Part (4)

29 4 11
                                    

Agle din subah jab uroosa neend ke khumaar se bahir aake uthi tw achanak darwaze ki bell baji usne jab bahir jaker dekha tw koi nhi tha lekin phir uski nazar zameen per parhe aik gul daste per parhi vo aus gul daste ko utha ker ander le ayi aus gul daste me aik letter tha jisme likha tha
     
                            (LETTER )

Hello beutifull subah bakhair mujhe umeed hai ke kal raat tumhe neend achi ayi hogi kahin tumne mujhe puri raat yaad tw nhi kya me tw samjha tha ke kal tum mujhse mil kar bhot dar gyi hogi lekin tum tw mujhe puri raat yaad kr rhi thi 
Ye parh ker vo souchne lagi ke aisi kese pata ke kal me aese yaad ker rhi thi kyunke zahir hai kal raat mere liye asaan nhi thi meri ankhon ke samne mere maa baap ki mout aur uska chehra ghoom rha tha phir uroosa agai parhne lagi
  
                      (LETTER)
Ab tum souch rhi hogi mujhe kese pata kiya karo mujhe bhi kal raat tumhari bhot yaad arhi thi tum ho hi aitni  khobsurat ais liye kal raat tumhare ghar per puri nazar thi meri jab tum bechain hoker aidher oudher ghoom rhi thi chalo office me mulakat hogi Bye beautiful ..

Uroosa Jawad ka letter parh ker nihayat gusse mai agyi thi uroosa khud se kehne lagi
akhir vo kese mujhe beautifull keh
sakta h kher khobsurat tw me ho lekin ab mujhe aisse darna nhi chaye balke ab me ais jawad ko sabaq sikhaoungi ye kya samajhta hai ke me aisse dar jaoungi bilkul nhi dari tw me aus se aus waqt thi jab me aik khud ahtimad aur khud mukhtaar ladki nhi balke ladon me palli aik nazuk gurya thi jise tumne aik khud mukhtaar our himmat our bahadur ladki me tabdeel kar diya jawad ab na hi me tumse darti ho our na hi ghabrati ho ab me krungi tumhara samna
Phir uroosa roz marra ki trah office jane ke liye taiyar hui uroosa jese hi office pohchi uroosa ke samne jawad akhara hua uroosa bina dare jawad ke samne ja rhi thi
Jawad : hi beautiful
Uroosa gusse me jawad ko jawab dete hue
Uroosa : tumse matlab our tum kiya samjhte the ke me tumse dar jaoungi our office nhi aoungi ye tumhari souch hai ke me tumse darti ho me tumse bilkul nhi darti
Jawad muskrate hue kehne laga
Jawad : me ne kab kaha ke tum mujhse darti ho tum kiya samjhti ho ke me tumse milne aya ho yaha ais company me mere adhe shares hai agar me chaho tw tumhe ais noukri se Abhi nikal sakta ho lekin me aesa nhi krunga kyun ke tum beautiful ho aur ais company ko tumhare jaise khobsurat ladkiyon ki bhot ziyada zarurat hai khususan meri company me acha dubara mulakat hogi bye beautiful
Jawad tw ye sab keh ker chala gaya lekin uroosa ka mun khula ka khula reh  gaya aur vo aur ziyada gusse me aag ki tarah aubal rahi thi uroosa ka bas chalta tw abhi vo jawad ka gala bada deti
:
:
:
:
:
:
:
Chand din yonhi guzar gaye lekin kuch dino se jawad uroosa ko tang karne ya yun keh sakte hai ke company mai nhi aya phir aik din achanak hua kuch yun ke uroosa ko uroosa ke boss ne apne office me bulaya uroosa apne boss ke office me gayi tw uroosa ko pata chala ke uroosa ko transfer kiya jarha hai darasel muamla kuch yun tha ke
Uroosa ka boss : "tumhe me aik dosri company me bhej rha ho darasel aus company ke boss ko aik Secretary ki bhot zarurat hai our tum aaj se waha Secretary ki haisiyat  se kaam krogi darasal aus company ke boss ne shayad tumhe dekha hai tabhi shayad unho ne sirf tumhe hi chuna hai apni Secretary ke liye kher ab tum jasakti ho our ye tumhara transfer letter hai "
Uroosa ke boss ne uroosa ko letter pakrate hue kaha uroosa bhot heraan thi ke achana aesa kyun lekin phir uroosa dil hi dil me kehne lagi kher meri salary tw bhot achi hai balke yaha se tw bhot achi Hai lekin vo hai koun aur unhon ne sirf mujhe hi kyun chuna kher Mujhe kya meri salary tw barh gayi hai aur jawad kya keh rha tha mai tumhe noukri se nikal dunga ab ais jawad se bhi jaan chutegi aur mujhe aitni achi noukri bhi mil gayi
:
:
:
:
:
Agle din subah uroosa khushi khushi noukri per jane ke liye taiyaar hui aur apni nayi noukri ke liye rawana ho gyi uroosa bhot khush thi lekin uroosa ki ye khushi waqti thi uroosa company phonch chuki thi uroosa jese hi apne naye boss ke office me dakhil hui uroosa tw jese audher hi khare khare baraf ban gyi uroosa ka naya boss our koi nhi balke jawad tha....
Stay tuned for part 5 what do you think now what will jawad do with uroosa or uroosa will leave this job comment down for next part and your thoughts about this part too love you my beautiful followers 😍😘

SAFARWhere stories live. Discover now