Aspires - 3

649 69 20
                                    

Bondita's P.O.V :

"Bahuuuu!! Dimag kharab ho gaya hai kya tumhara? Kaisi behki behki baatein kar rahi ho tum?" He almost yelled on me.

"Jo baatein aapko behki behki lag rahi hai vahi baaton mein mujhe kuch bhi galat nahi lag raha hai kaka sasurji.."  I opposed politely.

"Un hira mandi ke logo ke sath reh kar tumhara dimag bhi bhrasht hogaya hai."

A lone tear escaped from my eyes. Really!! Has my brain damaged? Why he is not understanding that there is nothing wrong in it? Well, he is not at fault. The way our ancestors has shown  us the world, we seemed to see it like that only. He was just looking with that eyes.

"Kya ho raha hai yaha?"  A voice came from behind. Undoubtedly, it soothed me. I know, the one who always fights for my rights, my bhagwaan, my maseeha has come.

"Aniruddh!! Samjhaao apni patni ko. Kuch bhi badbada rahi hai."

"Kya kiya hai tumme Bondita?"

I gazed at the floor. The tone in which he was speaking was giving me a chill. I could predict there would be a strong fight after a few moments under the roof of Roy Choudhary haweli. Sometimes I feel I should leave the dream of becoming a barrister and should opt for an astrologer. My thoughts were interrupted by his loud shout.

"Tumse kuch puch raha hu main Bondita!! Jawab do."

"Arrey voh kya batayegi ? Hum batate hain. Tumhari patni keh rahi hai ki use naach gaana karna hai."  He gave me a disgusting look.

"Naach gaana nahi, nritya karna hai mujhe. Sikhna chahti hu main kathak. Galat kya hai isme?"

"Waah!! Pati toh barrister hai iska matlab ab tum humare saath shabdo se khelogi? Arrey naach aur nritya mein farak kya hai?"

"Farak hai kaka. Ek baar sun toh lo Bondita kya kehna chahti hai."  Pati babu argued.

"Kauve ko koyal kehne se voh kokil nahi ban jata smjhe tum dono!!"

"Kaka sasurji. Naach dusro ke khushi ke liye kiya jaata hai. Dusro ko lubhaane aur mohit krne ke liye. Par main nritya krna chahti hu. Nritya man ke khushi ke liye kiya jaata hai."

I could see pati babu smiling decently to me. I know he was proud of my 'tarking skills'. He blinked his eyes at me in assurance, indicating, he will always be with me, always!!

"Aur kaka galat kya isme? Kathak hi toh sikhna chahti hai voh. Aap jaisa soch rahe hai vaisa isme kuch bhi asabhya, ashleel ya aapke asmita pe aanch laane jaisa kuch bhi nahi hai. "

"Tumse jyada duniya dekhi hai maine. Aur yahi samaj aur duniya ki reet hai ki aurato ko naach gaana shobha nahi deta. Ye hum jaise brahmin aur unche khandaan ki maryaada pe ungli uthwane ka kaam hai."

"Samaj aata hai kya humko paalne?  I jerked due to his sudden change in pitch.

" Samaj aata hai hume musibato se chudwane? Samaj kar raha hai humara palan poshan? Boliye na!!  He yelled at the top of his voice.

"Samaj mein jeena hai toh samaj ki reetiyon ko apna na padega. Arrey kon hai voh Kalka prasad?Tawaifo ko nritya sikhaata hai. Isi se uska charitra samajh mein aata hai."

"Par kaka sasurji. Voh sirf tawaifo ko nahi sikhaate hai. Bohot bada nritya mandir hai unka Banaras mein. Aur kala kisi mein farak karti hai kya? Aisa kis kitaab mein likha hai ki ladkiyon ko nritya nahi karna  chahiye. Isse parivaar ka samman toot jata hai. Aur guru ka charitra humesha mahaan hi hota hai aisa mere pati babu ne sikhaya hai. Guru ka sthan toh bhagwaan se bhi upar hota hai na?" I argued politely, keeping my hands on the waist.

Tark Se Mitaayenge FarkWhere stories live. Discover now