Uroosa ander hi ander khud ko kosne lagi ke vo kyun ais noukri ke liye razi hogyi aur kyun vo aitni khush thi jis jawad se vo phecha churane ke liye aitni khush thi ab dekho vo hi uska naya boss hai our noukri bhi kounsi 24 ghante uske samne khare raho jawad uroosa ko aese dekh raha tha jese usse vo koi badi baazi jeet gaya ho
Muskarate hue jawad uroosa ko kehne laga
Jawad : hi beautiful kesi ho ab ye na kehna ke maine tumhe bataya nhi tha ke mai tumse ab yaha apni company me noukri karwaounga
Uroosa souchne lagi akhir jawad kiya keh raha hai our aisne mujhe kab bataya ke ye mujhe apni company me noukri karwane ka airada rakhta hai
Phir jawad kehne laga
Jawad : yaad hai maine tumhe kaha tha
Me tum jesi beautiful ladki ki meri
company ko bhot zarurat hai our
khobsurat ladkiyon ko meri company
me hi noukri krni padti hai
Uroosa hanste hue kehne lagi
Uroosa : me our tumhare yaha noukri
krungi souch hai tumhari aisi waqt mai
Tumhari noukri chod ker ja rhi ho
Uroosa me letter jawad ke samne table per phenka our bahir nikalne ke liye chal padi ke achanak jawad kehne laga
Jawad : theke phir tumhara ghar bhi me
le lounga our our phir aik baar tum be
bas lachaar hojaougi
Uroosa jawad ki batien sun ker aik gehri souch me kho gayi ke achanak jawad uroosa ke samne kahre hoker kehne laga
Jawad : kiya kehti ho ye noukri krni hai
Ya phir aik baar be ghar hona hai
Uroosa souchte hue kehne lagi
Uroosa : theke me ye noukri krne ke liye
taiyaar ho
Jawad khushi se hante hue kehne laga
Jawad : ye hui na bahaduro wali baat
Uroosa dil hi dil me kehne lagi ye aitna kyun khush horha hai zahir hai aitni khobsurat ladki jo Secretary ban rhi hai lekin uroosa tu hoshiyar rehna
Uroosa ka nuqta e nazar
Subah hote hi Mai office jane ke liye taiyar ho ker apne office ke liye rawana hui lekin aaj mujhe pata nhi kyun bilkul khushi nhi horhi h na hi excited ho apni nayi noukri per jane ke liye kher Jana tw hai chal bhai uroosa char ja sooli pe Ya ALLAH rahem karna mai jese hi company pohchi mai jawad ke room me jane ke bajaye apne room me chali gayi kya karo mujhe nhi face krna ais jawad ko
Musannif ka nuqta e nazar
Lekin uroosa ko kya pta tha ke jawad ne usko apne room me dakhil hote hue dekh lya tha darasel jawad or uroosa ke room ke darmiyan aik shesha tha jisse jawad jab chahe uroosa ko dekh sakta hai lekin uroosa nhi dekh sakti jawad ko us sheshe ke zariye sirf jawad dekh sakta hai (kitna taiz hena jawad )😂😂
Masannif naqta e nazar khatam
Jawad ne uroosa ko phone milaya our kehne laga
Jawad : mere room me aao abhi
Uroosa : ok sir
Uroosa souchte hue
Jawad ko kese pata chala ke me company me agyi ho our room me ho kahin ye vampire tw nhi
![](https://img.wattpad.com/cover/274071689-288-k593673.jpg)
YOU ARE READING
SAFAR
عاطفيةIts an Urdu Fiction Sorry everyone i forgot to put intro on my story so there it is if you want and plzz don't be a silent reader if you like it then vote for it or comnt it so i can get courage or interest to write next part plzz Main characters n...