Part (17)

22 3 12
                                    


⚠WARNING THIS PART HAVE SOME SENSITIVE AND MATURE SCENES IF YOU ARE UNCOMFORTABLE THEN DON'T READ IT 🚫

Kuch waqt baad

Musannif ka nuqta e nazar

Jawad ko kuch dair me hosh ane laga jawad ahiste ahiste apni ankhen kholne laga jaise hi usse pura hosh aya uske zahen ne doubara usse uroosa ki yaadon se jhinjhodna shuru kar diya jawad uth kar bed par betha

Jawad khud se kehte hue

Kyunnn uroosa kyunnnn mujhe par zara rahem nahi aya tumhe kiya me aitna bura ho ke tum mujhe yun chodh kar chali gayi pehle mere maa baap ne mujhe paida karke kahi phenk diya phir jinho ne mujhe goud liya unho ne bhi mujhe jaan se marna chaha jisne mujhe aik nayi zindagi di apna sab kuch diya paisa zameen vo bhi chand mahine baad mujhe chorh kar chala gaya our ab tum

Jawad phoot phoot kar rone laga uski ankhon se anson pani ki tarah beh rahe the agar mumkin hota tw ansoun ki jaga khoon nikalna shuru hojata uroosa apne dard me jawad ko jene ki saza de gayi

Kuch waqt baad doctor jawad ke kamre me aya

Doctor : kese ho jawad kesa feel horaha hai

Jawad : kyun doctor kyun kyun akhir baar baar mujhse ye sawal karke mujhe our takleef dete ho mujhe maar kyun nahi dete kyun mera ilaj Kiya tumne kyun mujhe zinda kiya kyun

Doctor jawad ke qareeb aya our kandhe par hath rakh kar kehne laga

Doctor : jawad khud ko sambhalo aesa mat kaho me koun hota ho tumhe zindagi dene wala ye tw tumhare naseeb me thi

Jawad : mera naseeb mera naseeb bhi bada bewafa hai jo jo me chahta ho wohi mujhse cheen leta hai dekhona ab me mout chahta ho tw mujhe zindagi dedi

Jawad ki ankhen lal surkh ansoun me bhegi thi na uske anson rokte na uska dard kam hota jese kisi ne zindagi dekar sanson par qaid lagadi ho

Jawad : doctor me aik baar uroosa us ladki ko dekhna chahta ho jiski accident me mo_ut hui

Jawad ne Dar dard anson gham me kaha

Doctor : usse tw dafna diya gaya hai

Jawad : nahi aesa kese hosakta hai nahi aesa nahi hosakta aesa ho hi nahi sakta aap jhoot bol rahe hena kaho ke tum jhoot bol rahe ho

Jawad doctor ka girebaan pakad kar kehne laga

Doctor : nahi me jho_ot nahi bol raha

Jawad : tw phir kaha hai meri uroosa

Jawad hath Jod ker doctor se phochne laga

Doctor : uske ghar se koi aya nahi tha our usne apni akhri sanson me kaha tha ke agar vo mar jaye tw usko foran Kisi ko dikhaye baghair dafna diya jaye tw humne wesa hi kiya

Musannif ka nuqta e nazar

Jawad ka ro ro kar bura haal hogaya tha vo nidhal hochuka tha uski sansein kam tw horahi thi lekin sath nahi chodh rahi thi Kiya cheez he muhabbat bhi kisi ko mout dekar sukoon dedeti hai tw kabhi kisiko zindagi Dekar saza dedeti hai

Jawad khud se kehne laga

"Aitni nafrat aitni nafrat karti thi tum mujhse uroosa ke akhri dafa khud ko dekhne tak nahi diya"

Musannif ka nuqta e nazar

jawad waqt ke sath sath khud ko sambhalne ki koshish kar raha tha lekin vo jitna sambhalta utna hi uroosa ki yadoon me girta rehta

2 din baad

Doctor : kese ho jawad kal tumhe chotthi mil rahi hai hospital se kesa lag raha hai

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Nov 23, 2021 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

SAFARWhere stories live. Discover now