Part (11)

24 3 2
                                    

⚠WARNING THIS PART HAVE SOME VIOLENT AND MUTURE SECNES IF YOU ARE UNCOMFORTABLE THEN DON'T READ IT🚫

Jawad ka nuqta e nazar

I hope uroosa ko mera gift pasand aye

Musannif ka nuqta e nazar

Jab darwaze ki bell baji thi tw jawad darwaza kholne gaya our aik parsel leker uroosa ki taraf barha

Uroosa ka nuqta e nazar

Uroosa : Kya hua jawad koun tha darwaze per

Jawad : koi nhi

Uroosa : tumhare hath me kiya hai

Jawad ne hichkichate hue bola Jawad bhot nervous tha uroosa ko gift dene me liye jawad pehli Baar kisi ladki ko tohfa de rha tha

Jawad : ummm ye gift hai

Uroosa : gift kiske liye

Uroosa ne pareshan hoker phocha kyun ke jawad ki family me tw koi bhi nhi hai phir gift kiske liye

Jawad : tumhare liye

Uroosa : hah kiya mere liye gift

Jawad ahista se uroosa ke nazdeek gaya our kehne laga

Jawad : darasel aaj mere aik dost ki party hai Usne hum dono ko bulaya hai tw isme tumhare liye dress hai jo tumhe  party me pahenna hai

Uroosa : mere pass tw dresses bhot h phir ye khareedne ki kya zarorat thi

Jawad : zarorat thi kyun ke me chahta ho ke tum party me meri pasand ka dress pehno i hope ke tumhe meri pasand pasand ayegi ager nhi pasand aya dress tw tum jo chaho pehen sakti ho

Uroosa muskurate hue kehne lagi

Uroosa : acha thike tumhe ye kehne ki zarorat nhi ke i hope tumhe meri pasand pasand aye tumhari har cheez meri sans me basti hai

Jawad : acha tw kyun na ye sansein aik krde hum

Uroosa : vo kaise

Jawad uroosa ke kareeb gaya jawad aik kadam agye barhata uroosa aik kadam pheche hatti ke achanak jawad ne uroosa ko kamar se pakar ker apni taraf khencha uroosa ka badan jawad ke badan se takraya uroosa ghabrahat me kehne lagi

Uroosa : jawad umm y_e ky_a kar ra_he ho

Jawad : shshhhhhh kuch nhi kehna agye

Jawad ne apni pehli ungli uroosa ki chin per rakhi our ahiste se uske chehre ko uper uthaya

Jawad : meri taraf dekho

Uroosa ki sansein bhot tez chal rhi thi aitni kareebi kabhi nahi hui thi in dono ke darmiyaan uroosa ka tw jaise waqt hi wahi tahar gaya ho usse kuch samajh nhi arha tha ke vo jawad ko pheche hataye ya nhi uroosa jawad ki awaaz me aitni kho gayi thi jaisa vo keh rha tha vo vaisa hi kar rhi thi

Uroosa ne apni palke ahiste se utha ker jawad ki ankhon me dekha jawad our uroosa dono aik dosre ko kuch waqt tak takte rahe phir jawad ki nighahen uroosa ke honto per gayi jawad ahista se uroosa ke gulaabi Our makhmal jaise soft honto ko chomne ke liye agye barha ke achanak uroosa ne jawad ko ahista se dhakka deker khud se alag kiya

Uroosa : nahi jawad ye sab thek nhi hai

Jawad : janta ho i am sorry kya kro tum aitni khobsurat Ho ke tumse dor nhi raha jata

Uroosa ki ankhen lal surk thi uski ankhon me anso bhi the tw kahi jo badla vo lena chahti hai uske Nakaam hone ka khouf bhi uroosa bhagte hue apne room me chali gayi jawad pareshan hoker uroosa ke pheche gaya

SAFARWhere stories live. Discover now