Uroosa ne us aurat ki sari batien sun li thi uroosa samjh chuki thi ke akhir vo aurat us per. Aitna maherban kyun horhi hai uroosa aik aqalmand aur parhi likhi aik bashaour ladki thi ais liye uroosa chup chap wahan se apna bag utha ker bhag gayi uroosa phir se ab be ghar thi koi uski madad krne wala nhi tha akele tanha be bas dard o gham me dubi hui phir apni aik na maloom manzil ki taraf chal pari uroosa sirf or sirf chal rhi thi our vo kar bhi kya sakti thi phir uroosa aik bench per beth gayi uroosa ko bhook bhi bhot lagi hui thi uroosa ne do din se kuch nhi khaya tha lekin uroosa ne thaan lya tha ke vo khud ko yun dar badar nhi phirne degi out uroosa ksi ki madad nhi legi ais se behter hai ke vo ksi se madad ki bheek mange vo khud apni madad kregi phir uroosa himmat krke khari hui aur sochne lagi ke akhir vo kya kare ke achanak uroosa ko aik idea aya our phir uroosa ne apna bag uthaya or aik shopping mall ki taraf chal pari akhir uroosa ke dimaag me chal kya rha tha phir uroosa aik try room me chalk gayi phir uroosa ne try room me apne bag se kapre nikal ker apne kapre tabdeel kiye our apni mazil ki taraf chal pari uroosa ne apne bag se master ki degree uthayi or agae barhi akhir uroosa karna kiya Chahti thi phir uroosa kisi company me gayi our waha interview ke liye phochne lagi uroosa ke laik us company me uroosa ke liye noukri moujood thi uroosa ne waha interview diya our isi tarah bhot si companies me uroosa ne interview diye uroosa ke interviews ke sath din bhi dhalta ja rha tha ab shaam hochuki thi out uroosa apna akhiri interview dene ja rhi thi uroosa bhot dari hui thi ke ager ye noukri bhi usse nhi mili tw vo kiya karegi raat kaha guzare gi uroosa ne aisi ghabrahat ke sath interview diya our uroosa. Ais interview me select hogyi thi uroosa ko ye noukri mil chuki thi darasel uroosa ne company ke boss yani ceo ko kaha tha ke mujhe ye noukri urgently chaye maherbani kerke mujhe abhi bata den ke ke select hui ho ya nhi our phir uroosa ko aik bhot arse bad koi khushkhabri mili ye do din uroosa ke liye jese aik arsa hi tha uroosa bhot khush thi uroosa khushi khushi apni company ki tarafse diye gaye flat ki taraf barhi or phir agli subah hote hi apni noukri yani apne kaam per gayi jo usse kal raat hi mili thi uroosa ne company se kuch advance paise bhi liye the jisse vo apne kharch pure kar rhi thi uroosa ki zindagi ab bhot achi guzar rhi thi
:
:
:
:
:
:
:
:
lekin koi aesa din nhi tha jab uroosa ko apne maa baap ki yaad na ayi ho uroosa ka dard aaj bhi utna hara tha jitna us pehli raat tha jab uroosa ghar se be ghar our maa baap ka zakhm apne dil pe utahye chali ja rhi thi uroosa bhale hi ab aik khud mukhtar ladki thi uroosa ke pas ab sab kuch tha lekin nhi thi tw bus family khususan uroosa ke maa baap har raat jab bhi uroosa sone lagti uroosa ki ankhen nam hoti har raat uroosa apni maa ki vo goud miss krti thi jis per vo sar rakh ker Har raat soti thi har raat uroosa apne baba ka vo good night miss kerri this boy gifts co forehead kisses vo lamge uroosa ke liye bhot khushnaseeb or piyar se bhare hue the uroosa ki zindagi aese hi guzar rhi thi
:
:
:
:
:
:
:
ke acanak aik din jab uroosa apne office phochi tw reception pe jo usne dekha vo yaqeen krne ke bilkul qabil nhi tha uroosa ke tw jese phir aik baar pairon talle zameen nikal gayi uroosa ke maathe se pasene aise bah rhe the jaise pani uroosa ki ankhen khuli ki khuli reh gyi thi uroosa ke hath pao kese thande baraf ho jo uroosa ne dekha ausne soucha bhi nhi tha ke aik din achanak vo phir.se apne mazi me aker khari hojyegi uroosa ka dil zoro se dhadak rha tha jese abhi bahir ajyega.
(Vo .SHAKS. Jisne uroosa ke maa baap ko katal kiya tha )
Co billings uroosa ke SAMNE khara tha uroosa ke hath pao kanp rahe the jese abhi uroosa zameen per gir pare gi us shaks ko dekh ker phir aik bar uroosa us raat me wapis chali gyi thi uroosa ki ankhon se ansoon lagatar beh rhe the lekin uroosa himmat krke uske samne khari rhi ya phir yun bhi keh sakte he ke uroosa wahi khari jam gyi thi vo shaks ahiste aahiste agae barha our uroosa ke samne akhara hua usne uroosa ko pehchan lya tha vo uroosa ke samne aise muskura rha tha jese ksi ko uska khoya hua shikar mil gaya ho co shaks uroosa ki ankhon me ankhon dal ker kehne laga
Dehshat gard : kya baat hai yaqeen nhi tha ke hum yo milenge vese tum ab bhi aitni hi khudsurat ho jitni aus raat thi vese
(MERA NAAM JAWAD HAI)
Are ab me aitna bhi bura nhi ho ke tum ro rhi ho lagta hai tumhe mujhse milker bilkul khushi nhi hui lekin mujhe tw tumse milkar aitni khushi hui hai ke mai bata bhi nhi sakta acha ab me chalta ho phir mulakat hogi tumse ab tw mulakatein hoti rahengi beautifull
Uroosa ka tw jese dimaag hi sun hogaya ho abhi tw uroosa ne kuch mahine hi sukoon se guzare the ab tak vo apne maa baap ka gham bhi bhula nhi payi thi vo ab tak apne pairon per sahi se khari bhi nhi hui thi ke achanak uske samne uske maa baap ka katil akhara hua isse pehle uroosa us dehshat gard yani jawad ki baton ka jawab de pati vo waha se ja chula tha .......
What will uroosa do now and what will jawad do now with uroosa akhm akhm wait for part 4 beautifuls there is alot of left In the story now 😏😏 this song literally suits for uroosa feelings now i am crying for her she survived alot and now again this monster came in her life to ruin it what do you think everyone😢😢
Stay tuned for part 4 and tell me in the comment section for part 4 i will post it 🥰😘

YOU ARE READING
SAFAR
RomansIts an Urdu Fiction Sorry everyone i forgot to put intro on my story so there it is if you want and plzz don't be a silent reader if you like it then vote for it or comnt it so i can get courage or interest to write next part plzz Main characters n...