Mahi mai Sana ko official tum dono se mangne aaya hu. Mai usse shaadi karna chahta hu, par jab tak tum dono officially haa nhi kahoge vo mujhse shadi nhi karegi.
Mahi: Ohooo. Aisa hai kya??
Sana: Ha di aisa he hai.
Mahi: Siddharth agar mai na kahu to??
Sana: To di koi shaadi nhi hogi.
Sid: Aur mai fir kahi maara maara firunga.
Mahi: O dramebaaz. Yeh teri acting sab TV par. Yaha nhi.
Jay: Siddharth, Sana hum dono bahot khush hai tum dono ke liye.
Mahi: Jaa baccha di tujhe permission.
Jay: Iss baat pe kuch mitha ho jaaye.
Mahi: Haa haa, mai le aati hu...
Jay: Tu baithe, mai laata hu.
     Jay went inside and Sana sat on the couch.
Sid: Mahi hum jaldi se jaldi shadi karna chahte hai.
Mahi: Accha?? Itni jaldi kyu hai??
Sid: Mahi maar khaayegi ab tu.
Mahi: Accha accha sorry sorry.
Sid: Bata kaise karna hai.
    Jay came with the sweets and they fed each other.
Mahi: Siddharth, Sana ko uske ghar waalo se baat karne de. Sana tu unhe yaha bula le. Fir sab milke decide karte hai.
Sana: Ok di. Di mujhe zyada shor sharaba nhi chahiye. Bas apne ho.
Mahi: Tu kya bolta hai Siddharth??
Sid: Mahi jaise Sana chahe.... Mahi chamaat khaayegi. Hasna band kar.
Mahi: Aree, ab mai hasu bhi nhi...
Jay: Mahi bas kar yaar. Sana tu aaj he call kar apne ghar aur baat kar le.
Sana: Jee bhai.
Jay: Sid tujhe official statement bhi deni padegi ek press me. Being a public figure, you will have to do that. Par bolega kya??
Sid: Sach. Jo sach hai vo batenge.
Jay: Tujhe apne PR team se bhi baat karni padegi.
Sid: Haa. Ek meeting karte hai unke sath. Aur official statement tu de de mere taraf se.
Jay: Ok done.
Sid: Shadi hum khandala vale farm house pe karte hai. Maa ne vaha kuch interior karva liya hai. So we can do it there.
Mahi: Thek hai. Sana ko baat karne de uske family se. Fir hum accordingly decide karte hai.
    Sid had come to drop Sana and Zoro home. Zoro wanted to go home with Sid. Sid looked at Sana and she had shrugged. Sid had seen a tinge of sadness in her eyes.
Sid: Zoro aaj aap mama ke sath ruko mai aapko kal le chalta hu.
Zoro: Ok.... Thek hai.
    Sana felt proud that her son was so understanding.
Sana: Zoro aap jaao papa ki sath. Aapko kamre se kuch lena hai to le lo. Aur jaldi aana.
Sid: Sana...
Sana: Siddharth nhi tu le jaa usko. Aaj thoda pareshaan ho gaya tha na vo. Kal laa kar chod dena.
Sid: Are you sure??
Sana: Hmmm
    Sid and Zoro had left. Sana changed and came and sat on the sofa. She dialled her mummy's number.
Sana: Kaise ho mummy??
Mummy: mai theek hu beta. Tu kaisi hai??
Sana: Khaana khaaya??
Mummy: Haa. Tera ho gaya?? Zoro kaisa hai??
Sana: Thek hai. Mummy aapko kuch batana tha...
Mummy: Ha bol na beta.
Sana: Mai shadi kar rahi hu maa.
    There was a long silence on the other said of the call.
Sana: Mummy??
Mummy: Sach?? Sach beta?? Kon hai vo?? Kya vo Zoro ko apnayega?? Kya vo tujhe khush rakhega??
Sana: Mummy vo Zoro ka papa hai??
Mummy: Kya?? Par Rohan...
Sana: Rohan Zoro ka papa nhi hai. Siddharth hai.
Mummy: Sana Tu yeh kya bol rahi hai mujhe samaj nhi aa raha hai??
     Sana told her mom everything about Siddharth and her. Her mom was shocked.
Sana: Mummy aap thek ho??
Mummy: Sana.... Itna sab kuch ho raha tha tere life me. Tune hame batane layak bhi nhi samjha??
Sana: Aaisi baat nhi hai. Mai aapko pareshan nhi karna chahti the. Mummy papa kaha hai??
Mummy: Hai andar.
Sana: Mujhe unse baat karni hai.
Mummy: Tu baat karegi??
Sana: Hmmm
Mummy: Ruk deti hu.
     Within a minute she heard her dad's voice on the call.
Papa: He... Hello??
Sana: Papa...
    Tears formed in Sana's eyes and word's chocked in her throat.
Papa: Sana... Sana beta...
Sana: Ha papa... Sana...
Papa: Kaiseee hai tu??
Sana: Mai thek hu papa.... Aap kaise ho??
Papa: Mai?? Mai thek hu. Zo... Zoro kaisa hai??
Sana: Vo bhi accha hai. Papa mai shaadi kar rahi hu.
    They was no response from the other end.
Sana: Aap aaoge na??
Papa: Mai aa raha hu. Mai aa raha hu.
Sana: Thank you.
Papa: Mai kal he aa raha hu beta. Teri maa ko lekar mai kal he aa raha hu.
Sana: Mai aapka intezaar karungi.

You Never Asked  (Completed) जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें