Part (12)

20 3 19
                                    

⚠WARNING THIS PART HAVE SOME ABUSIVE AND MATURE SCENES IF YOU ARE NOT COMFORTABLE THEN DON'T READ IT🚫

Uroosa ka nuqta e nazar

Mai chup chap apne kamre me chali gayi mujhe jawad se ye umeed bilkul nahi thi usne mujhse kuch nhi kaha na phocha ke hua kiya tha me souchne lagi thi ke usse mujhse sach me muhabbat hogyi hai our mujhe dekho me pagal bhi usse apna dil de chuki ho hah lekin me ye bhool gayi thi mere naseeb me muhabbat kaha

Musannif ka nuqta e nazar

Uroosa ne apne kapre uthaye our washroom ki taraf shower lene ke liye barhi

Uroosa ka nuqta e nazar

Jese hi thanda pani mere jism per parha mere Zakhm me Jalan hone lagi jo us manhos ejaz ne diye the lekin ye jalan our takleef kuch nhi thi jo mere dil me  takleef horhi thi in zakhmo se kayi ziyada thi jawad ne phir mujhe wahi per la khara kiya hai jaha se maine apni zindagi shuru ki thi me phir se aik baar khali hogyi mera daman khali hogaya shower ke us pani me mere anson bhi beh rhe the kuch waqt baad me shower leker kamre se bahir ayi our bed per lait gayi

Musannif ka nuqta e nazar

Uroosa bed per laiti ke achanak uska jism buri tarah kanpne laga our iski wajah thi vo dard jo uske ankhon se anson ban kar beh raha tha uroosa phoot phoot ker ro rhi thi rote hue uska jism tak kanp raha tha

Uroosa ka nuqta e nazar

Uroosa khud se kehte hue

Kyunnnnnnnnnnn mere sathhhh hi kyunnnnnnn kiya bigara hai maine kisi ka koi mujhe muhabbat krne wala nahi hai koi mujhe piyar krne wala nahi hai jab mere maa baap ki mout hu_ iiiii tab bhi koi nah_iiiii thaaa mujh_eee sambhaln_eee ke liyee aaj bhi koi nahii hai jo mer_aa dard bate mujhe gale laga ker kahe uroo_saa me tumhare sath ho i hateeeeee you jawaddddddd i hateeeeeeee youu mujhe tumse nafrattt hai me mar kyun nahi jati ye sans bhi meri nahi hai mujheee marna haiiii

uroosa ne kuch der rone ke baad apne anson phochte hue kaha nhi jawad ab mai kamzor nahi padungi mai tumse apne maa baap ka badla Zaror lungi ab me apne plan ke mutabiq chal ker tumhe tumhare kiye ki saza zaror dungi

Musannif ka nuqta e nazar

Uroosa hichkiyan lete hue rote hue keh rhi thi uska pura jism kanp raha tha waha jawad gusse se aag ki tarah aubal raha tha uroosa rote rote ussi halat me so gayi lekin jawad ki aik baar bhi ankh nahi lagi

Raat ke 3:00 baje

Jawad ahiste se apne kamre se bahir nikla our Uroosa ke kamre ka darwaza khola jawad ne dekha uroosa so rhi hai jawad ahiste se uroosa ke room me dakhil hua our uroosa ke pass bed per Jake beth gaya

Jawad ka nuqta e nazar

Jawad uroosa se kehte hue

I am sorry baby really sorry maine tumhe gale tak nahi lagaya our ais halat me tumhe akela chod diya lekin mene khud se wada kiya hai jab tak mai us ejaz ke jism se. Aik aik krke Uski sansein na nikal do tab tak me tumhare pass nahi aounga bus meri jaan thora sa intezar krlo me janta ho tum zaror mujh per gussa hogi naraz hogi kyun ke maine tumhe apne kareeb tak nahi ane diya jab tumhe meri itni shadeed zarorat thi tab hi me tumse dor raha lekin ye dori ziyada der ke liye nahi hai i love you i love you very much apni jaan se bhi ziyada piyar krta ho tumse bus thora intezar

Musannif ka niqta e nazar

Jawad ne uroosa ke sar per kiss kiya our uroosa ke kamre se bahir agaya uroosa joke ab tak gehri neend me thi jisne jawad ke kahe hue aik lafz tak nahi suna tha jawad gadi me betha our sedha apni manzil ki taraf chal pada jawad hotel pohcha sab jawad ko jhuk ker salam krne lage hotel ke log apas me baat krte hue

SAFARWhere stories live. Discover now