Its an Urdu Fiction
Sorry everyone i forgot to put intro on my story so there it is if you want and plzz don't be a silent reader if you like it then vote for it or comnt it so i can get courage or interest to write next part plzz
Main characters n...
Jaise hi maine doctor ko Operation room se bahir ate dekha me foran apni jaga se uth ker doctor ki taraf bhagi
Uroosa : doctor jawad jawad thek haina kesa ho vo me usse mil sakti ho plzzz doctor bataye
Musannif ka nuqta e nazar
Uroosa gidgidate Hue doctor se keh rhi thi uski ankhon se anso ki lehar ab tak nahi ruki thi vo be haal ansoun me dobi bus aik hi sawal phoche ja rahi thi our uske kaan aik hi jawab sunna chah rahe the ke jawad thek hai lekin shayad usse pata nhi tha ke waqt ne shayad kuch our hi tay kiya hua hai uroosa Ne apne kanpte hue hath apne dil ki taraf rakha our doctor se phir aik baar apni kanpti hui awaaz me phochne lagi
Uroosa : doctor plzzz mu_jhe bataye jawad ke_sa hai
Doctor ne nurse ko ishara kiya nurse uroosa ke pass ayi doctor wapis operation room me chala gaya uroosa ki dil ki dhadkan waqt ke sath sath our barh rahi thi
Nurse : mam plzzz khud ko sambhale hum puri koshish kar rahe hai lekin filhal hamein in dawiyon ki bhot zarorat hai hamare pass ittefaq se aaj hi khatam hogyi tw aap plzzz ye dawaiyan medical se le aye ye prescription hai jaldi
Nurse ne aik parchi jisme dawaiyan likhi thi uroosa ke hath me di our operation room ki taraf jane ke liye barhi ke achanak uroosa ne nurse ko pukar ker usse phochne lagi
Uroosa : jawad vo thek tw haina
Nurse : ab tak tw hai
Uroosa dawaiyan lene ke liye mudi hi thi Ke achanak doctor operation room se phir bahir aya our nurse se gusse our Jald bazi me kehne laga
Doctor : kaha hai dawaiyan jaldi lao patient ki halat bigadti ja rahi hai vo ladki layi dawaiyan
Nurse : yes doctor bus la rahi hai
Doctor : jaldi jao xx dawayi leker aao mere room se patient ki halat bigadti ja rahi hai uski bleeding rukne ka naam nahi le rahi hai foran jao leker aao
Nurse : yes doctor
Nurse ye keh ker bhagte hue doctor ke room ki taraf gayi uroosa jo sab kuch sun chuki thi uroosa ki halat ab our buri hogyi thi Uske hath jo pehle se thande kanp rahe the ab tw vo baraf ban chuke the uski sans jo pehle se hi tez thi ab rok rok ker arhi thi uski dil ki dhadkan jo pehle se hi kamzoor pad chuki thi ab tezi se dhadak rahi thi uroosa ki ankhon se anson jo rokne ka naam nahi le rahe the
Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Aisse pehle guards uroosa se dawaiyon ki parchi lete lane ke liye uroosa Khud apne kanpte hue pero ke sath bhagne lagi medical ki taraf dawaiyan lene ke liye bhagte bhagte vo apne kanpte hue pero our kanpte hue jism ki wajah se girti phir uthti our medical ki taraf bhagti hospital ke medical per jese hi uroosa pohchi usne apne kanpte hue hatho se medical ki aik ladki ko vo dawaiyon wali parchi di us ladki ne parchi ko kuch der tak dekha phir kehne Lagi