Part (10)

16 2 0
                                    

Agli subah

Musannif ka nuqta e nazar

Agli subah roz marrah ki tarah uroosa our jawad ne breakfast kiya our apne apne office ke liye rawana hogaye

                  Jawad ka dress

                    Uroosa ka dress

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

                    Uroosa ka dress

uroosa ka office me bilkul dehyan nhi lag raha tha uroosa ka dimagh kahi our hi tha our dosri taraf jawad bhi kaam se bilkul ghafil tha aik taraf jawad ke kaam me dil na lagne ki wajah uroosa thi uroosa ki yadein thi jawad ki uroosa ka liye bepana...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


uroosa ka office me bilkul dehyan nhi lag raha tha uroosa ka dimagh kahi our hi tha our dosri taraf jawad bhi kaam se bilkul ghafil tha aik taraf jawad ke kaam me dil na lagne ki wajah uroosa thi uroosa ki yadein thi jawad ki uroosa ka liye bepanah muhabbat thi our dosri taraf uroosa ka kaam me dil na lagne ki wajah nafrat thi badla tha lekin kahi na kahi uroosa ais wajah se bhi pareshan thi ke vo jo kuch kr rhi hai sahi kar rhi hai kyun uska dil usse ye sab krne se mana kar raha hai jawad se apne maa baap ke katal ka badla lene ke Liye mana kar raha hai uroosa ko bhi kahin na kahin jawad se muhabbat hogyi hai lekin uroosa ais baat ko andar hi andar manne se inkar kar rahi Thi

Office me uroosa ka nuqta e nazar

Mujhe kiya hogaya hai kyun me jawad ke bare me aitna souch rhi ho vo mere maa baap ka katil hai uski wajah se meri zindagi barbaad Hogyi kyun mera ye dil kambakht usse masoom samjhta hai kyun mera dil ye manne se inkaar kr raha hai ke jawad aesa kuch nhi kar sakta lekin haqiqat ko koi tabdeel nahi kar sakta jawad ne najane kitne logo ko katal kiya hoga kyun ke vo aik dehshat gard hai tw usne hi maire maa baap ko bhi katal kiya hai maine khud dekha hai dil tw dil hai nadaan hota hai muhabbat ko bhoka hota hai lekin kambakht ye samjhta bhi tw asaani se nahi hai na dil jo dimagh per bhi havi hojata hai lekin nahi me aesa kuch nhi hone dungi mai apne dimagh ki sunnogi dil ki nahi

( me jawad ki zindagi barbaad kar dungi me apne maa baap ke katal ka badla zaror lungi )

Uroosa ka nuqta e nazar khatam

Office me Jawad ka nuqta e nazar

Jawad apne mobile per uroosa ki tasveer dekh ker khud se kehte hue

Haye kiya jado kiya hai tumne mujh per kisi kaam me dil nhi lagta bas tumhe hi souchta rehta ho raat din kiya muhabbat aitni piyari hoti hai han muhabbat ka nasha aitna khobsurat hota hai mujhe aaj pata chala hai mujhe meri zindagi ne hamesha dard diya hai uroosa lekin tumhare ane ke baad sab kuch Bhot khubsurat lag raha hai bus ab tum mujhe kabhi chod ke na jana tumhari hi wajah se mujhe jene ka naya maqsad mila hai warna me tw aik zinda lash tha jisko zamane ki gardish our ghamo ne khatam kar diya tha lekin tumne phirse aik baar ais zinda lash me sans bhari hai zindagi se phir piyar karwaya hai i love you uroosa i love you so much

SAFARWhere stories live. Discover now