Part (15)

24 3 5
                                    

⚠WARNING THIS PART HAVE SOME SENSITIVE SCENES IF YOU ARE NOT COMFORTABLE THEN DON'T READ IT🚫

Musannif ka nuqta e nazar

Jawad our uroosa dono ki ankhen nam thi dono ke dil zor se dahdak rahe the uroosa gun tane jawad ke samne khari thi lekin uroosa ke hath kanp rahe the kahin na kahin uroosa bhi jawad ki muhabbat ka shikar hochuki thi lekin ais waqt uroosa ke dimagh per jo baat hawi thi vo ye ke jawad uroosa ke maa baap ka katil hai our ais shaks ke liye vo muhabbat tw kiya rahem tak nahi kar sakti uroosa ne apni ungli trigger per rakhi dono ki ankhen aik dosre ki ankhon me dobi thi anso dono taraf the aik jaga Bepanah muhabbat ki dewangi me tw aik taraf nafrat ki aag me pure ghar me sannata tha jaise kisi qabrastan me hota hai pure ghar ki lights off sirf jawad ke kamre ki lights on thi jisme uroosa our jawad khare the aik mout ka intezar kerte hue tw aik badle ki tarap ko pura karne ke liye dono ki Ankhen lal surkh dil ki dhadkan tez ankhon me anso hath pao thande

Uroosa ne aik lambi sans li our kehne lagi

Uroosa : dekho jawad aaj tum mere samne khare ho be bas lachar koi nahi hai tumhari madad krne ke liye jab tumne meri zindagi barbaad ki thi us waqt me bhi bilkul aesi halat me thi be bas lachar tanha

Uroosa ne apne anso phoche jo rokne ka naam nahi le rhe the phir uroosa ne gun jawad ki  Taraf tani our kehne lagi

Uroosa : tumne mera sab kuch cheen liya jawad sab kuch mere maa baap jo mujhe sabse ziyada piyar karte the Meri family mera ghar mera ashiyana sab kuch tanha kar diya tumne mujhe tanhaaaaa dekho mera daman aaj bhi khali hai koi nahi hai mere pass siwaye tanhayi ke dard ke takleef ke jo mujhe har pal satati hai mujhe tumne kitna akela kar diyaaa jawad kyunnnnnnn akhir kyunnnnnn kiya tumne aesa mere maa baap ne sirf tumhare paise khaye the kyunnnn jawad kyunnnnnnnnn

Uroosa be haal cheekh rahi thi takai uska dard thora kam ho jaye lekin nahi isse uske dard ki khalish our barhti ja rhi thi jawad ne uroosa ki taraf dekhte hue kaha

Jawad : Tumhara har aik sawal apni jaga baja hai lekin tumhare kisi bhi sawal ka jawab mere liye Dena na mumkin hai ager hosake tw mujhe maaf krdena uroosa maine waqayi tumhe bhot takleef dard diya hai lekin meri muhabbat tumhare liye bilkul sachi hai our rahegi

Uroosa : khamoshhhhhhhhh nahi aik our baar muhabbat ka naam mat lena tum our muhabbat arre tum tw muhabbat ke mayine tak nahi jante hoge jisse muhabbat krte haina usse takleef nahi dete dard nahi dete lekin tumne tumne tw mera pura  wajood hi dard se bhar diya aik masoom si ladki jo apni zindagi se khush har cheez se beparwah apne khawabon me jeeti thi dekho aaj tumhari wajah se kahan khari hai jo ladki aik chenti ko marne se darne ghabrane wali ke usko takleef na pohche aaj kisi ki jaan lene khari hai kiski badolaat tumhari badolaat muhabbat ka naam mat lena jawad tum nahi jante muhabbat kisse kehte

Jawad sirf khada uroosa ki nafrat dekh raha tha bhot takleef hoti hai jab aap jisse bepanah muhabbat karo our vo aapse utni hi nafrat kare Jawad ki takleef dard koi nahi mahsoos kar sakta uski tw puri zindagi hi aik zakhm hai jo vo dosro ko dikha bhi nahi sakta ander hi ander us zakhm ki takleef bardasht kar raha hai jawad Ki ankhen sab bayan kar rahi thi ke usne kitni muhabbat ki hai uroosa se

               Jawad ki ankhen

               Jawad ki ankhen

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
SAFARWhere stories live. Discover now